ped satrah athraah saal ki thii vo jab vo duniya chhod gaii thii aakhiri saansen ginti ladki mujhse himmat baant rahi thii haath pakad ke daant rahi thii aise thodii karte hain aashiq thodii marte hain jism to ek kahaanii hai saansen aani jaani hain usne kaha tha pyaare ladke sabse milnaa hañs ke milnaa meri yaad men ped lagana paagal ladke ishq ke haami mere peeche mar mat jaana ishq kiya tha ishq nibhaana
Related Nazm
anjaam hain labreiz aahon se thandi hawaaein udaasi men doobi hui hain ghataaein mohabbat ki duniya pe shaam aa chuki hai siyah-posh hain zindagi ki fazaayein machalti hain seene men laakh aarzuen tadapati hain aankhoñ men laakh iltijaaein taghaaful ki aaghosh men so rahe hain tumhaare sitam aur meri wafaayein magar phir bhi ai mere maasoom qaateel tumhein pyaar karti hain meri duaaein
Faiz Ahmad Faiz
27 likes
kab kab ye ped hare honge phir se kab ye kaliyaan footengi aur ye phool hasenge kab ye jharne apni pyaas bharenge kab ye nadiyaan shor machaayengi kab ye azaad ki.e jaayenge sab panchi kab jungle saansey lenge kab sab jaayenge apne ghar kab haathon se zanjeeren khuli jaayeñgi kab ham aison ko poochhega koii aur ye faqeeron ko bhi kisse men laaya jaayega kab in kaanton kii bhi qeemat hogii aur miTTi sone ke bhaav men aayegi kab logon kii ghalti taali jaayegi kab ye hawaayein paayal pahne jhoomengi kab ambar se pariyaan utarengi kab pattharon se bhi KHushboo aayegi kab hanso ke joden nadiyon pe baithege barkha geet banaayegi aur mor utha ke par kathak karte dekhe jaayenge neelkamal paani se ishq ladaayenge machliyaan khushi ke gote maarengi kab koyal kii kook sunaai degi kab bhawre phir gun gun karte lautenge mozeje men aur kab ye pyaari titliyan color fekengi phir sab kuchh dooba hogaa rangon men kab ye duniya roshan hogii kab ye jugnoo apne rang men aayenge kab ye sab mumkin hai kab sabke hi sapne poore honge kab apne man ke mutaabiq hogaa sab kuchh kab ye bahaarein lotengi kab vo taarikh aayegi bas mujh...ko hi nahin sabko intzaar hai tere birthday ka
BR SUDHAKAR
16 likes
jab chhua saath tulsi chaura aankhoñ men saanson ko kheeche tumse jo vaa'da kiya kabhi padiya jee ke peepal neeche tum ne chaaha tha KHush rahna KHud khushi sadaa mujh se seekhe duniya bhar ke sankalp satat poore hote mujh men dikhe KHud se anubandh kiya hai ab man ko nirbandh kiya hai ab gat-vigat mukt ho sakne ka sampurn prabandh kiya hai ab is naye saal ke pahle din tum se baahar socha to hai man-praan sumarni chhodenge sunte to hain hota to hai kaafi hai
Kumar Vishwas
13 likes
yaar yaar tha main tumhaara ya mahaj koi seedhi manzil tak pahoonch ga.e peeche dekha tak nahin jo seekh kisi ne nahin vo seekh pedon ne dii chhaaon lete rahe magar tumhaari aari ruki nahin bachpan men khela karte saath ham saanp seedhi utara ye zindagi men kab bhank tak lagii nahin sapne bhi saath bune the bahut umeedein bhi thii kaii baadlon ki sair par nikal ga.e tum par main nahin agar rukhsat ki hoti khabar zaraa si bhi tab maa se do roti zyaada banwaata nahin arpit maine ghoom phir kar yahii baat hai maani kaii milenge inke jaise ye zalim akelaa nahin
Arpit Sharma
13 likes
us se muhabbat jheelein kya hain uski aañkhen umdaa kya hai uskaa chehra khushboo kya hai uski saansen khushiyaan kya hain uskaa hona to gham kya hai usse judaai saawan kya hai uskaa rona sar dii kya hai uski udaasi garmi kya hai uskaa ghussa aur bahaarein uskaa hansna meetha kya hai uski baatein karwa kya hai meri baatein kya padhna hai uskaa likkha kya sunna hai uski ghazlein lab ki KHvaahish uskaa maatha zakham ki KHvaahish uskaa choona duniya kya hai ik jungle hai aur tum kya ho ped samajh lo aur vo kya hai ik raahi hai kya socha haius se muhabbat kya karte hous se muhabbat matlab peshaus se muhabbat is ke alaavaus se muhabbat usse muhabbat
Varun Anand
475 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Rishabh Sharma.
Similar Moods
More moods that pair well with Rishabh Sharma's nazm.







