koi nahin samajhta koi baat nahin samajhta koi jazbaat nahin samajhta koi samajh leta hai KHvaabon ko par koi raat nahin samajhta koi doori nibhaana jaanta hai par koi saath nahin samajhta koi baghair dekhe chun leta hai saa thii par koi zaat-paat nahin samajhta koi jaan leta hai jhoo thii hañsi par koi haalaat nahin samajhta koi baat nahin samajhta to koi jazbaat nahin samajhta
Related Nazm
jazbaat jo ye aankhoñ se bah raha hai kitne ham laachaar hai tum samjho to intezar hai varna koi intezar nahin tumhaari yaad men aise dooba jaise koi beemaar hai tum samjho to bekaraar hai varna koi bekaraar nahin jo meri dhadkan chal rahi hai in men bas tumhaara naam hai tum samjho to ye pukaar hai varna koi pukaar nahin in haatho se tumhaari zulfen sanvaarni hain har shaam tumhaare saath guzaarni hai tum samjho to ye dulaar hai varna koi dulaar nahin tumhaare bas dil men jagah nahin tumhaari rooh se rishta chahiye tum samjho to ye aar-paar hai varna kuchh aar-paar nahin tumhein mil to jaayega mujhse achha saamne tumhaare to qatar hai tumhein pata hai na tumhaari chaahat ka bas ek haqdaar hai baaki koi haqdaar nahin tumhaari baanhon men hi sukoon milega mujhe sach kahooñ to darkaar hai tum samjho to ye bahaar hai varna kahii bahaar nahin tumhaari god men aaraam chahiye tumhaari aawaaz men bas apna naam chahiye tum samjho to ye qaraar hai varna koi qaraar nahin tum ho jo mere jeevan ka tum nahin to sab bezaar hai tum samjho to ye aadhaar hai varna koi aadhaar nahin kaash tum bhi hamse iqraar karte chaahat ki barsaat musala-dhaar karte main tumse behad karta aur tum behad ki bhi had paar karte tum samjho to in sab ke aasaar hain varna koi aasaar nahin agar tum koshish karte to pata chaltaa ki tum ho to ghar-baar hai tum se hi meraa sansaar hai varna koi sansaar nahin bin tere zindagi to rahegi kaat lenge tumhaare bina tum samjho to jeene ka vichaar hai varna koi vichaar nahin ye duniya bhale kuchh bhi bole tum meri nahin to kya main tumhaara to hooñ na yahii meraa izhaar hai agar tum samjho to ye pyaar hai varna koi pyaar nahin
Divya 'Kumar Sahab'
37 likes
tark-e-ishq suno premika oe anamikaa main tumhaare li.e nahin likhta likhte honge jo likhte honge main nahin likhta main likhta hooñ kyonki main banaa hooñ likhne ke li.e main bikta hooñ kyonki main banaa hooñ bikne ke li.e main likhta hooñ kyonki meraa man karta hai tum meri geet men kaise ho tum jaano meri ghazal men kaise ho tum jaano tum meri kavita. men kaise ho tum jaano tum meri nazm men kaise ho tum jaano main kyuuñ jaanoon jab main tumhein nahin likhta aur main kyuuñ likhoon tumhaare li.e kya kiya hai tumne hamaare li.e vahii samajhdari bharii baatein jo tum hamesha se karti aayi ho jab bhi milti samajhdari bharii baatein karti aur main paagalon kii tarah tumhaari haan men haan milta main akshar hi chup rehta tha kyonki kabhi to javaab nahin hote the aur kabhi main sankoch jaata magar tum karti thii kyuuñ nahin karogi tez thii naakarogi hi vaise main tumhein bataa doon ki mujhe chhod jaane ka faisla bhi tumhaara tha pata nahin kisne kah diya ki muhabbat paagalon ko pasand karti hai mujhe to kabhi nahin kiya KHair itnaa badaa faisla tumne kiya itnaa sahi faisla tumne kiya to ye tay raha ki tum samajhdaar thii aur main paagal to paagal likha nahin karte tum samajhdaar ho tez ho tum likhna mere li.e main padhoonga kyonki main paagal hooñ gar be-zubaan nahin likhoonga nahin magar padhoonga aur zaroor padhoonga
Rakesh Mahadiuree
22 likes
bhalii si ek shakl thii bhale dinon ki baat hai bhalii si ek shakl thina ye ki husn-e-taam hona dekhne men aam sina ye ki vo chale to kahkashaan si raahguzaar lage magar vo saath ho to phir bhala bhala safar lage koi bhi rut ho us ki chhab fazaa ka rang-roop thii vo garmiyon ki chaanv thii vo sardiyon ki dhoop thii na muddaton juda rahena saath subh-o-shaam hona rishta-e-wafa pe zidna ye ki izn-e-aam ho na aisi khush-libaasiyaan ki saadgi gilaa karena itni be-takallufi ki aaina haya kare na ikhtilaat men vo ram ki bad-maza hon khwaahisheinna is qadar supurdagi ki zach karen nawaazisheinna aashiqi junoon ki ki zindagi azaab hona is qadar kathor-pan ki dosti KHaraab ho kabhi to baat bhi khafi kabhi sukoot bhi sukhun kabhi to kisht-e-zaafaran kabhi udaasiyon ka ban suna hai ek umr hai muaamalaat-e-dil ki bhi visaal-e-jan-faza to kya firaq-e-jan-gusil ki bhi so ek roz kya hua vafaa pe bahs chhid gaii main ishq ko amar kahooñ vo meri zid se chid gaii main ishq ka aseer tha vo ishq ko qafas kahe ki umr bhar ke saath ko vo bad-tar-az-hawas kahe shajar hazar nahin ki ham hamesha pa-b-gil rahenna dhor hain ki rassiyaan gale men mustaqil rahen mohabbaton ki wusaaten hamaare dast-o-pa men hain bas ek dar se nisbatein sagaan-e-ba-wafa men hain main koi painting nahin ki ik fra men men rahoon vahii jo man ka meet ho usii ke prem men rahoon tumhaari soch jo bhi ho main us mizaaj ki nahin mujhe vafaa se bair hai ye baat aaj ki nahin na us ko mujh pe maan thana mujh ko us pe zoom hi jo ahd hi koi na ho to kya gham-e-shikastagi so apna apna raasta hasi-khushi badal diya vo apni raah chal padi main apni raah chal diya bhalii si ek shakl thii bhalii si us ki dosti ab us ki yaad raat din nahin magar kabhi kabhi
Ahmad Faraz
111 likes
Nazm ik baras aur kat gaya shariq roz saanson ki jang ladte hue sab ko apne KHilaaf karte hue yaar ko bhoolne se darte hue aur sab se badaa kamaal hai ye saansen lene se dil nahin bharta ab bhi marne ko jee nahin karta
Shariq Kaifi
46 likes
mirii hayaat ye hai aur ye tumhaari qaza ziyaada kis se kahooñ aur kis ko kam bolo tum ahl-e-kh aanaa rahe aur main yateem hua tumhaara dard badaa hai ya miraa gham bolo tumhaara daur tha ghar men bahaar hansati thii abhii to dar pe faqat ranj-o-gham ki dastak hai tumhaare saath ka mausam badaa haseen raha tumhaare baad ka mausam badaa bhayaanak hai hazaaron qarz the mujh par tumhaari ulfat ke mujhe vo qarz chukaane ka mauqa to dete tumhaara KHoon mire jism men ma chaltaa raha zaraa se qatre bahaane ka mauqa to dete bade sukoon se tum so ga.e vahaañ ja kar ye kaise neend tumhein aa gaii naye ghar men har ek shab main faqat karvatein badalta hooñ tumhaari qabr ke kankar hon jaise bistar men main bojh kaandhon pe aise utha ke chaltaa hooñ tumhaara jaise janaaza utha ke chaltaa tha yahaañ pe mirii pareshaani sirf mirii hai vahaañ koi na koi kaandha to badalta tha tumhaari sham-e-tamanna bas ek raat bujhi charaaghhh mirii tavakko ke roz bujhte hain main saans luun bhi to kaise ki mirii saanson men tumhaari doobti saanson ke teer chubhte hain main jab bhi chhoota hooñ apne badan ki miTTi ko to lams phir usii thande badan ka hota hai libaas roz badalta hooñ main bhi sab ki tarah magar khayal tumhaare kafan ka hota hai bahut taveel kahaanii hai mirii hasti ki tumhaari maut to ik mukhtasar fasana hai vo jis gali se janaaza tumhaara niklaa tha usii gali se miraa roz aanaa j aanaa hai main koi raah hooñ tum raah dekhne waale ki muntazir to mara par na intizaar mara tumhaari maut mirii zindagi se behtar hai tum ek baar mare main to baar baar mara
Zubair Ali Tabish
19 likes
More from ZafarAli Memon
mashwara badlenge log badlenge unke tevar bhi jaane anjaane men har tevar samajhta hooñ main apne alfaaz ko dil-o-dimaagh se likhta hooñ dil toota 'aashiq hooñ har rang ko parkhta hooñ apni un harkat aur be-wajah pyaar par hone par ek shaam KHud men kahii khatkata hooñ tasveer ko dekh kar teri le kar teraa naam un puraani yaad men har roz kahii bhatkata hooñ teri sab cheez aur sab tohfon ko khoob unhen sanwaar kar aur sambhaale rakhta hooñ bhool kar tujh ko apne man se radd karke teri yaaden shuroo karne ek nayi zindagi subh-savere nikalta hooñ bewafa main na tujhe kahunga na hi KHud ko matlabi raho hamesha tum khushhaal minnaten is ki karta hooñ mashwara-e-zafar sun lo doston aaj main tum ko kahtaa hooñ pahle raazi waalidain ko baad hi ishq karna roz aise kitne 'aashiqon main dekhta bichhadta hooñ
ZafarAli Memon
14 likes
chaar zindagi sabko mila hai chaar zindagi ka safar maa ka pet aur duniya ka ghar chhoti si qabr aur maidan-e-hashr pahli zindagi ka tasavvur agar maa ka pet tumko aayega nazar nau maheene jisne kiya tha sabr tumne diya kya uskaa ajr doosri zindagi duniya ka ghar jis men basaaya tumne shahar thii chaar din ki zindagi magarus par laga dii poori umr mili jab maut ki sabko khabar pachtaane lage phir hua ye asar ahl-o-ayaal bhi roye idhar hua taiyaar janaaza udhar teesri zindagi jiska pet qabr honge sab door tujhe dafan kar aayenge farishte fauran qabr par lagega sawaalon ka ek ambar dena javaab tab KHud ke bal par jab pahunchegi duniya us mod par qayamat tak hai qabr ka safar chau thii zindagi maidan-e-hashr jidhar milega neki-ba dii ka ajr saamne hogaa pul-siraat safar tezi se guzrega vo hi uspar jo padhta namaaz maghrib se asar jisne kiya baitullah ka safar jisne banaya nabi ko rahbar jannat men honge mahal aur shajar aur dozakh men honge aag ke ambar na maaloom kitnii hai baaki umr aayegi maut kabhi bhi zafar jitni hai baaki laga deen par sabko mila hai chaar zindagi ka safar
ZafarAli Memon
14 likes
KHuda naaraz kamaal hai kamaal hai mazhab ki baat par kyun uth rahe sawaal hai behaal hai behaal hai sab makdiyon ke jaal hai duniya men rahna bhi ab bahut badaa janjaal hai bawaal hai bawaal hai guzar rahi jo zindagi yah din hai ya koi saal hai mujhe aaj ki fikr to hai mujhe kal ka bhi khayal hai naqaab hai naqaab hai har chehre par naqaab hai jo shaKHs ki yah zaat hai woh saanp ka bhi baap hai jo do-rukha kirdaar hai ghazab hai be-misaal hai dalaal hai dalaal hai sab soch ke dalaal hai gunaah bhi uskaa maaf hai sab paise ki yah chaal hai kya kaal hai kya kaal hai KHuda bhi jo naaraz hai ibaadaton men mil rahe jaldabaazi ke a'amal hai KHud sochna ab to tu zaraa mazhab ki baat par kyun uth rahe sawaal hai kamaal hai kamaal hai
ZafarAli Memon
17 likes
pehla ishq ta'arruf hua tha abhii hi un se waqt kahaan zyaada guzra hai baatein hoti thii bahut hi un se waqt kahaan zyaada sudhara hai ankon men dilchaspi mujhe urdu ka thoda-sa gyaan tha woh angrezee se waqif bahut lekin shunya sa abhimaan tha pasand unki aankhoñ men kaajal aur unpar vo chashma tha unhen pasand meri ghani daadhi aur aankhoñ men surmaa tha k abhii ye la do to k abhii vo la do maine ki har KHvaahish poori lekin mehram banaane ki meri KHvaahish rah gayi adhuri kaha tha unhonne pahle hi mujh se rakh do apne maa-baap ko arzee par zafar dartaa khone se unko aur kaha jaisi rab ki marzi na jaane kaun sa lazez waqt tha ki ishq ki rasoi ko ham ne pakaaya agar alahida karna hi tha maqsad to phir kyun ham dono ko milaaya
ZafarAli Memon
14 likes
banda aur KHuda ek mukhtasar si kahaanii hai jo zafar ki muh-zabaani hai ye hukoomat aasmaani hai har maKHlooq roohani hai ye KHuda ki meherbaani hai ki sajdon men jhukti peshaani hai ye saari duniya faani hai har shaKHs ko maut aani hai ye insaaniyat ayyaashi ki deewani hai har shaKHs ki dhalti jawaani hai qudrat ki pakad se koi nahin bacha ye aa rahe azaab qayamat ki nishaani hai ye logon ki gumaahi aur badi nadaani hai ki kahaan u uupar KHuda ko shakl ha men dikhaani hai
ZafarAli Memon
20 likes
Similar Writers
Our suggestions based on ZafarAli Memon.
Similar Moods
More moods that pair well with ZafarAli Memon's nazm.







