khauf-e-aafat se kahaan dil men riya aayegi baat sacchi hai jo vo lab pe sadaa aayegi dil se niklegi na mar kar bhi watan ki ulfat mirii miTTi se bhi khushboo-e-wafa aayegi main utha loonga bade shauq se us ko sar par khidmat-e-qoum-o-watan men jo bala aayegi saamna sabr o shujaat se karunga main bhi khinch ke mujh tak jo kabhi teg-e-jafa aayegi gair zoom aur khu dii se jo karega hamla mirii imdaad ko KHud zaat-e-khuda aayegi aatma hooñ main badal daaloonga fauran chola kya bigaadegee agar mirii qaza aayegi KHoon royegi samaa par mire marne pe shafaq gham manaane ke li.e kaali ghatta aayegi abr-e-tar ashk bahaayega mire laashe par KHaak udaane ke li.e baad-e-saba aayegi zindagaani men to milne se jhijhakti hai falak khalk ko yaad mirii ba'd-e-fana aayegi
Related Nazm
kyuuñ uljhe-uljhe rahte ho kuchh bolo to kuchh baat karo kya ab bhi tanhaa raatein hain kya dard hi dil bahaalate hain kyuuñ mehfil raas nahin aati kyuuñ koel geet nahin gaati kyuuñ phoolon se khushboo gum hai kyuuñ bhanwara gumsum gumsum hai in baaton ka kya matlab hai kuchh bolo to kuchh baat karo kyuuñ amma ki kam sunte ho kya bheetar-bheetar gunte ho kyuuñ hansna-rona bhool ga.e kyuuñ lakdi jaise ghunte ho kya dil ko kahii la ga.e ho kya ishq men dhoka khaaye ho kya aisa hi kuchh mas'ala hai kuchh bolo to kuchh baat karo
Raghav Ramkaran
42 likes
meraa sansaar mere man ka sukoon bhi tum ho tum hi meri manzil uskaa junoon bhi tum ho meraa din bhi tum ho meri raat bhi tum ho meri neend bhi tum ho mere jazbaat bhi tum ho meraa har lamha tum ho mere haalaat bhi tum ho meraa jeevan bhi tum ho iski masti bhi tum ho hooñ agar main majhdhaar to phir iski kashtii bhi tum ho agar hooñ main shareer to iski asthi bhi tum ho aur hooñ agar main aatma to iski mukti bhi tum ho meraa vairaagya bhi tum ho meri aasakti bhi tum ho meraa eeshwar bhi tum ho meri bhakti bhi tum ho main agar dil hooñ to iski dhadkan bhi tum ho meri har baat tum ho meri tardpan bhi tum ho meri swatantrata bhi tum ho meraa bandhan bhi tum ho meraa sukh bhi tum ho meri muskaan bhi tum ho meraa dukh bhi tum ho meraa sammaan bhi tum ho meraa bal bhi tum ho meraa swaabhimaaan bhi tum ho meri praarthana bhi tum ho meraa abhimaan bhi tum ho meraa har kaam bhi tum ho thak jaaun to aaraam bhi tum ho bheje hain tujhko chaand ke haathon vo saare paigaam bhi tum ho saanson men bas teraa naam hai meraa to anjaam bhi tum ho meraa to aadhaar hi tum ho meri to sarkaar hi tum ho meri to faqeeri bhi tum ho khazane ka ambaar bhi tum ho mere labon ka maun bhi tum ho mere dil ki pukaar bhi tum ho meri to kutiya bhi tum ho meraa raaj-darbaar bhi tum ho meraa har vikaar bhi tum ho meraa to shrungaar bhi tum ho meri jeet-haar bhi tum ho meraa gussa-pyaar bhi tum ho meraa to ghar baar hi tum ho jeene ke aasaar hi tum ho kaise main bataau tujhe tumhaare bin main kuchh bhi nahin meraa to sansaar hi tum ho meraa to sansaar hi tum ho meraa to sansaar hi tum ho
Divya 'Kumar Sahab'
37 likes
kyuuñ hai tum nahin ho yahaañ par phir bhi tumhaare hone ka ehsaas kyuuñ hai kuchh hai nahin mere haath men phir bhi kuchh hone ki ye aas kyuuñ hai badi hairaani hai mujhe ki vo door hokar bhi itnaa paas kyuuñ hai sabne kaha ki vo to paraaya hai vo paraaya hokar bhi itnaa khaas kyuuñ hai j itnaa vo door hai mujhse vo utna hi mujh...ko raas kyuuñ hai baitha hooñ bilkul ekaant men main phir bhi kaanon men uski aawaaz kyuuñ hai khul ke nahin kahti vo kuchh bhi uski aankhoñ men itne raaz kyuuñ hain basi hai dil men vo mere ye meraa dil uskaa aavaas kyuuñ hai us..ko nahin bhula saka main ye uske naam ki har shvaas kyuuñ hai poori kaaynaat uski yaad dilaati hai ye tan-man men uskaa vaas kyuuñ hai vo meri hui nahin hai abhii us..ko khone ke dar se man itnaa badhavaas kyuuñ hai dooriyaan likhi hain jaise darmiyaan meraa naseeb mujhse itnaa naaraaz kyuuñ hai aise shabd kahaan se laaun ki vo samjhe jo gar na samjha paa.e to phir aise alfaaz kyuuñ hain rah to raha hooñ apne nivaas men uske bin lagta ye vanvaas kyuuñ hai gar mil bhi jaa.e sampatti saari duniya ki magar vo saath nahin to phir ye bhogvilaas kyuuñ hai sote hi uske khwaabon men aur jaagte hi uske khyaalon men kaise bhi uskaa ho jaane ki itni pyaas kyuuñ hai jaltee hain ye nazren ab meri in nainon ko har waqt teri talash kyuuñ hai haalaat kah rahe hain ki ye mumkin nahin phir bhi tum pukaarogi ek din mujhe itnaa vishwas kyuuñ hai ab bhi nahin samjhi kyuuñ hai tumhaari bahut yaad aati hai tum bin raha nahin jaata bas baat kuchh yoon hai tumse bepanaah mohabbat thii hai aur rahegi ye satya jyon ka tyon hai kyuuñ hai
Divya 'Kumar Sahab'
37 likes
haal-e-dil meri dilruba tum khoobsurat ho soorat se nahin seerat se mujhe tumhaari seerat se muhabbat hai isi li.e seerat ka jaanta hooñ sharm dahshat pareshaani jinhen sukhnavaron kaviyaan ne ishq kii lazzat bataaya hai filhaal ye mere darmiyaañ aa rahe hain bahaal meri chahten tumhaare nafs men dhadkati hain zinda rahtii hain maine tumhein dekha hai dekhte hue mujhe chahte hue mujhe sochte hue aur mere li.e pareshaan hote hue vaise chaahat ho to kehna laazmi hota hai zaroori hota hai lekin ishq kii qaaynaat men lafz KHaamosh rahte hain aur nigaahein baat kar letii hain mujhe pata hai ek din tum meri nigahon se baat kar logi pooch logi aur tumhein javaab milega haan main bhi chahta hooñ khoob chahta hooñ vaise main bhi apne nagmon apni ghazlon men muhabbat khoob likhta hooñ haalaanki sadaqat ye hai ki main bhi kehne men khauf khaata hooñ vaise bura na maanna ki maine tumse kabhi izhaar nahin kiya soch lena ki theory aur practical men farq hota hai khairab jo meraa maujooda haal hai vo ye hai ki aa.e din dil aur dimaagh mas'ala khada kar dete hain dil kahtaa hai tum khoobsurat ho dimaagh kahtaa hai manzil pe ikhtiyaar karo bahaal tum khoobsurat ho tum ziyaada khoobsurat ho tum sabse ziyaada khoobsurat ho tum hi khoobsurat ho
Rakesh Mahadiuree
25 likes
tumhein ik baat kahni thii ijaazat ho to kah doon main ye bheega bheega sa mausam ye titli phool aur shabnam chamakte chaand ki baatein ye boonden aur barsaatein ye kaali raat ka aanchal hawa men naachte baadal dhadakte mausamon ka dil mehkati khushbuon ka dil ye sab jitne nazaare hain kaho kis ke ishaare hain s abhii baatein sooni tum ne phir aañkhen fer leen tum ne main tab ja kar kahii samjha ki tum ne kuchh nahin samjha main qissa mukhtasar kar ke zaraa neechi nazar kar ke ye kahtaa hooñ abhii tum se mohabbat ho gaii tum se
Zubair Ali Tabish
117 likes
More from Lal Chand Falak
bharat ke ai saputo himmat dikhaaye jaao duniya ke dil pe apna sikka bithaaye jaao murda-dili ka jhanda fenko zameen par tum zinda-dili ka har-soo parcham udaaye jaao laao na bhool kar bhi dil men khayal-e-pasti khush-haali-e-watan ka beda uthaaye jaao tan-man mitaaye jaao tum naam-e-qaumiyat par raah-e-watan men apni jaanen ladaaye jaao kam-himmati ka dil se naam-o-nishaan mita do jurat ka lauh-e-dil par naqsha jamaaye jaao ai hinduo musalmaan aapas men in dinon tum nafrat ghataaye jaao ulfat badhaaye jaao bikram ki raaj-neeti akbar ki policy ki saare jahaan ke dil par azmat bithaaye jaao jis kashmakash ne tum ko hai is qadar mitaaya tum se ho jis qadar tum us ko mitaaye jaao jin khaana-jangiyon ne ye din tumhein dikhaaye ab un ki yaad apne dil men bhulaaye jaao be-KHauf gaaye jaao hindostaan hamaara aur vande-maatram ke naare lagaaye jaao jin desh sevako se haasil hai faiz tum ko in desh sevako ki jay jay manaae jaao jis mulk ka ho khaate din raat aab-o-daanaus malak par saroon ki bheten chadaaye jaao faansi ka jail ka dar dil se falak mita kar ghairoon ke munh pe sacchi baatein sunaate jaao
Lal Chand Falak
14 likes
khauf-e-aafat se kahaan dil men riya aayegi baat sacchi hai jo vo lab pe sadaa aayegi dil se niklegi na mar kar bhi watan ki ulfat mirii miTTi se bhi khushboo-e-wafa aayegi main utha loonga bade shauq se us ko sar par khidmat-e-qoum-o-watan men jo bala aayegi saamna sabr o shujaat se karunga main bhi khinch ke mujh tak jo kabhi teg-e-jafa aayegi gair zoom aur khu dii se jo karega hamla mirii imdaad ko KHud zaat-e-khuda aayegi aatma hooñ main badal daaloonga fauran chola kya bigaadegee agar mirii qaza aayegi KHoon royegi samaa par mire marne pe shafaq gham manaane ke li.e kaali ghatta aayegi abr-e-tar ashk bahaayega mire laashe par KHaak udaane ke li.e baad-e-saba aayegi zindagaani men to milne se jhijhakti hai falak khalk ko yaad mirii ba'd-e-fana aayegi
Lal Chand Falak
1 likes
bharat ke ai saputo himmat dikhaaye jaao duniya ke dil pe apna sikka bithaaye jaao murda-dili ka jhanda fenko zameen par tum zinda-dili ka har-soo parcham udaaye jaao laao na bhool kar bhi dil men khayal-e-pasti khush-haali-e-watan ka beda uthaaye jaao tan-man mitaaye jaao tum naam-e-qaumiyat par raah-e-watan men apni jaanen ladaaye jaao kam-himmati ka dil se naam-o-nishaan mita do jurat ka lauh-e-dil par naqsha jamaaye jaao ai hinduo musalmaan aapas men in dinon tum nafrat ghataaye jaao ulfat badhaaye jaao bikram ki raaj-neeti akbar ki policy ki saare jahaan ke dil par azmat bithaaye jaao jis kashmakash ne tum ko hai is qadar mitaaya tum se ho jis qadar tum us ko mitaaye jaao jin khaana-jangiyon ne ye din tumhein dikhaaye ab un ki yaad apne dil men bhulaaye jaao be-KHauf gaaye jaao hindostaan hamaara aur vande-maatram ke naare lagaaye jaao jin desh sevako se haasil hai faiz tum ko in desh sevako ki jay jay manaae jaao jis mulk ka ho khaate din raat aab-o-daanaus malak par saroon ki bheten chadaaye jaao faansi ka jail ka dar dil se falak mita kar ghairoon ke munh pe sacchi baatein sunaate jaao
Lal Chand Falak
2 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Lal Chand Falak.
Similar Moods
More moods that pair well with Lal Chand Falak's nazm.







