nazmKuch Alfaaz

phir ek mulk azaad bane jab maqsad desh banaana tha ham hisse lekar kyuuñ baithe jab itihaas bataana tha sabko ham qisse lekar kyuuñ baithe bolo ham hindustaani hain bas kshetra praant ratna chhodo kya zaat paat kya bhed-bhaav tum tukdon men baantna chhodo ham aapas men uljhe hain duniya to aage chali gaii apni medha apni mehnat to raajneeti se chhali gaii koshish hamko yah karne hai ham milkar ke faulaad banen apna vujood saabit kar ke phir ek mulk azaad bane

Gulshan3 Likes

Related Nazm

chaar zindagi sabko mila hai chaar zindagi ka safar maa ka pet aur duniya ka ghar chhoti si qabr aur maidan-e-hashr pahli zindagi ka tasavvur agar maa ka pet tumko aayega nazar nau maheene jisne kiya tha sabr tumne diya kya uskaa ajr doosri zindagi duniya ka ghar jis men basaaya tumne shahar thii chaar din ki zindagi magarus par laga dii poori umr mili jab maut ki sabko khabar pachtaane lage phir hua ye asar ahl-o-ayaal bhi roye idhar hua taiyaar janaaza udhar teesri zindagi jiska pet qabr honge sab door tujhe dafan kar aayenge farishte fauran qabr par lagega sawaalon ka ek ambar dena javaab tab KHud ke bal par jab pahunchegi duniya us mod par qayamat tak hai qabr ka safar chau thii zindagi maidan-e-hashr jidhar milega neki-ba dii ka ajr saamne hogaa pul-siraat safar tezi se guzrega vo hi uspar jo padhta namaaz maghrib se asar jisne kiya baitullah ka safar jisne banaya nabi ko rahbar jannat men honge mahal aur shajar aur dozakh men honge aag ke ambar na maaloom kitnii hai baaki umr aayegi maut kabhi bhi zafar jitni hai baaki laga deen par sabko mila hai chaar zindagi ka safar

ZafarAli Memon

14 likes

anjaam hain labreiz aahon se thandi hawaaein udaasi men doobi hui hain ghataaein mohabbat ki duniya pe shaam aa chuki hai siyah-posh hain zindagi ki fazaayein machalti hain seene men laakh aarzuen tadapati hain aankhoñ men laakh iltijaaein taghaaful ki aaghosh men so rahe hain tumhaare sitam aur meri wafaayein magar phir bhi ai mere maasoom qaateel tumhein pyaar karti hain meri duaaein

Faiz Ahmad Faiz

27 likes

hausla hausla rakh raaste dikhne lagenge yah andhere subh tak chhatne lagenge qafile par qafile guzre yahaañ se dekhna kuchh naqsh-e-paa aage milenge lad-khadaate hauslon ko phir utha kar subh hote hi safar par chal padenge thokron se kah do ke dam-kham laga den ham girengे phir uthenge par chalenge

MAHESH CHAUHAN NARNAULI

15 likes

tumhein ik baat kahni thii ijaazat ho to kah doon main ye bheega bheega sa mausam ye titli phool aur shabnam chamakte chaand ki baatein ye boonden aur barsaatein ye kaali raat ka aanchal hawa men naachte baadal dhadakte mausamon ka dil mehkati khushbuon ka dil ye sab jitne nazaare hain kaho kis ke ishaare hain s abhii baatein sooni tum ne phir aañkhen fer leen tum ne main tab ja kar kahii samjha ki tum ne kuchh nahin samjha main qissa mukhtasar kar ke zaraa neechi nazar kar ke ye kahtaa hooñ abhii tum se mohabbat ho gaii tum se

Zubair Ali Tabish

117 likes

pehla ishq ta'arruf hua tha abhii hi un se waqt kahaan zyaada guzra hai baatein hoti thii bahut hi un se waqt kahaan zyaada sudhara hai ankon men dilchaspi mujhe urdu ka thoda-sa gyaan tha woh angrezee se waqif bahut lekin shunya sa abhimaan tha pasand unki aankhoñ men kaajal aur unpar vo chashma tha unhen pasand meri ghani daadhi aur aankhoñ men surmaa tha k abhii ye la do to k abhii vo la do maine ki har KHvaahish poori lekin mehram banaane ki meri KHvaahish rah gayi adhuri kaha tha unhonne pahle hi mujh se rakh do apne maa-baap ko arzee par zafar dartaa khone se unko aur kaha jaisi rab ki marzi na jaane kaun sa lazez waqt tha ki ishq ki rasoi ko ham ne pakaaya agar alahida karna hi tha maqsad to phir kyun ham dono ko milaaya

ZafarAli Memon

14 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Gulshan.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Gulshan's nazm.