kya likh doon kya likh doon is kaaghaz par ki jab tum tak ye pahunchen to mehsoos kar sako sirf padho nahin kya likh doon ki ye khat sirf khat na rah jaa.e tumse jhagde aur jirh kar paa.e un baaton ke li.e jo tumhaare li.e shaayad sirf baatein hongeen vo saare lamhaat jo tumhaare li.e mahaj kuchh din aur kuchh raatein hongeen kya likh doon vo shikaayati tanj jo main jaanta hooñ nazarandaaz kar doge tum ya apni saari yaaden siyaahi men baandh kar ek puriya si banaa doon ki jab tum use kholo to tumhaara zehan bhi mahakne lage unse meri tarah
Related Nazm
bhalii si ek shakl thii bhale dinon ki baat hai bhalii si ek shakl thina ye ki husn-e-taam hona dekhne men aam sina ye ki vo chale to kahkashaan si raahguzaar lage magar vo saath ho to phir bhala bhala safar lage koi bhi rut ho us ki chhab fazaa ka rang-roop thii vo garmiyon ki chaanv thii vo sardiyon ki dhoop thii na muddaton juda rahena saath subh-o-shaam hona rishta-e-wafa pe zidna ye ki izn-e-aam ho na aisi khush-libaasiyaan ki saadgi gilaa karena itni be-takallufi ki aaina haya kare na ikhtilaat men vo ram ki bad-maza hon khwaahisheinna is qadar supurdagi ki zach karen nawaazisheinna aashiqi junoon ki ki zindagi azaab hona is qadar kathor-pan ki dosti KHaraab ho kabhi to baat bhi khafi kabhi sukoot bhi sukhun kabhi to kisht-e-zaafaran kabhi udaasiyon ka ban suna hai ek umr hai muaamalaat-e-dil ki bhi visaal-e-jan-faza to kya firaq-e-jan-gusil ki bhi so ek roz kya hua vafaa pe bahs chhid gaii main ishq ko amar kahooñ vo meri zid se chid gaii main ishq ka aseer tha vo ishq ko qafas kahe ki umr bhar ke saath ko vo bad-tar-az-hawas kahe shajar hazar nahin ki ham hamesha pa-b-gil rahenna dhor hain ki rassiyaan gale men mustaqil rahen mohabbaton ki wusaaten hamaare dast-o-pa men hain bas ek dar se nisbatein sagaan-e-ba-wafa men hain main koi painting nahin ki ik fra men men rahoon vahii jo man ka meet ho usii ke prem men rahoon tumhaari soch jo bhi ho main us mizaaj ki nahin mujhe vafaa se bair hai ye baat aaj ki nahin na us ko mujh pe maan thana mujh ko us pe zoom hi jo ahd hi koi na ho to kya gham-e-shikastagi so apna apna raasta hasi-khushi badal diya vo apni raah chal padi main apni raah chal diya bhalii si ek shakl thii bhalii si us ki dosti ab us ki yaad raat din nahin magar kabhi kabhi
Ahmad Faraz
111 likes
jab vo mujh...ko kahti thii ek she'r sunaao uske upari lab ko choom ke hat jaata tha uske zehan men kya aata tha taish men aakar kahti thii she'r mukammal kaun karega saani misra kaun padhega
Zubair Ali Tabish
67 likes
kyuuñ uljhe-uljhe rahte ho kuchh bolo to kuchh baat karo kya ab bhi tanhaa raatein hain kya dard hi dil bahaalate hain kyuuñ mehfil raas nahin aati kyuuñ koel geet nahin gaati kyuuñ phoolon se khushboo gum hai kyuuñ bhanwara gumsum gumsum hai in baaton ka kya matlab hai kuchh bolo to kuchh baat karo kyuuñ amma ki kam sunte ho kya bheetar-bheetar gunte ho kyuuñ hansna-rona bhool ga.e kyuuñ lakdi jaise ghunte ho kya dil ko kahii la ga.e ho kya ishq men dhoka khaaye ho kya aisa hi kuchh mas'ala hai kuchh bolo to kuchh baat karo
Raghav Ramkaran
42 likes
KHuda ka sawaal mere rab kii mujh par inaayat hui kahooñ bhi to kaise ibadat hui haqeeqat hui jaise mujh par ayaan qalam ban gaii hai KHuda kii zubaan mukhaatib hai bande se parvardigaar tu husn-e-chaman tu hi rang-e-bahaar tu men'raaj-e-fan tu hi fan ka singaar musavvir hooñ main tu meraa shaahkaar ye subhen ye shaamen ye din aur raat ye rangeen dilkash haseen qaaynaat ki hoor-o-malaika wa jannat ne kiya hai tujhe ashraf ul makhluqaat meri azmaton ka hawala hai tu tu hi raushni hai ujaala hai tu ye duniya jahaan bazm-aaraaiyaan ye mehfil ye mele ye tanhaaiyaan falak ka tujhe shaamiyaana diya zameen par tujhe aab-o-daana diya mile aabshaaron se bhi hausale pahaadon main tujhko diye raaste ye paani hawa aur ye shams-o-qamar ye mauj-e-ravaan ye kinaara bhanwar ye shaakhon pe gunche chatkate hue falak pe sitaare chamakte hue ye sabze ye phoolon bharii kyaariyaan ye panchi ye udti hui titliyan ye shola ye shabnam ye miTTi ye sang ye jharnon ke bajte hue jaltarang ye jheelon men hanste hue se kanwal ye dharti pe mausam kii likkhi ghazal ye sar dii ye garmi ye baarish ye dhoop ye chehra ye qad aur ye rang-o-roop darindon charindon pe qaabu diya tujhe bhai dekar ke baazu diya behn dii tujhe aur shareek-e-safar ye rishta ye naate gharaana ye ghar ki aulaad bhi dii diye waalidain alif laam mim qaaf aur ain ghain ye aql-o-zahaanat shu'oor-o-nazar ye bastii ye sehra ye khushki ye tar aur uspar kitaab-e-hidaayat bhi dii nabi bhi utaare shari'at bhi dii ki khabren sabhi kuchh hain tere li.e bataa kya kiya tune mere li.e
Abrar Kashif
46 likes
uski khushiyaan saari jheelein sookh gaii hain uski aañkhen sookh gaii hain pedon par panchi bhi chup hain us..ko koi dukh hai shaayad raaste soone soone hain sab usne tahlna chhod diya hai saari ghazlein bemaani hain usne padhna chhod diya hai vo bhi hansna bhool chuki hai gulon ne khilna chhod diya hai saawan ka mausam jaarii hai yaanii uskaa gham jaarii hai baaki mausam taal diye hain sukh kuein men daal diye hain chaand ko chhutti de dii gaii hai taaron ko madhham rakha hai aatish-daan men fenk dii khushiyaan dil men bas ik gham rakha hai khaana peena chhod diya hai sabse rishta tod diya hai haaye qayamat aane ko hai usne jeena chhod diya hai har dil KHush har chehra KHush ho vo ho KHush to duniya KHush ho vo achchhii to sab achha hai aur duniya men kya rakha hai ye sab sunkar KHuda ne bola bol teri ab KHvaahish kya hai maine bola meri KHvaahish meri KHvaahish uski khushiyaan KHuda ne bola teri KHvaahish main phir bola uski khushiyaan iske alaava pooch raha hooñ maine bola uski khushiyaan apne li.e kuchh maang le pagle maang liya na uski khushiyaan uski khushiyaan uski khushiyaan uski khushiyaan uski khushiyaan
Varun Anand
30 likes
More from Saurabh Mehta 'Alfaaz'
wajhein suno jaane se etiraaz nahin mujhe par jaao to laut aane ki wajhein chhod jaana aaj na sahi kal suljh jaayengi kya sahi hai inhen kheench kar tod dena ya behtar hai girhein rahne dena aur waqt par chhod dena addad raabton men laazim hain ruswaaiyaan bhi jab manaye koi to aur roothna jirh karna phir maan jaana baat bigad jaati hai chup rahne se bhi sab chupchaap sahne se bhi kehna kah dena kehne dena KHaamoshiyon ke bharose mat rahna ab jaao par laut aane ki wajhein chhod jaana
Saurabh Mehta 'Alfaaz'
11 likes
kab tak khair manaate ham ulfat ke koochon se saabit kaise bachkar aate ham ham thehre bakre ki amma kab tak khair manaate ham ba dii ba dii baatein kar dii theen un par jaan lutayenge hukm karen vo aasmaan se taare bhi le aayenge par qismat aur qudrat ik thaali ke chatte batte the koshish apni poori rahtii par angoor to khatte the bigda swaad jo unke munh ka unko chatni khaani thii bechaara dil bewakoof tha kuchh apni nadaani thii adne se dil ki KHaatir kya moosal se dar jaate ham ham thehre bakre ki amma kab tak khair manaate ham hamne poori jugat lagaayi magar safalta na mil paayi phir hamne ummeed chhod dii khud se chhe dii ek ladai ab baaton men na aayenge un jaise hi ban jaayenge unki jaanib na dekhenge naam nayansukh kahlaayenge lekin ham the saawan waale aur u uupar se dil ke chaale chhod rev dii unki KHaatir hamne rookhi sookhi khaai oont so gaya ultee karvat jamke li usne jamhaai padte oloon men ab dekho apna sar mundwaate ham ham thehre bakre ki amma kab tak khair manaate ham idhar priye madhu hai aur ham hain tum us paar nazar aate ho kaise been ba jaa.e hiya ki tum to aise paguraate ho kaan pe jun rengane KHaatir ham prayatn karte rahte hain tis par tum krodhit hote ho ham tumse darte rahte hain khair hua so bisra dete tum thoda sa itra lete ham thodii manuhaar lagaakar kop tumhaara chitra dete kintu atipriya tumhe krodh tha aur na iska koi bodh tha hamse tum kate jaate the yatha dugdh phatte jaate the itne fate hue men kaise apni taang araate ham ham thehre bakre ki amma kab tak khair manaate ham
Saurabh Mehta 'Alfaaz'
10 likes
raat raat badi KHaraab hai har raat KHaraab kar deti hai raat bhar jaag kar har subah subah ko de deti hai kuchh unghte hue KHvaab kuchh guzri raaton ke kisse kuchh bujhi hue yaadon ki KHaak aur sirhaane par maazi ke khaare dhabbe raat badi KHaraab hai din bhar ke murjhaaye zakhmon ko phir haraa kar deti hai aur mahakne deti hai raat bhar kisi raat raani ki tarah mauka deti hai ki sambhal jaaun main aur phir le jaati hai apne saath pahle se zyaada fislan waali jagah par raat badi KHaraab hai par ek raat hi to hai jo saath hoti hai raat bhar khaamoshi se sunti hai meri har khaamoshi ko samjhti hai meri har baat ko meri har raat ko raat
Saurabh Mehta 'Alfaaz'
12 likes
chalo bachpan mustaqil hain chalo bhalii aadat banaate hain chalo KHud ko sikhaate hain chalo bachpan mustaqil hain tajurbe zard se lagne lage hain kavar un par chadhate hain chalo bachpan mustaqil hain chalo seenchein vo beeta kal jugat se chalo khelen vahii sab khel kal ke chalo un garmiyon ki kulfiyon ko phir manaate hain chalo bachpan mustaqil hain ke chutki ek lekar muskuraahat ki milaate hain samay ki aanch par yaadon ki haandi phir chadhate hain milaate hain vo ik chhota sa chamach bachpane ka chalo mil kar ke phir se vo hi nadaani pakaate hain sunhara ek aur sikka subah ki dhoop ka chalka chalo sheeshe ke tukde se use ghar bhar ghumaate hain ya vo chhota sa saabun ka gubaara phoonk se halka angoothe aur ungli ko milaakar phir fulaate hain ya dabbe se churakar gud ke laddu jeb men rakhkar yaaron ko dikhaakar khaake sabko phir jalate hain chalo bachpan mustaqil hain kisi ke das ke ginte hi..kahiin kone men chhup kar ke kabhi chupke se uski peeth par dappa jamaate hain chalo bachpan mustaqil hain
Saurabh Mehta 'Alfaaz'
11 likes
ek baat kya tumhein bhi sikha doon vo hunar jisse padh liya karta hooñ tumhaari aankhoñ ko un sab baaton ko jo dabii rahtii hain tumhaari palkon ki qataaron men tab bhi jab lab KHaamosh hote hain tumhaare ya tab jab bas yuñ hi muskuraa deti ho mujhse baat karte-karte aur tab jab hont tumhaare kuchh aur hi kahte hain aur kahte kahte ruk jaaya karte hain ek baat nahin bataai tumhein ke tab main chupke se padh liya karta hooñ tumhaari aankhoñ ko pooch leta hooñ haal tumhaara kahtaa kuchh nahin haan aañkhen baat karti hain meri bhi hazaaron savaalaat bhi tumhaari hi tarah phir kyun javaab nahin de paateen tumhaari aañkhen kya tumhein bhi sikha doon vo hunar jisse padh liya karta hooñ tumhaari aankhoñ ko ki tum bhi padh lo vo baatein jin men hont khaamoshi rahte hain aur vo saari baatein jo ab tak nahin kahii tumse ya mujhe bhi sikha do apna aankhoñ se jhooth bolne ka hunar
Saurabh Mehta 'Alfaaz'
12 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Saurabh Mehta 'Alfaaz'.
Similar Moods
More moods that pair well with Saurabh Mehta 'Alfaaz''s nazm.







