kashtiyaañ sab ki kinaare pe pahunch jaati hain naKHuda jin ka nahin un ka KHuda hota hai
Related Sher
mere aañsu nahin tham rahe ki vo mujhse juda ho gaya aur tum kah rahe ho ki chhodo ab aisa bhi kya ho gaya may-kadon men meri lainein padhte firte hain log maine jo kuchh bhi pee kar kaha falsafa ho gaya
Tehzeeb Hafi
388 likes
ham bhi dariyaa hain ha men apna hunar maaloom hai jis taraf bhi chal padenge raasta ho jaayega
Bashir Badr
373 likes
jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
368 likes
dekho ham koi wahshi nahin deewane hain tumse button khulwane nahin lagwane hain
Varun Anand
300 likes
mar chuka hai dil magar zinda hooñ main zahar jaisi kuchh dawaayein chahiye poochhte hain aap aap achchhe to hain jee main achha hooñ duaaein chahiye
Jaun Elia
302 likes
More from Ameer Minai
kaun si ja hai jahaan jalwa-e-maashooq nahin shauq-e-deedaar. agar hai to nazar paida kar
Ameer Minai
20 likes
abhii aa.e abhii jaate ho jal dii kya hai dam le lona chhedoonga main jaisi chahe tum mujh se qasam le lo
Ameer Minai
21 likes
shab-e-visaal bahut kam hai aasmaañ se kaho ki jod de koi tukda shab-e-judaai ka
Ameer Minai
22 likes
vasl ho jaa.e yahiin hashr men kya rakha hai aaj ki baat ko kyun kal pe utha rakha hai
Ameer Minai
25 likes
ai zabt dekh ishq kii un ko khabar na ho dil men hazaar dard uthe aankh tar na ho
Ameer Minai
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ameer Minai.
Similar Moods
More moods that pair well with Ameer Minai's sher.







