ham kahaan rote hain kabhi ab yaar aañsu chhipti kahaan hai
Related Sher
koi dikkat nahin hai gar tumhein uljha sa lagta hooñ main pahli martaba milne men sabko aisa lagta hooñ zaroori to nahin ham saath hain to koi chakkar ho vo meri dost hai aur main use bas achha lagta hooñ
Ali Zaryoun
521 likes
ye alag baat ki KHaamosh khade rahte hain phir bhi jo log bade hain vo bade rahte hain
Rahat Indori
484 likes
baat karo roothe yaaron se sannaaton se dar jaate hain pyaar akelaa jee leta hai dost akelaa mar jaate hain
Kumar Vishwas
141 likes
mehrbaan ham pe har ik raat hua karti thii aankh lagte hi mulaqaat hua karti thii hijr ki raat hai aur aankh men aansoo bhi nahin aise mausam men to barsaat hua karti thii
Ismail Raaz
140 likes
shaakhon se toot jaayen vo patte nahin hain ham aandhi se koi kah de ki auqaat men rahe
Rahat Indori
435 likes
More from Raunak Karn
zamaana dekh lega kaun hain ham vaqt aane par abhii KHud ko jalaenge abhii KHud ko tapaenge abhii to ja rahe hain doob karke maat khaane ko magar ik roz raunaq banke ham bhi laut aayenge
Raunak Karn
0 likes
kuchh nahin hai saath tu kyun saath hai baat gham ki hai yahaañ kyun saath hai
Raunak Karn
0 likes
kise kahte nikaalo bheed se baahar ha men raunak so karna kya tha KHud ko aur bhi gumnaam kar daala
Raunak Karn
0 likes
zaKHm to qeemti nemat hai tu ye maana kar zaKHm seene se lagaayega to chhaa jaayega jab nahin karta hai kuchh to hai tu itnaa aalaa KHud ko paagal jo banaayega to chhaa jaayega
Raunak Karn
0 likes
kisaano ki yahaañ pe baat koi bhi nahin sunta kahaan vo gaadiyon jaise zameen banjar badalta hai
Raunak Karn
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Raunak Karn.
Similar Moods
More moods that pair well with Raunak Karn's sher.







