nazmKuch Alfaaz

mohabbat ham jo tire dil men samaaye hai yahaañ se hijrat kar jaayenge ek waqt qayamat ko aanaa hai yah sitaare bujhaa diye jaayenge meri aankhe ek dariyaa hai ham kabhi selaab laayenge tum agar kaho ham se milnaa hai ham pahaadon ka seena cheer kar aayenge maut aane ki hazaar kis men hain ham mohabbat men maare jaayenge

ALI ZUHRI9 Likes

Related Nazm

bhalii si ek shakl thii bhale dinon ki baat hai bhalii si ek shakl thina ye ki husn-e-taam hona dekhne men aam sina ye ki vo chale to kahkashaan si raahguzaar lage magar vo saath ho to phir bhala bhala safar lage koi bhi rut ho us ki chhab fazaa ka rang-roop thii vo garmiyon ki chaanv thii vo sardiyon ki dhoop thii na muddaton juda rahena saath subh-o-shaam hona rishta-e-wafa pe zidna ye ki izn-e-aam ho na aisi khush-libaasiyaan ki saadgi gilaa karena itni be-takallufi ki aaina haya kare na ikhtilaat men vo ram ki bad-maza hon khwaahisheinna is qadar supurdagi ki zach karen nawaazisheinna aashiqi junoon ki ki zindagi azaab hona is qadar kathor-pan ki dosti KHaraab ho kabhi to baat bhi khafi kabhi sukoot bhi sukhun kabhi to kisht-e-zaafaran kabhi udaasiyon ka ban suna hai ek umr hai muaamalaat-e-dil ki bhi visaal-e-jan-faza to kya firaq-e-jan-gusil ki bhi so ek roz kya hua vafaa pe bahs chhid gaii main ishq ko amar kahooñ vo meri zid se chid gaii main ishq ka aseer tha vo ishq ko qafas kahe ki umr bhar ke saath ko vo bad-tar-az-hawas kahe shajar hazar nahin ki ham hamesha pa-b-gil rahenna dhor hain ki rassiyaan gale men mustaqil rahen mohabbaton ki wusaaten hamaare dast-o-pa men hain bas ek dar se nisbatein sagaan-e-ba-wafa men hain main koi painting nahin ki ik fra men men rahoon vahii jo man ka meet ho usii ke prem men rahoon tumhaari soch jo bhi ho main us mizaaj ki nahin mujhe vafaa se bair hai ye baat aaj ki nahin na us ko mujh pe maan thana mujh ko us pe zoom hi jo ahd hi koi na ho to kya gham-e-shikastagi so apna apna raasta hasi-khushi badal diya vo apni raah chal padi main apni raah chal diya bhalii si ek shakl thii bhalii si us ki dosti ab us ki yaad raat din nahin magar kabhi kabhi

Ahmad Faraz

111 likes

tumhein ik baat kahni thii ijaazat ho to kah doon main ye bheega bheega sa mausam ye titli phool aur shabnam chamakte chaand ki baatein ye boonden aur barsaatein ye kaali raat ka aanchal hawa men naachte baadal dhadakte mausamon ka dil mehkati khushbuon ka dil ye sab jitne nazaare hain kaho kis ke ishaare hain s abhii baatein sooni tum ne phir aañkhen fer leen tum ne main tab ja kar kahii samjha ki tum ne kuchh nahin samjha main qissa mukhtasar kar ke zaraa neechi nazar kar ke ye kahtaa hooñ abhii tum se mohabbat ho gaii tum se

Zubair Ali Tabish

117 likes

mujh se pahli si mohabbat mirii mahboob na maang mujh se pahli si mohabbat mirii mahboob na maang main ne samjha tha ki tu hai to darkhshan hai hayaat teraa gham hai to gham-e-dehr ka jhagda kya hai teri soorat se hai aalam men bahaaron ko sabaat teri aankhoñ ke siva duniya men rakha kya hai tu jo mil jaa.e to taqdeer nigoon ho jaa.e yuñ na tha main ne faqat chaaha tha yuñ ho jaa.e aur bhi dukh hain zamaane men mohabbat ke siva raahatein aur bhi hain vasl ki raahat ke siva an-ginat sadiyon ke tareek bheemaana tilism resham o atlas o kamkhaab men bunwaaye hue jaa-ba-jaa bikte hue koocha-o-baazaar men jism KHaak men luthde hue KHoon men nahlaaye hue jism nikle hue amraaz ke tannooron se peep bahti hui galte hue naasooron se laut jaati hai udhar ko bhi nazar kya kijeye ab bhi dilkash hai tira husn magar kya kijeye aur bhi dukh hain zamaane men mohabbat ke siva raahatein aur bhi hain vasl ki raahat ke siva mujh se pahli si mohabbat mirii mahboob na maang

Faiz Ahmad Faiz

73 likes

murshid murshid please aaj mujhe vaqt deejie murshid main aaj aap ko dukhde sunaaunga murshid hamaare saath badaa zulm ho gaya murshid hamaare desh men ik jang chhid gayi murshid sabhi shareef sharaafat se mar ga.e murshid hamaare zehan girftaar ho ga.e murshid hamaari soch bhi baazaari ho gayi murshid hamaari fauj kya ladti hareef se murshid use to ham se hi furqat nahin mili murshid bahut se maar ke ham KHud bhi mar ga.e murshid ha men zirh nahin talwaar dii gayi murshid hamaari zaat pe bohtan chad ga.e murshid hamaari zaat palandon men dab gayi murshid hamaare vaaste bas ek shaKHs tha murshid vo ek shaKHs bhi taqdeer le udri murshid KHuda ki zaat pe andha yaqeen tha afsos ab yaqeen bhi andha nahin raha murshid mohabbaton ke nataaij kahaan ga.e murshid meri to zindagi barbaad ho gayi murshid hamaare gaav ke bacchon ne bhi kaha murshid koon aakhi aa ke sadaa haal dekh wajan murshid hamaara koi nahin ek aap hain ye main bhi jaanta hooñ ke achha nahin hua murshid main jal raha hooñ hawaaein na deejie murshid azala keejiye duaaein na deejie murshid KHamosh rah ke pareshaan na keejiye murshid main rona rote hue andha ho gaya aur aap hain ke aap ko ehsaas tak nahin hah sabr kijeye sabr ka fal meetha hota hai murshid main bhonkdai haan jo kaii she vi nahin bachi murshid wahaan yazidiyat aage nikal gayi aur paarsa namaaz ke peeche pade rahe murshid kisi ke haath men sab kuchh to hai magar murshid kisi ke haath men kuchh bhi nahin raha murshid main lad nahin sakaa par cheekhta raha KHaamosh rah ke zulm ka haami nahin banaa murshid jo mere yaar bhala chhodein rahne den achchhe the jaise bhi the KHuda un ko KHush rakhen murshid hamaari raunakein doori nigal gayi murshid hamaari dosti subhaat kha ga.e murshid ai photo pichhle maheene chhikaya ham hooñ mekun dekh lagda ai jo ai photo meda ai ye kis ne khel khel men sab kuchh ult diya murshid ye kya ke mar ke ha men zindagi mile murshid hamaare virse men kuchh bhi nahin so ham bemausmi wafaat ka dukh chhod jaayenge murshid kisi ki zaat se koi gilaa nahin apna naseeb apni kharaabi se mar gaya murshid vo jis ke haath men har ek cheez hai shaayad hamaare saath vahii haath kar gaya murshid duaaein chhod teraa pol khul gaya tu bhi meri tarah hai tere bas men kuchh nahin insaan meraa dard samajh sakte hi nahin main apne saare zakhm KHuda ko dikhaaunga ai rabbe kaaynaat idhar dekh main fakeer jo teri sarparasti men barbaad ho gaya parvardigaar bol kahaan jaayen tere log tujh tak pahunchne ko bhi wasila zaroori hai parvardigaar aave ka aawa bigad gaya ye kisko tere deen ke theke diye ga.e har shaKHs apne baap ke firke men band hai parvardigaar tere sahife nahin khule kuchh aur bhej tere guzishta sahifon se maqsad hi hal hue hain masaail nahin hue jo ho gaya so ho gaya ab mukhtiyaari cheen parvardigaar apne khaleefe ko rassi daal jo tere paas vaqt se pahle pahunch ga.e parvardigaar unke masaail ka hal nikaal parvardigaar sirf banaa dena kaafi nain takhleeq karke de to phir dekhbhaal kar ham log teri kun ka bharam rakhne aa.e hain parvardigaar yaar hamaara khayal kar

Afkar Alvi

78 likes

dost ke naam khat tumne haal poocha hai haalat-e-mohabbat men haal ka bat aanaa kya dil sisak raha ho to zakham ka chhup aanaa kya tum jo pooch baithe ho kuchh to ab bat aanaa hai baat ek bah aanaa hai tumne haal poocha hai ik diya jalata hooñ theek hai bataata hooñ roz uski yaadon men door tak chale j aanaa jo bhi tha kaha usne apne saath dohr aanaa saans jab ruke to phir apni marti aankhoñ men uski shakl le aanaa aur zindagi p aanaa roz aise hota hai kuchh purane message hain jin men uski baatein hain kuchh tabeel subhe hain kuchh qadeem raatein hain maine uski baaton men zindagi guzaari hai zindagi mitaane ka hausla nahin mujh men ek ek lafz uskaa saans men pirooya hai rooh men samoya hai uske jitne message hai roz khol leta hooñ usse kah nahin paata KHud se bol leta hooñ uske pej par ja kar roz dekhta hooñ main aaj kitne logon ne uski pairavi ki hai aur sochta hooñ main ye naseeb waale hain us..ko dekh sakte hain usse baat karte hain ye ijaazaton waale mujhse kitne behtar hain main to daagh tha koi jo mita diya usne gar mita diya usne theek hi kiya usne tumne haal poocha tha lo bataa diya maine jo bhi kuchh bataaya hai us..ko mat bataa dena padh ke ro paro to phir in tamaam lafzon ko bas gale laga lena vo meri mohabbat hai aur sadaa rahegi vo jab nahin rahoonga to ek din kahegi vo tum ali faqat tum the jisne mujh...ko chaaha tha jisne mere maathe ko choom kar bataaya tha tum dua ka chehra ho tum haya ka pahra ho main to tab nahin hoonga par meri sabhi naz men uski baat sun lenge tum bhi muskuraa dena phir bahut mohabbat se us..ko sab bataa dena uske narm haathon men meraa khat thama dena lo ye khat tumhaara hai aur uski jaanib se vo jo bas tumhaara tha aaj bhi tumhaara hai

Ali Zaryoun

70 likes

More from ALI ZUHRI

baba tere kamre se jo aati thii hamesha baba vo awaaz pukaarti nahin mujh...ko baba tere kaandhon par baith kar jo dekhe the kabhi vo mele lagte hain ab soone viraan baba yah zamaane ki nigaahen saudaagar hai wahshi hai yah noch khaayegi jismoon ko hamaare baba tu ghar men hamaare maali-e-gulshan tha ham to tere aangan ki kali the baba tere kaandhon par aakhiri waqt rona tha ha men tere saa.e men is ghar se vida hona tha baba teri hi nishaani hai tujh sa dikhta bhi hai bhaai bhi kab betiyon sa samajhta hai baba tu jo gaya maa ke chehre ki rangat bhi le gaya vo bhi udaas hai bahut kam bolti hai baba dil se ab bas yahii dua nikalti hai ha men tum muskuraate milo jannat men baba

ALI ZUHRI

9 likes

judaai jin dinon men tumne dekha tha mujhe main un dinon kisi gulaab jaisa khil raha tha mahak raha tha tumhaare ishq ka gulaabi jaam mere narm chehre pe bah raha tha magar ab ke yuñ hai bichhad ke tumse tumhaare hijr e malaal se main ujad gaya hooñ tumhaari kitaab men rakhe hue gulaab jaisa main in dinon sad raha hooñ tumhaare intizaar kii sard raahon par patti patti bikhar raha hooñ main jeeta jaagta ek ladka saans dar saans mar raha hooñ

ALI ZUHRI

1 likes

nisa duniya ke rangeen mazaahiron se hat कर,जब kabhi meri nazar us saada libaas ladki pe agar padtii mere dil se hasratein nikalti aur umangein jhoom uthatius ladki ke naak-naqsh bilkul bhi banavti nahin uske badan ke nuqoosh men kuchh bhi sajaavati nahin KHuda ki qasam duniya ke mazaahiron men uske siva kuchh bhi dekhne ko nahin use is duniya ki rangeeniyon ki koi parwaah hi nahin maano duniya se use koi raabta hi nahin use KHuda ne apni qudrat ki nishaani ke li.e banaya hogaa uskaa paikar tahtussara ki miTTi se tarasha hogaa uski bulan dii pe farishton ne bhi sar jhukaaya hogaa vo to aisi cheez hai jise dekh kar KHuda ko KHud apni kun pe rashk aaya hogaa KHuda ne koel ko uski sama'at ke aashaar bakhshen hain aur pedon ko uski baanhon ke haar bakhshen hain ye ghatta uski agar ki chaanv men rah kar kaali hoti hai uske aanchal se hi shaam par laali hoti hai uske haathon ki lakeeron par duniya naqsh hai jannat ki huroon men bhi uskaa hi aks hai uski aankhoñ ki beenaai se सुबह,रात raushan hai uske pahluu men saaton barr-e-aazmon ke mausam hain uske ariz ki purnamee se gulaab mehakte hain uski muskuraahat se jungle ke panchhi chahakte hain jugnoo ne uski zeenat paai hai mehn dii ne bhi uske haathon pe rangat paai hai main us ladki ki vazaahat apni nazmon men karun bhi to kaise karun ki maine use dekha hi bahut kam hai vo rab ka ahsaan hai ya tuqzzebaan ispe kya jhagadna ki vo naas hai ya nisa vo to zindagi ko zaroori hai jaise ki nizaam-e-fiza

ALI ZUHRI

4 likes

aadam main KHuda ka tarasha hua aadam hooñ tu mujhse nikli hui jaan koi main teri khaatir jannat se niklaa hooñ tu jo karti nahin iblees se baat koi main barre sagir men bhatkata fira hooñ tu vahii jo nikli nahin arab se baahar koi

ALI ZUHRI

9 likes

jang yah jang kabhi na khatm hogii chal ham duniya basaaein aur kahii is shahar ki chidiyaan sahm gayi hain vo ud ke jaati hain aur kahii yahaañ goonj rahi hai topon ki sadaaein chal ham geet sunaayein aur kahii yah duniya hai kaanto se bharii ham phool khilaayein aur kahii yahaañ nafrat ka baarood jala hain ham mohabbat mehkaayen aur kahii sab bastiyaan jal ke raakh hui chal aashiyaan banaayein aur kahii yah log hain jism chabaane ke li.e ham fasal ugaayein aur kahii har dhadkan men shor hai barpa chal sukoon talaashein aur kahii

ALI ZUHRI

9 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on ALI ZUHRI.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with ALI ZUHRI's nazm.