hamen bhi niind aa jaegi ham bhi so hi jaenge abhi kuchh be-qarari hai sitaro tum to so jaao
Related Sher
mujh ko bhi unhin men se koi ek samajh le kuchh masale hote hain na jo hal nahin hote
Ali Zaryoun
126 likes
mere honton pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki is ke baa'd bhi duniya men kuchh paana zaroori hai
Waseem Barelvi
126 likes
sair kar duniya ki ghaafil zindagaani phir kahaan zindagi gar kuchh rahi to ye jawaani phir kahaan
Khwaja Meer Dard
127 likes
kuchh baat hai ki hasti mitati nahin hamaari sadiyon raha hai dushman daur e zamaan hamaara
Allama Iqbal
354 likes
mere aañsu nahin tham rahe ki vo mujhse juda ho gaya aur tum kah rahe ho ki chhodo ab aisa bhi kya ho gaya may-kadon men meri lainein padhte firte hain log maine jo kuchh bhi pee kar kaha falsafa ho gaya
Tehzeeb Hafi
388 likes
More from Qateel Shifai
sitam to ye hai ki vo bhi na ban sakaa apna qubool ham ne ki.e jis ke gham khushi kii tarah kabhi na socha tha ham ne qatil us ke li.e karega ham pe sitam vo bhi har kisi kii tarah
Qateel Shifai
20 likes
vo meherbaan hai to iqaar kyun nahin karta vo bad-gumaan hai to sau baar aazmaaye mujhe
Qateel Shifai
16 likes
sun liya kaise KHuda jaane zamaane bhar ne vo fasana jo kabhi hamne sunaaya bhi nahin
Qateel Shifai
21 likes
tez dhoop men aayi aisi lehar sar dii ki mom ka har ik putla bach gaya pighalne se
Qateel Shifai
28 likes
door tak chhaaye the baadal aur kahii saaya na tha is tarah barsaat ka mausam kabhi aaya na tha
Qateel Shifai
29 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Qateel Shifai.
Similar Moods
More moods that pair well with Qateel Shifai's sher.







