nazmKuch Alfaaz

vo ladki yaad aati hai bala kii khoobsurat thii vo chalti phirti moorat thii mire dil kii zaroorat thii vo ladki yaad aati hai saleeke se zaraa shahri samandar sii magar gahri nazar meri jahaan thehri vo ladki yaad aati hai ki jis bin dil nahin bahle zabaan ke bin bhi sab kah le jise dekha bahut pahle vo ladki yaad aati hai bahut fursat se dekha tha bahut ulfat se dekha tha badi shiddat se dekha tha vo ladki yaad aati hai bahakte din haseen raatein sabhi dilkash mulaqaatein vo uski besabab baatein vo ladki yaad aati hai jab uskaa naam sunta hoon jab uske khwaab bunta hoon sunhare lamhe chunta hoon vo ladki yaad aati hai

Related Nazm

nasri nazm nasr abbaa nazm amaan dono ko inkaar hai ye jo nasri nazm hai ye kis ki paida-waar hai sirf lafzaazi pe mabni hai ye tajree dii kalaam jis men anqa hain maani lafz parda-daar hai nasr hai gar nasr to vo nazm ho sakti nahin nazm jo ho nasr ki maanind vo be-kaar hai qaafiye ki koi paaban dii na hai qaid-e-radif be-dar-o-deewaar ka ye ghar bhi kya purkaar hai bahar se azaad qaid-e-wazan se hai be-niyaaz waah kya madar pidar azaad ye dildaar hai martabe men meer o mumin se hai har koi buland in men har be-bahr ghalib se badaa fankaar hai jis ke chamche jitne zyaada hon vo utna hi azeem aaj kal misra uthaana ek kaarobaar hai daad sirf apnon ko dete hain giroh-andar-giroh un ke tole se jo baahar ho gaya murdaar hai ban gaya ustaad-o-allaama yahaañ har be-shuur kor-chashm ahl-e-nazar hone ka daavedaar hai shaayri juz-shairi hai hai zaraa mehnat-talab aur mehnat hi vo shay hai jis se un ko aar hai paap-music ke li.e mauzoon hai nasri shaayri har rivaayat se baghaavat ki ye daavedaar hai tabb-e-mauzoon gar na bakshi ho KHuda ne aap ko shaayri kyun kijeye aaKHir kya KHuda ki maar hai daad dena aisi nazmon ko ba dii be-daad hai jo na samjha aur kahe samjha badaa makkaar hai

Aasi Rizvi

13 likes

main raat uthoon aur apne saare purane yaaron ko phone kar ke unhen jagaaoon unhen jagaaoon unhen bataoon ki yaar tum sab badal ga.e ho bahut hi aage nikal ga.e ho jo raahen tumne chuni hui hain vo kitnii tanhaa hain kitnii khaali jo raatein tum ne pasand kii hain vo saKHt kaali hain saKHt kaali zara sa maazi baeed dekho ham aisi duniya men jee rahe the jahaan pe ham se agar hamaara koii bhi jigari khafa hua to ham uskaa ghussa KHud apne u uupar nikaalte the hasi kii baatein ajeeb kisse ajeeb saste se jok kah ke kisi bhi haalat kisi bhi qeemat peus khafa ko hansa rahe the aur aaj aalam hai aisa ham sab khafa khafa hain juda juda hain hamaari life men koii ladki hamaari life banii hui hai hamaari aankhoñ pe pyaar naamak safed patti bandhi hui hai tumhaari life ko kis tarah tum bita rahe ho kisi haseena kii uljhi zulfen sanwaarte ho usii kii nakhre utha rahe ho rula rahe ho manaa rahe ho ye baatein apne main doston ko sunaana chaahoon to phone uthaaun jo phone uthaaun to kaantaikt ko khangaal baithoon magar ta'ajjub ke meri ungli meri bagaavat men aa khadi hai kisi haseena ke ek number ko call karne pe ja adi hai so main kisi yaar dost ko phir puraani yaaden dilaaun kaise kisi ka number lagaaun kaise main KHud sabhi ko bhula chuka hooñ main call aakhir milaaun kaise

Shadab Javed

12 likes

kyuuñ hai tum nahin ho yahaañ par phir bhi tumhaare hone ka ehsaas kyuuñ hai kuchh hai nahin mere haath men phir bhi kuchh hone ki ye aas kyuuñ hai badi hairaani hai mujhe ki vo door hokar bhi itnaa paas kyuuñ hai sabne kaha ki vo to paraaya hai vo paraaya hokar bhi itnaa khaas kyuuñ hai j itnaa vo door hai mujhse vo utna hi mujh...ko raas kyuuñ hai baitha hooñ bilkul ekaant men main phir bhi kaanon men uski aawaaz kyuuñ hai khul ke nahin kahti vo kuchh bhi uski aankhoñ men itne raaz kyuuñ hain basi hai dil men vo mere ye meraa dil uskaa aavaas kyuuñ hai us..ko nahin bhula saka main ye uske naam ki har shvaas kyuuñ hai poori kaaynaat uski yaad dilaati hai ye tan-man men uskaa vaas kyuuñ hai vo meri hui nahin hai abhii us..ko khone ke dar se man itnaa badhavaas kyuuñ hai dooriyaan likhi hain jaise darmiyaan meraa naseeb mujhse itnaa naaraaz kyuuñ hai aise shabd kahaan se laaun ki vo samjhe jo gar na samjha paa.e to phir aise alfaaz kyuuñ hain rah to raha hooñ apne nivaas men uske bin lagta ye vanvaas kyuuñ hai gar mil bhi jaa.e sampatti saari duniya ki magar vo saath nahin to phir ye bhogvilaas kyuuñ hai sote hi uske khwaabon men aur jaagte hi uske khyaalon men kaise bhi uskaa ho jaane ki itni pyaas kyuuñ hai jaltee hain ye nazren ab meri in nainon ko har waqt teri talash kyuuñ hai haalaat kah rahe hain ki ye mumkin nahin phir bhi tum pukaarogi ek din mujhe itnaa vishwas kyuuñ hai ab bhi nahin samjhi kyuuñ hai tumhaari bahut yaad aati hai tum bin raha nahin jaata bas baat kuchh yoon hai tumse bepanaah mohabbat thii hai aur rahegi ye satya jyon ka tyon hai kyuuñ hai

Divya 'Kumar Sahab'

37 likes

haal-e-dil meri dilruba tum khoobsurat ho soorat se nahin seerat se mujhe tumhaari seerat se muhabbat hai isi li.e seerat ka jaanta hooñ sharm dahshat pareshaani jinhen sukhnavaron kaviyaan ne ishq kii lazzat bataaya hai filhaal ye mere darmiyaañ aa rahe hain bahaal meri chahten tumhaare nafs men dhadkati hain zinda rahtii hain maine tumhein dekha hai dekhte hue mujhe chahte hue mujhe sochte hue aur mere li.e pareshaan hote hue vaise chaahat ho to kehna laazmi hota hai zaroori hota hai lekin ishq kii qaaynaat men lafz KHaamosh rahte hain aur nigaahein baat kar letii hain mujhe pata hai ek din tum meri nigahon se baat kar logi pooch logi aur tumhein javaab milega haan main bhi chahta hooñ khoob chahta hooñ vaise main bhi apne nagmon apni ghazlon men muhabbat khoob likhta hooñ haalaanki sadaqat ye hai ki main bhi kehne men khauf khaata hooñ vaise bura na maanna ki maine tumse kabhi izhaar nahin kiya soch lena ki theory aur practical men farq hota hai khairab jo meraa maujooda haal hai vo ye hai ki aa.e din dil aur dimaagh mas'ala khada kar dete hain dil kahtaa hai tum khoobsurat ho dimaagh kahtaa hai manzil pe ikhtiyaar karo bahaal tum khoobsurat ho tum ziyaada khoobsurat ho tum sabse ziyaada khoobsurat ho tum hi khoobsurat ho

Rakesh Mahadiuree

25 likes

mashwara badlenge log badlenge unke tevar bhi jaane anjaane men har tevar samajhta hooñ main apne alfaaz ko dil-o-dimaagh se likhta hooñ dil toota 'aashiq hooñ har rang ko parkhta hooñ apni un harkat aur be-wajah pyaar par hone par ek shaam KHud men kahii khatkata hooñ tasveer ko dekh kar teri le kar teraa naam un puraani yaad men har roz kahii bhatkata hooñ teri sab cheez aur sab tohfon ko khoob unhen sanwaar kar aur sambhaale rakhta hooñ bhool kar tujh ko apne man se radd karke teri yaaden shuroo karne ek nayi zindagi subh-savere nikalta hooñ bewafa main na tujhe kahunga na hi KHud ko matlabi raho hamesha tum khushhaal minnaten is ki karta hooñ mashwara-e-zafar sun lo doston aaj main tum ko kahtaa hooñ pahle raazi waalidain ko baad hi ishq karna roz aise kitne 'aashiqon main dekhta bichhadta hooñ

ZafarAli Memon

14 likes

More from S M Afzal Imam

nazm mohabbat mohabbat men koi ladka mohabbat men koi ladki kabhi jab mubtala hote to apnon se juda hote jo haasil ho to paagalpan jo la-haasil to paagalpan mohabbat men aziyyat hai mujhe isse shikaayat hai mohabbat shakhsiyat hai jo bahut khudgarz hoti hai bahut kamzarf hoti hai bhula deti hai duniya ko basa letii nayi duniya mohabbat main nahin karta mohabbat ka mukhalif hooñ main dartaa hooñ mohabbat se mohabbat dard deti hai mohabbat jaan letii hai mohabbat bewakoofi hai

S M Afzal Imam

0 likes

humeen se mohabbat nahin ki gaii hamaari yuñ hi zindagi li gaii humeen se mohabbat nahin ki gaii humeen se hamesha qareebi rahi humeen se mohabbat nahin ki gaii humeen un ke chakkar men ruswa hue humeen se mohabbat nahin ki gaii humeen se mohabbat ka vaa'da hua humeen se mohabbat nahin ki gaii humeen ne mohabbat ka naara diya humeen se mohabbat nahin ki gaii kabhi aashiqon ke maseeha the ham humeen se mohabbat nahin ki gaii humeen ne sabhi se mohabbat kiya humeen se mohabbat nahin ki gaii

S M Afzal Imam

5 likes

vo jitni khoobsurat hai vo jitni khoobsurat hai use kyunkar zaroorat hai ke zulfon ko sanwaare vo ke aadat ko sudhaare vo lagaaye surkhi hoton par ho filter jaise photo par ke KHud ko baarha dekhe ke ghanton aaina dekhe vo jitni khoobsurat hai use hoonai zaroorat hai ke lahjaa narm ho uskaa sharaafat dharm ho uskaa ke hoton ko zaraa bheenche nazar apni rakhe neeche koi vaa'da nibhaaye vo kisi se dil lagaye vo vo jitni khoobsurat hai use kyoonkar zaroorat hai

S M Afzal Imam

1 likes

tumhaari yaad tumhaari yaad aate hi dil ko thaam leta hooñ tumhein hi yaad karta hun tumhaara naam leta hooñ tumhaari yaad laati hai tabassum mere chehre par khayaalon men sanvarta hooñ nikal aate sunhare par tumhaara yaad aanaa zindagi dushwaar hona hai tumhaari yaad kho j aanaa meraa beemaar hona hai tumhaari yaad aati hai to sabkuchh bhool jaata hooñ main jab kuchh bhool jaata hooñ tumhaari yaad aati hai tumhaari yaad aati hai to aañkhen band karta hooñ main aañkhen band karta hooñ tumhaari yaad aati hai tumhaari yaad aane se tumhaari yaad jaane tak jo waqfa bhi guzarta hai tumhaari yaad aati hai

S M Afzal Imam

10 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on S M Afzal Imam.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with S M Afzal Imam's nazm.