nazmKuch Alfaaz

mujhe ilzaam de saare mujhe ilzaam de saare sahi tu hai galat main hooñ kare kya ab jahaan men is kahiin tu hai kahiin main hooñ bina tere saza meri nadi tu main kinaara hooñ nazare kya hawaaein kya haraa rang tu jungle main hooñ churaaye neend pal bhar men sataaye gham han saa.e gham dikhaata pyaar din sab ko sataaye gham han saa.e gham sabhi ke saath hota hai bahut naaraaz hota hai nahin kuchh bhi pata mujh ko nahin teri yuñ khata kuchh hain nibhaana hai ha men rishtana khona tu wafa main hooñ

Related Nazm

kab kab ye ped hare honge phir se kab ye kaliyaan footengi aur ye phool hasenge kab ye jharne apni pyaas bharenge kab ye nadiyaan shor machaayengi kab ye azaad ki.e jaayenge sab panchi kab jungle saansey lenge kab sab jaayenge apne ghar kab haathon se zanjeeren khuli jaayeñgi kab ham aison ko poochhega koii aur ye faqeeron ko bhi kisse men laaya jaayega kab in kaanton kii bhi qeemat hogii aur miTTi sone ke bhaav men aayegi kab logon kii ghalti taali jaayegi kab ye hawaayein paayal pahne jhoomengi kab ambar se pariyaan utarengi kab pattharon se bhi KHushboo aayegi kab hanso ke joden nadiyon pe baithege barkha geet banaayegi aur mor utha ke par kathak karte dekhe jaayenge neelkamal paani se ishq ladaayenge machliyaan khushi ke gote maarengi kab koyal kii kook sunaai degi kab bhawre phir gun gun karte lautenge mozeje men aur kab ye pyaari titliyan color fekengi phir sab kuchh dooba hogaa rangon men kab ye duniya roshan hogii kab ye jugnoo apne rang men aayenge kab ye sab mumkin hai kab sabke hi sapne poore honge kab apne man ke mutaabiq hogaa sab kuchh kab ye bahaarein lotengi kab vo taarikh aayegi bas mujh...ko hi nahin sabko intzaar hai tere birthday ka

BR SUDHAKAR

16 likes

jazbaat jo ye aankhoñ se bah raha hai kitne ham laachaar hai tum samjho to intezar hai varna koi intezar nahin tumhaari yaad men aise dooba jaise koi beemaar hai tum samjho to bekaraar hai varna koi bekaraar nahin jo meri dhadkan chal rahi hai in men bas tumhaara naam hai tum samjho to ye pukaar hai varna koi pukaar nahin in haatho se tumhaari zulfen sanvaarni hain har shaam tumhaare saath guzaarni hai tum samjho to ye dulaar hai varna koi dulaar nahin tumhaare bas dil men jagah nahin tumhaari rooh se rishta chahiye tum samjho to ye aar-paar hai varna kuchh aar-paar nahin tumhein mil to jaayega mujhse achha saamne tumhaare to qatar hai tumhein pata hai na tumhaari chaahat ka bas ek haqdaar hai baaki koi haqdaar nahin tumhaari baanhon men hi sukoon milega mujhe sach kahooñ to darkaar hai tum samjho to ye bahaar hai varna kahii bahaar nahin tumhaari god men aaraam chahiye tumhaari aawaaz men bas apna naam chahiye tum samjho to ye qaraar hai varna koi qaraar nahin tum ho jo mere jeevan ka tum nahin to sab bezaar hai tum samjho to ye aadhaar hai varna koi aadhaar nahin kaash tum bhi hamse iqraar karte chaahat ki barsaat musala-dhaar karte main tumse behad karta aur tum behad ki bhi had paar karte tum samjho to in sab ke aasaar hain varna koi aasaar nahin agar tum koshish karte to pata chaltaa ki tum ho to ghar-baar hai tum se hi meraa sansaar hai varna koi sansaar nahin bin tere zindagi to rahegi kaat lenge tumhaare bina tum samjho to jeene ka vichaar hai varna koi vichaar nahin ye duniya bhale kuchh bhi bole tum meri nahin to kya main tumhaara to hooñ na yahii meraa izhaar hai agar tum samjho to ye pyaar hai varna koi pyaar nahin

Divya 'Kumar Sahab'

37 likes

ek baat kya tumhein bhi sikha doon vo hunar jisse padh liya karta hooñ tumhaari aankhoñ ko un sab baaton ko jo dabii rahtii hain tumhaari palkon ki qataaron men tab bhi jab lab KHaamosh hote hain tumhaare ya tab jab bas yuñ hi muskuraa deti ho mujhse baat karte-karte aur tab jab hont tumhaare kuchh aur hi kahte hain aur kahte kahte ruk jaaya karte hain ek baat nahin bataai tumhein ke tab main chupke se padh liya karta hooñ tumhaari aankhoñ ko pooch leta hooñ haal tumhaara kahtaa kuchh nahin haan aañkhen baat karti hain meri bhi hazaaron savaalaat bhi tumhaari hi tarah phir kyun javaab nahin de paateen tumhaari aañkhen kya tumhein bhi sikha doon vo hunar jisse padh liya karta hooñ tumhaari aankhoñ ko ki tum bhi padh lo vo baatein jin men hont khaamoshi rahte hain aur vo saari baatein jo ab tak nahin kahii tumse ya mujhe bhi sikha do apna aankhoñ se jhooth bolne ka hunar

Saurabh Mehta 'Alfaaz'

12 likes

chal aa ek aisi nazm kahooñ chal aa ek aisi nazm kahooñ jo lafz kahooñ vo ho jaa.e bas ashk kahooñ to ek aañsu tere gore gaal ko dho jaa.e main aa likkhoon tu aa jaa.e main baith likkhoon tu aa baithe mere shaane par sar rakhe tu main neend kahooñ tu so jaa.e main kaagaz par tere hont likkhoon tere honthon par muskaan aa.e main dil likkhoon tu dil thaa men main gum likkhoon vo kho jaa.e tere haath banaaun pencil se phir haath pe tere haath rakhoon kuchh ulta seedha farz karoon kuchh seedha ulta ho jaa.e main aah likhoon tu haay kare bechain likhoon bechain ho tu phir bechain ka be kaatoon tujhe chain zaraa sa ho jaa.e abhii ain likhoon tu soche mujhe phir sheen likhoon teri neend ude jab qaaf likhoon tujhe kuchh kuchh ho main ishq likhoon tujhe ho jaa.e

Amir Ameer

295 likes

meri dastaan vo din bhi kitne ajeeb the jab ham dono qareeb the shabab-e-hizr na tu na main sab apne-apne naseeb the tu hi meri duniya thii main hi teraa jahaan tha mujhe tere hone ka gurur tha tujhe mere hone par gumaan tha tere saath bitaaye the woh din vo raate kitnii haseen thius kamre men thii jannat saari ek bistar par hi zameen thii teri god men sar rakhkar main gazle apni sunaata tha tu sunkar shayari so jaati thii main teri khushbu men kho jaata tha meri kaamyaabi ki khabren sun mujhse zyaada jhooma karti thii vo bewajah baaton-baaton men meraa maatha chooma karti thii meri har pareshaani men woh meri hamdard thii,हमसाया thius se badhkar kuchh na tha bas vahii ek sarmaaya thii mulaqaat na ho to kahti thii main kaise aaj so paaoongi mujhe gale laga kar kahti thii main tumse juda na ho paaoongi ik aaina thii woh meraa usse kuchh bhi nahin chhupa tha har cheez jaanti thii meri meraa sab kuchh use pata tha yaar vahii chehre hain apne vahii ehsaas dil men hai phir kyuuñ dooriyaan badh si gaii kyuuñ rishte aaj mushkil men hai kaii sawaal hain dil men ek-ek karke sab sunogi kya main shuroo karta hooñ shuroo se ab sabka javaab dogi kya kyuuñ lautaa dii angu thii mujhe kyuuñ badal ga.e sab iraade tere kya hua teri sab kasmon ka ab kahaan ga.e sab vaade tere tere in mehn dii waale haathon men kisi or ka ab naam hain ik haadsa hain mere li.e ye maana tere li.e inaam hain apne hijr ki vo pahli raat tab khayal to meraa aaya hogaa aayi hogii sab yaaden puraani meri baaton ne bhi rulaaya hogaa jaise mujh men koi cheekh raha hain meri rooh-rooh tak so rahi hain main apni daastaan likh raha hooñ aur meri shayari ro rahi hain bas yahii iltijaa hain KHuda se koi itnaa bhi pyaara na bane kaii sooraten ho saamne nazar ke par koi hamaara na bane

"Nadeem khan' Kaavish"

16 likes

More from Vinod Ganeshpure

ishq ik pal pal sa vaqt har din guzarta hain kyunna jaane dil bhi hardam dooriyon se dartaa hai kyun ishq men ham doobe hue hain ek-doosre ke itne chaah ke dil-o-jaan se dard ye milta hai kyun shikaayat kis se hi karen manaa karne ke baad bhina jaane kaise bhala pyaar men ye dil pighlata hai kyun

Vinod Ganeshpure

1 likes

kho gaya hooñ tujhe dekha laga mujh ko vahii phir kho gaya hooñ main nahin hai hosh us din se tira jo ho gaya hooñ main lage din raat ik jaisi khushi men so gaya hooñ main mujhe ik yaad ab tu hai musaafir ho gaya hooñ main sataaye ja rahi duniya tira dil ho gaya hooñ main

Vinod Ganeshpure

2 likes

KHuda har kisi kii chaah kya kaise pata ho saaf kah do sab KHuda to hooñ nahin main aap ka hai dard mujh ko kyun pata ho aap se yuñ ab juda to hooñ nahin main yaad rakh aabaad hai aawaaz teri tu kabhi lad yuñ shuda to hooñ nahin main

Vinod Ganeshpure

1 likes

tu hai morni tu chaand hai jaise hai aasmaan kii shaan tu KHvaab hai jaise raushni ho din ke har pal saath tu ashk hai jaise hote har pal hai aankhoñ ke saath tu raat hai dil kii ho ankahi sii baat tu hai morni naache jo megh karte hain barsaat

Vinod Ganeshpure

1 likes

kitaaben kitaaben soi hui hain almaariyon men sukoon se yuñ dekhte hue khwaab koii to jaga de unko dhool itni hai un par jaise lipti hui hain dil se chahti hain kitaaben koii to chhoo le unko dimaagh kii almaari jis se khulti hai un chaabiyoon ke baare men koii to pooche unko ye facebook whatsapp instagram se mile jo fursat kitaaben chahti hain 'aashiq aise koii to mile unko dil men li.e baithe hain kitne raaz yaaden tajurba bahut kuchh kitaaben chahti hain baith ke koii to padhe samjhe unko

Vinod Ganeshpure

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Vinod Ganeshpure.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Vinod Ganeshpure's nazm.