isee fakeer ki gafalt se aagahi li hai mere charaaghh se suraj ne raushni li hai gali-gali men bhatkata hai shor karta hua hamaare ishq ne sasti sharaab pee li hai
Related Sher
aaj ik aur baras beet gaya us ke baghair jis ke hote hue hote the zamaane mere
Ahmad Faraz
90 likes
itnaa sangeen paap kaun kare mere dukh par vilaap kaun kare chetna mar chuki hai logon ki paap par pashchaataap kaun kare
Azhar Iqbal
109 likes
bheegin palken dekh kar tu kyun ruka hai KHush hooñ main vo to meri aankh men kuchh aa gaya hai KHush hooñ main vo kisi ke saath KHush tha kitne dukkh ki baat thii ab mere pahluu men aa kar ro raha hai KHush hooñ main
Zubair Ali Tabish
105 likes
faasle aise bhi honge ye kabhi socha na tha saamne baitha tha mere aur vo meraa na tha
Adeem Hashmi
94 likes
pyaas agar meri bujha de to main jaanu varna tu samandar hai to hogaa mere kis kaam ka hai
Rahat Indori
109 likes
More from Ammar Iqbal
nazar se tum ko mile na koii suraagh dil ka jhuka ke gardan bujha liya hai charaaghh dil ka sunoon na kaise karoon na kyunkar main apne dil kii mere alaava hai kaun is bad-dimaagh dil ka
Ammar Iqbal
21 likes
kaisa mujh ko banaa diya ammaar kaun sa rang bhar ga.e mujh men
Ammar Iqbal
34 likes
kaise kaise banaa diye chehre apni be-chehergi banaate hue
Ammar Iqbal
34 likes
KHud hi jaane lage the aur KHud hi raasta rok kar khade hue hain
Ammar Iqbal
33 likes
dil aaj shaam se hi use dhoondhne laga kal jis ke baa'd kamre men tanhaaii aayi thii
Ammar Iqbal
32 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ammar Iqbal.
Similar Moods
More moods that pair well with Ammar Iqbal's sher.







