hamaara gaav suno apne main teliya gaav ka kissa sunaata hooñ tumhein lafzon men apne aaj bahraaich dikhaata hooñ jahaan par sadken kacchi hain jahaan har samt ghurbat hai jahaan par aaj bhi logon ko shiksha ki zaroorat hai jahaan ke log paison ke li.e pardes jaate hain vo kha ke rookhi sookhi rotiyaan paise kamaate hain magar phir bhi hamaare gaav ke logon men ulfat hai ha men is gaav se har haal men beshak muhabbat hai mujhe vo khet vo bagiya sabhi ab yaad aate hain main hooñ lucknow men lekin mujhe vo sab bulaate hain hamaare gaav se kuchh doori par sarjoo nikalti hai nahaao jab bhi us paani men to KHushboo nikalti hai bataayen kis qadar ham dhoop men na chaanv men baithe ga.e jab bhi ham apne madarse to naav men baithe vo bahta sarjoo ka paani hamaara naav men hona nazaara kitna dilkash tha hamaara gaav men hona
Related Nazm
tumhein ik baat kahni thii ijaazat ho to kah doon main ye bheega bheega sa mausam ye titli phool aur shabnam chamakte chaand ki baatein ye boonden aur barsaatein ye kaali raat ka aanchal hawa men naachte baadal dhadakte mausamon ka dil mehkati khushbuon ka dil ye sab jitne nazaare hain kaho kis ke ishaare hain s abhii baatein sooni tum ne phir aañkhen fer leen tum ne main tab ja kar kahii samjha ki tum ne kuchh nahin samjha main qissa mukhtasar kar ke zaraa neechi nazar kar ke ye kahtaa hooñ abhii tum se mohabbat ho gaii tum se
Zubair Ali Tabish
117 likes
main cigarette to nahin peeta magar har aane waale se pooch leta hooñ ki maachis hai bahut kuchh hai jise main phoonk dena chahta hooñ
Gulzar
107 likes
dost ke naam khat tumne haal poocha hai haalat-e-mohabbat men haal ka bat aanaa kya dil sisak raha ho to zakham ka chhup aanaa kya tum jo pooch baithe ho kuchh to ab bat aanaa hai baat ek bah aanaa hai tumne haal poocha hai ik diya jalata hooñ theek hai bataata hooñ roz uski yaadon men door tak chale j aanaa jo bhi tha kaha usne apne saath dohr aanaa saans jab ruke to phir apni marti aankhoñ men uski shakl le aanaa aur zindagi p aanaa roz aise hota hai kuchh purane message hain jin men uski baatein hain kuchh tabeel subhe hain kuchh qadeem raatein hain maine uski baaton men zindagi guzaari hai zindagi mitaane ka hausla nahin mujh men ek ek lafz uskaa saans men pirooya hai rooh men samoya hai uske jitne message hai roz khol leta hooñ usse kah nahin paata KHud se bol leta hooñ uske pej par ja kar roz dekhta hooñ main aaj kitne logon ne uski pairavi ki hai aur sochta hooñ main ye naseeb waale hain us..ko dekh sakte hain usse baat karte hain ye ijaazaton waale mujhse kitne behtar hain main to daagh tha koi jo mita diya usne gar mita diya usne theek hi kiya usne tumne haal poocha tha lo bataa diya maine jo bhi kuchh bataaya hai us..ko mat bataa dena padh ke ro paro to phir in tamaam lafzon ko bas gale laga lena vo meri mohabbat hai aur sadaa rahegi vo jab nahin rahoonga to ek din kahegi vo tum ali faqat tum the jisne mujh...ko chaaha tha jisne mere maathe ko choom kar bataaya tha tum dua ka chehra ho tum haya ka pahra ho main to tab nahin hoonga par meri sabhi naz men uski baat sun lenge tum bhi muskuraa dena phir bahut mohabbat se us..ko sab bataa dena uske narm haathon men meraa khat thama dena lo ye khat tumhaara hai aur uski jaanib se vo jo bas tumhaara tha aaj bhi tumhaara hai
Ali Zaryoun
70 likes
daulat na ata karna maula shohrat na ata karna maula bas itnaa ata karna chahe jannat na ata karna maula shamma-e-watan ki lau par jab qurbaan patanga ho hothon par ganga ho haathon men tiranga ho hothon par ganga ho haathon men tiranga ho bas ek sadaa hi sunen sadaa barfeeli mast hawaon men bas ek dua hi uthe sadaa jalte-tapte sehraaon men jeete-ji iska maan rakhen mar kar maryada yaad rahe ham rahen kabhi na rahen magar iski saj-dhaj aabaad rahe jan-man men uchchal desh prem ka jaladhi taranga ho hothon par ganga ho haathon men tiranga ho hothon par ganga ho haathon men tiranga ho geeta ka gyaan sune na sunen is dharti ka yashgaan sunen ham sabad-keertan sun na saken bharat maa ka jaygaan sunen परवरदिगार,मैं tere dwaar par le pukaar ye aaya hoon chahe azaan na sunen kaan par jay-jay hindustan sunen jan-man men uchchal desh prem ka jaladhi taranga ho hothon par ganga ho haathon men tiranga ho hothon par ganga ho haathon men tiranga ho
Kumar Vishwas
66 likes
bahut KHoob-soorat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum kabhi main jo kah doon mohabbat hai tum se to mujh ko khuda raa galat mat samajhna ki meri zaroorat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum hain phoolon ki daali pe baanhe tumhaari hain KHaamosh jaadu nigaahen tumhaari jo kaañte hooñ sab apne daaman men rakh luun sajaun main kaliyon se raahen tumhaari nazar se zamaane ki KHud ko bachaana kisi aur se dekho dil mat lagana ki meri amaanat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum kabhi jugnuon ki qataaron men dhoondha chamakte hue chaand-taaron men dhoondha khajaon men dhoondha bahaaron men dhoondha machalte hue aabsaaron men dhoondha haqeeqat men dekha fansaane men dekhana tum sa hañsi is zamaane dekhana duniya ki rangeen mehfil men paaya jo paaya tumhein apna hi dil men paaya ek aisi masarrat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum hai chehra tumhaara ki din hai sunhara hai chehra tumhaara ki din hai sunhara aur is par ye kaali ghataon ka pahra gulaabon se naazuk mahakta badan hai ye lab hain tumhaare ki khilta chaman hai bikhero jo zulfen to sharmaae baadal farishte bhi dekhen to ho jaayen paagal vo paakizaa moorat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum jo ban ke kali muskuraati hai akshar shab hijr men jo rulaati hai akshar jo lamhon hi lamhon men duniya badal de jo sha'ir ko de jaa.e pahluu ghazal ke chhupaana jo chahein chhupaai na jaa.e bhulaana jo chahein bhulaai na jaa.e vo pahli mohabbat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum
Tahir Faraz
54 likes
More from Hameed Sarwar Bahraichi
zindagi ke rang mujhe zindagi se gilaa nahin mujhe aashiqi se gilaa nahin mujhe saadgi se gilaa nahin mujhe bekhu dii se gilaa nahin mujhe kahkashaan se gilaa nahin mujhe aasmaan se gilaa nahin mujhe bas faqat ye gilaa raha mujhe har khushi se gilaa raha teri justuju se main dar gaya main guzar gaya main bikhar gaya meraa haal kaisa ye haal hai main to ishq ishq men mar gaya teri yaaden mujh...ko sata raheen meri dhadkano ko badha raheen main kahaan hoon mujh...ko khabar nahin ye udaasiyaan mujhe kha raheen
Hameed Sarwar Bahraichi
5 likes
muhabbat muhabbat vo ki jis..ko bhi mile sultaan ho jaa.e muhabbat bin hamaari zindagi veeraan ho jaa.e muhabbat hai to mumkin hai zamaana hai fasana hai muhabbat ka nagar to aashikon ka kaarkhaana hai muhabbat raaj hai dil ka muhabbat raajdhaani hai muhabbat ke bina to shahar bhar men naa-tawaani hai muhabbat hai to duniya hai muhabbat hai to ham tum hain muhabbat ki badaulat hi chamakte saare anjum hain muhabbat qeemti shay hai badi mushkil se hoti hai muhabbat maaf karti hai agar qaateel se hoti hai muhabbat to bharosa hai muhabbat hi sakhaawat hai muhabbat aankh ki thandak muhabbat rab ki rahmat hai
Hameed Sarwar Bahraichi
4 likes
nazm ajnabi mahbooba ham tujhe jaante na the pahle tujhko pahchaante na the pahle aaj tujhko jo jaan paa.e hain mere ashaar jagmagaae hain tu koi aan baan waali hai tu haseenon men shaan waali hai tu samandar sa gahra paani hai tere hone se sab kahaanii hai tu mila hai mujhe manaane se aaj main KHush hoon tere aane se tujhko main raasta agar kah doon tujhko jeene ka gar hunar kah doon tujhko apni mata-e-jaan kah doon tujhko apna main hamnava kah doon meraa tujhse hi raabta hai ab sadiyon sadiyon ka vaasta hai ab door main tujhse ab kidhar jaoon tujhko main dekh kar sanvar jaoon mujh...ko saaya bhi teraa bhaata hai raat din tu hi yaad aata hai tere hone se muyassar hai sukoon bin tere main to kahii bhi na rahoon ho ke anjaan ab nahin jeena bin tere jaan ab nahin jeena tum pe sabkuchh main aaj haara hoon tum mere aur main tumhaara hoon
Hameed Sarwar Bahraichi
3 likes
pyaar ki nishaani ik nishaani pal rahi hai pyaar ki aur kya KHvaahish karoon sansaar ki ek nanhi jaan mere dil men hai shukriya karti rahoon main yaar ki aur kya KHvaahish karoon sansaar ki apne haathon se use sahla rahi man hi man KHush ho rahi aur ga rahi hai khushi is baat ki mere KHuda ho na paayenge kabhi ab ham juda ye jo meri kokh men hai pal raha mil rahi hai har khushi dildaar ki aur kya KHvaahish karoon sansaar ki
Hameed Sarwar Bahraichi
4 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Hameed Sarwar Bahraichi.
Similar Moods
More moods that pair well with Hameed Sarwar Bahraichi's nazm.







