aaj ik bahti nadi ko mod kar ke dekha hai waqt ke is baandh ko ab tod kar ke dekha hai jab likha tha vo laga tha sirf radha krishna sa bas hamaara naam maine jod kar ke dekha hai
Related Sher
koii chadar vafaa nahin karti vaqt jab kheench-taan karta hai
Unknown
81 likes
kisi ke zakham par chaahat se patti kaun baandhega agar bahnen nahin hongi to raakhi kaun baandhega
Munawwar Rana
79 likes
apne samaan ko baandhe hue is soch men hooñ jo kahii ke nahin rahte vo kahaan jaate hain
Jawwad Sheikh
85 likes
vaqt rehta nahin kahii tik kar aadat is ki bhi aadmi si hai
Gulzar
113 likes
usne khidki se chaand dekha tha maine khidki men chaand dekha hai
Zubair Ali Tabish
96 likes
More from Divya 'Kumar Sahab'
man kii man men hi bhunane men lage ho haath men jo hai nikalta ja raha hai
Divya 'Kumar Sahab'
0 likes
main bharose ko bachaane par tula hooñ vo bahaanon par utarta ja raha hai
Divya 'Kumar Sahab'
0 likes
manegi is tarah tum dekhna deepaavali apni kahoge haath chhodo bhi pakode jal rahe hain jee
Divya 'Kumar Sahab'
2 likes
ab bhale saadi gulaabi pahno tum saath men bas kaamyaabi pahno tum
Divya 'Kumar Sahab'
19 likes
aaj utre hain holi men bawaal lekar vo bas safed kurtee men rang laal lekar vo gaal kar rahe the bas intizaar unka hi milne aa ga.e khaabo men ghulaal lekar vo
Divya 'Kumar Sahab'
21 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Divya 'Kumar Sahab'.
Similar Moods
More moods that pair well with Divya 'Kumar Sahab''s sher.







