jaise meri nigaah ne dekha na ho kabhi mehsoos ye hua tujhe har baar dekh kar
Related Sher
sau sau umeedein bandhti hai ik ik nigaah par mujh ko na aise pyaar se dekha kare koi
Allama Iqbal
100 likes
aaj dekha hai tujh ko der ke ba'd aaj ka din guzar na jaa.e kahii
Nasir Kazmi
102 likes
uljh karke teri agar men yuñ aabaad ho jaaun ki jaise lucknow ka main ameenabad ho jaaun main yamuna ki tarah tanhaa nihaaru taaj ko kab tak koi ganga mile to main ilahaabad ho jaaun
Ashraf Jahangeer
101 likes
dil ke darwaaze bhed kar dekho zakham saare udhed kar dekho band kamre men aaiine se kabhi tum meraa zikr chhed kar dekho
Sandeep Thakur
85 likes
Ham ne us ko itnaa dekha jitnaa dekha ja sakta tha lekin phir bhi do aankhoñ se kitnaa dekha ja sakta tha
Farrukh Yar
979 likes
More from Shad Azimabadi
KHamoshii se musibat aur bhi sangeen hoti hai tadap ai dil tadapne se zaraa taskeen hoti hai
Shad Azimabadi
5 likes
dhundooge agar mulkon mulkon milne ke nahin naayaab hain ham jo yaad na aa.e bhool ke phir ai hum-nafso vo KHvaab hain ham
Shad Azimabadi
10 likes
tamannaon men uljhaaya gaya hooñ khilaune de ke bahlāya gaya hooñ dil-e-muztar se pooch ai raunaq-e-bazm main KHud aaya nahin laaya gaya hooñ
Shad Azimabadi
15 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Shad Azimabadi.
Similar Moods
More moods that pair well with Shad Azimabadi's sher.







