kabhi yak-b-yak tavajjoh kabhi dafatan taghaaful mujhe aazma raha hai koi rukh badal badal kar
Related Sher
main chahta tha mujhse bichhad kar vo KHush rahe lekin vo KHush hua to badaa dukh hua mujhe
Umair Najmi
99 likes
vo jispar uski rahmat ho vo daulat maangtaa hai kya mohabbat karne vaala dil mohabbat maangte hai kya tumhaara dil kahe jab bhi ujaala ban ke aa jaana kabhi ugta hua suraj izazat maangtaa hai kya
Ankita Singh
98 likes
kitna mahfooz hooñ main kone men koi archan nahin hai rone men maine us..ko bacha liya varna doob jaata mujhe dubone men
Fahmi Badayuni
98 likes
ye mujhe chain kyun nahin padta ek hi shaKHs tha jahaan men kya
Jaun Elia
508 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen
Ahmad Faraz
95 likes
More from Shakeel Badayuni
mujhe to qaid-e-mohabbat azeez thii lekin kisi ne mujh ko giriftaar. kar ke chhod diya
Shakeel Badayuni
11 likes
vo ham se KHafaa hain ham un se KHafaa hain magar baat karne ko jee chahta hai jahaan ishq men doob kar rah ga.e hain wahin phir ubharne ko jee chahta hai
Shakeel Badayuni
14 likes
lamhe udaas udaas fazaaen ghuti ghuti duniya agar yahii hai to duniya se bach ke chal
Shakeel Badayuni
24 likes
ab to khushi ka gham hai na gham kii khushi mujhe be-his banaa chuki hai bahut zindagi mujhe
Shakeel Badayuni
16 likes
be-qaraar karke ha men yuñ na jaaie aapko hamaari qasam laut aaiye
Shakeel Badayuni
12 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Shakeel Badayuni.
Similar Moods
More moods that pair well with Shakeel Badayuni's sher.







