holi ye holi ka huddang hai yaaron holi ka huddangna koii chhota na badaa khelen milkar sang holi ka huddang hai yaaron holi ka huddang kahiin thaal abeer bharii kahiin rangon se bharii pichkaari kabhi tu mujh...ko rang lagaaye kabhi rangon kii meri baari dushman bhi ab dost bankar jhoo men mast malang ye holi ka huddang hai yaaron holi ka huddang kal kii fikr chhodkar yaaro is pal men jeena seekhen rangon ko jeevan men apnaakar aao jeevan jeena seekhen bhool kar un ghamon ko yaaron aao jhoo men naache sang ye holi ka huddang hai yaaron holi ka huddang pakwaanon ke swaad men samay beet na jaaye baad men koii gulaal lagao yaaro koii lagao rang
Related Nazm
nazm:-'shaahzaa dii bahut naadaan thii ladki mujhe apna samjhti thii mujhi pe jaan lutaati thii bahut baatein banaati thii mujhe kisse sunaati thii aur us men shaahzaa dii thii jise ik shahzaade se mohabbat thii vo kahti thii ki main bhi shaahzaa dii hoon mujhe bhi shahzaada hi milega najo mujhpe jaan lutaayega mujhe apna banaayega main kahtaa tha ki main hoon aam sa ladka mohabbat ka to matlab bhi mujhe ab tak nahin maaloom tumhein dekhoon to lagta hai mohabbat cheez hai कोई,जो tum jaisi haseen hongi main tumse baat karta hoon to lagta hai mohabbat hai koi ladki jo yoon hi bolti hogii tumhaare saath hota hoon to lagta hai mohabbat hai yahiin pe paas men mere so yoon samjho meri khaatir mohabbat tum mohabbat ka ho matlab tum vo kahti thii chalo jhoothe bahut baatein banaate ho nahin ho itne bhole tum mujhe jitna dikhaate ho kaha maine are pagli mujhe chhodo chalo jaao kahii se dhoondh ke laao hai koi shahzaada to ki tum to shaahzaa dii ho tumhein to shahzaada hi milega nadikha aañkhen kaha usne ki haan haan le hi aaungi tumhein main phir dikhaungi dikhaaya to nahin lekin vo KHud men kho gaii shaayad ya koi mil gaya us..ko vo ab baatein banaana bhool jaati thii mujhe kisse sunaana bhool jaati thii phir ik din phone kar boli kaha tha naki main to shaahzaa dii hoon to dekho dhoondh laai main tumhaare hi tarah baatein nahin bilkul banata hai mujhe vo shaahzaa dii hi bulaata hai mujhe apna bataata hai bahut paise kamata hai vo kahtaa hai use mujhse mohabbat hai jo maine bolna chaaha kaha usne ki rahne दो,ये baatein tum na samjhoge ki tum ho aam se ladke so tumse door jaana hai use apna banaana hai mujhe ghar bhi basaana hai main us..ko alvida kahtaa dua bhi de hi deta nabahut jal dii men thii shaayad so usne kuchh bhi sunna theek na samjha bina bole hi uskaa phone kat gaya shaayad bahut naadaan thii ladki
Ankit Maurya
12 likes
nasri nazm nasr abbaa nazm amaan dono ko inkaar hai ye jo nasri nazm hai ye kis ki paida-waar hai sirf lafzaazi pe mabni hai ye tajree dii kalaam jis men anqa hain maani lafz parda-daar hai nasr hai gar nasr to vo nazm ho sakti nahin nazm jo ho nasr ki maanind vo be-kaar hai qaafiye ki koi paaban dii na hai qaid-e-radif be-dar-o-deewaar ka ye ghar bhi kya purkaar hai bahar se azaad qaid-e-wazan se hai be-niyaaz waah kya madar pidar azaad ye dildaar hai martabe men meer o mumin se hai har koi buland in men har be-bahr ghalib se badaa fankaar hai jis ke chamche jitne zyaada hon vo utna hi azeem aaj kal misra uthaana ek kaarobaar hai daad sirf apnon ko dete hain giroh-andar-giroh un ke tole se jo baahar ho gaya murdaar hai ban gaya ustaad-o-allaama yahaañ har be-shuur kor-chashm ahl-e-nazar hone ka daavedaar hai shaayri juz-shairi hai hai zaraa mehnat-talab aur mehnat hi vo shay hai jis se un ko aar hai paap-music ke li.e mauzoon hai nasri shaayri har rivaayat se baghaavat ki ye daavedaar hai tabb-e-mauzoon gar na bakshi ho KHuda ne aap ko shaayri kyun kijeye aaKHir kya KHuda ki maar hai daad dena aisi nazmon ko ba dii be-daad hai jo na samjha aur kahe samjha badaa makkaar hai
Aasi Rizvi
13 likes
wajhein suno jaane se etiraaz nahin mujhe par jaao to laut aane ki wajhein chhod jaana aaj na sahi kal suljh jaayengi kya sahi hai inhen kheench kar tod dena ya behtar hai girhein rahne dena aur waqt par chhod dena addad raabton men laazim hain ruswaaiyaan bhi jab manaye koi to aur roothna jirh karna phir maan jaana baat bigad jaati hai chup rahne se bhi sab chupchaap sahne se bhi kehna kah dena kehne dena KHaamoshiyon ke bharose mat rahna ab jaao par laut aane ki wajhein chhod jaana
Saurabh Mehta 'Alfaaz'
11 likes
chalo bachpan mustaqil hain chalo bhalii aadat banaate hain chalo KHud ko sikhaate hain chalo bachpan mustaqil hain tajurbe zard se lagne lage hain kavar un par chadhate hain chalo bachpan mustaqil hain chalo seenchein vo beeta kal jugat se chalo khelen vahii sab khel kal ke chalo un garmiyon ki kulfiyon ko phir manaate hain chalo bachpan mustaqil hain ke chutki ek lekar muskuraahat ki milaate hain samay ki aanch par yaadon ki haandi phir chadhate hain milaate hain vo ik chhota sa chamach bachpane ka chalo mil kar ke phir se vo hi nadaani pakaate hain sunhara ek aur sikka subah ki dhoop ka chalka chalo sheeshe ke tukde se use ghar bhar ghumaate hain ya vo chhota sa saabun ka gubaara phoonk se halka angoothe aur ungli ko milaakar phir fulaate hain ya dabbe se churakar gud ke laddu jeb men rakhkar yaaron ko dikhaakar khaake sabko phir jalate hain chalo bachpan mustaqil hain kisi ke das ke ginte hi..kahiin kone men chhup kar ke kabhi chupke se uski peeth par dappa jamaate hain chalo bachpan mustaqil hain
Saurabh Mehta 'Alfaaz'
11 likes
dost ke naam khat tumne haal poocha hai haalat-e-mohabbat men haal ka bat aanaa kya dil sisak raha ho to zakham ka chhup aanaa kya tum jo pooch baithe ho kuchh to ab bat aanaa hai baat ek bah aanaa hai tumne haal poocha hai ik diya jalata hooñ theek hai bataata hooñ roz uski yaadon men door tak chale j aanaa jo bhi tha kaha usne apne saath dohr aanaa saans jab ruke to phir apni marti aankhoñ men uski shakl le aanaa aur zindagi p aanaa roz aise hota hai kuchh purane message hain jin men uski baatein hain kuchh tabeel subhe hain kuchh qadeem raatein hain maine uski baaton men zindagi guzaari hai zindagi mitaane ka hausla nahin mujh men ek ek lafz uskaa saans men pirooya hai rooh men samoya hai uske jitne message hai roz khol leta hooñ usse kah nahin paata KHud se bol leta hooñ uske pej par ja kar roz dekhta hooñ main aaj kitne logon ne uski pairavi ki hai aur sochta hooñ main ye naseeb waale hain us..ko dekh sakte hain usse baat karte hain ye ijaazaton waale mujhse kitne behtar hain main to daagh tha koi jo mita diya usne gar mita diya usne theek hi kiya usne tumne haal poocha tha lo bataa diya maine jo bhi kuchh bataaya hai us..ko mat bataa dena padh ke ro paro to phir in tamaam lafzon ko bas gale laga lena vo meri mohabbat hai aur sadaa rahegi vo jab nahin rahoonga to ek din kahegi vo tum ali faqat tum the jisne mujh...ko chaaha tha jisne mere maathe ko choom kar bataaya tha tum dua ka chehra ho tum haya ka pahra ho main to tab nahin hoonga par meri sabhi naz men uski baat sun lenge tum bhi muskuraa dena phir bahut mohabbat se us..ko sab bataa dena uske narm haathon men meraa khat thama dena lo ye khat tumhaara hai aur uski jaanib se vo jo bas tumhaara tha aaj bhi tumhaara hai
Ali Zaryoun
70 likes
More from Naviii dar b dar
bachpan umr kii is dahleez pe yuñ bholepan men rahna hai ai zindagi mujhe ab bhi usii bachpan men rahna hai naa-samjhi ke vo saare qisse aur vo kahaaniyaan sacchi theenus daur kii baatein bhi to is daur se achchhii theen mee thii yaadon ke saa.e li.e aankhoñ ke darpan men rahna hai ai zindagi mujhe ab bhi usii bachpan men rahna hai
Naviii dar b dar
1 likes
meri hasti meri hasti ko duniya men is tarah se bhulaaya gaya main kamobesh aisa na tha jaisa tumko bataaya gaya duniya ko is tarah jaanne ka junoon mujh men bhi tha navi duniya kii nazaron men hi mujhe kaise yuñ bhi sataaya gaya baat ko dil se bhi to kaha jaise ho aasmaañ jhuk gaya pankh lagne lage KHvaabon ko zehar bhi vo pilaaya gaya manzilen paana aasaan nahin kal ko bhi paana aasaan nahin sacchi baatein nahin chalti jab jhooth kiston men laaya gaya
Naviii dar b dar
1 likes
meethi taqraar mere haalaat ko tum jaankar kyuuñ muskuraate ho faqat khaamosh rahte ho nigaahen kyuuñ churaate ho jo dil men baat hai mujh...ko bhala kahke to dekho tum ye nazarein chaar hon kaise mujhe tum bhool jaate ho hazaaron khwaab aise hain jo poore ho nahin sakte muhabbat ke safar men dil adhoore ho nahin sakte milen mujh...ko sitaare chaand qadmon men inhen laaun ye vaa'da karte ho mujhse usii pal bhool jaate ho
Naviii dar b dar
1 likes
Qeemat nahin hai ab insaanon men
Naviii dar b dar
1 likes
Meri baaton ko apne dil men yaad kaun
Naviii dar b dar
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Naviii dar b dar.
Similar Moods
More moods that pair well with Naviii dar b dar's nazm.







