aañsu hamaare gir ga.e un ki nigaah se in motiyon ki ab koi qeemat nahin rahi
Related Sher
agar tum ho to ghabraane ki koi baat thodii hai zara si boonda-baan dii hai bahut barsaat thodii hai ye raah-e-ishq hai is men qadam aise hi uthte hain mohabbat sochne waalon ke bas ki baat thodii hai
Abrar Kashif
221 likes
poochte hain vo ki ghalib kaun hai koi batlaao ki ham batlaayein kya
Mirza Ghalib
208 likes
sau sau umeedein bandhti hai ik ik nigaah par mujh ko na aise pyaar se dekha kare koi
Allama Iqbal
100 likes
uljh karke teri agar men yuñ aabaad ho jaaun ki jaise lucknow ka main ameenabad ho jaaun main yamuna ki tarah tanhaa nihaaru taaj ko kab tak koi ganga mile to main ilahaabad ho jaaun
Ashraf Jahangeer
101 likes
zikr har-soo bikhar gaya uskaa koi deewaana mar gaya uskaa usne jee bhar ke mujh...ko chaaha tha aur phir jee hi bhar gaya uskaa
Zubair Ali Tabish
100 likes
More from Jaleel Manikpuri
lutate hain vo daulat husn ki baawar nahin aata ha men to ek bosa bhi badi mushkil se milta hai
Jaleel Manikpuri
19 likes
bahaar aayi ki din holi ke aa.e gulon men rang khela ja raha hai
Jaleel Manikpuri
26 likes
baat ulti vo samjhte hain jo kuchh kahtaa hooñ ab ke poocha to ye kah dooñga ki haal achha hai
Jaleel Manikpuri
34 likes
aata hai jee men saaqi-e-mah-wash pe baar baar lab choom luun tira lab-e-paimaana chhod kar
Jaleel Manikpuri
25 likes
main dar raha hooñ tumhaari nasheeli aankhoñ se ki loot len na kisi roz kuchh pila ke mujhe
Jaleel Manikpuri
43 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Jaleel Manikpuri.
Similar Moods
More moods that pair well with Jaleel Manikpuri's sher.







