khudaaya ishq ke gham se ubar jaayen rahen zinda mare sa ham ki mar jaayen tabaahi hi nazar aa.e mujhe har soo karen kya faisla aaKHir kidhar jaayen
Related Sher
shaakhon se toot jaayen vo patte nahin hain ham aandhi se koi kah de ki auqaat men rahe
Rahat Indori
435 likes
hamaare baad tere ishq men naye ladke badan to choomenge zulfen nahin sanvaarenge
Vikram Gaur Vairagi
333 likes
tu kisi aur hi duniya men mili thii mujhse tu kisi aur hi mausam ki mahak laai thii dar raha tha ki kahii zakham na bhar jaayen mere aur tu mutthiyaan bhar-bhar ke namak laai thii
Tehzeeb Hafi
331 likes
agar hai ishq saccha to nigaahon se bayaañ hogaa zabaan se bolna bhi kya koi izhaar hota hai
Bhaskar Shukla
130 likes
mas'ala ye nahin ki ishq hua hai ham ko mas'ala ye hai ki izhaar kiya jaana hai
Rajesh Reddy
127 likes
More from Chandan Sharma
zindagi be-KHabar rahi mujh se aise ki zindagi basar maine apne andar tujhe basaaya aur dhoondha phir KHud ko dar-b-dar maine
Chandan Sharma
0 likes
watan ka dulaara gaya aasmaañ ko ki kitnon ka pyaara gaya aasmaañ ko zameen ne sitaare lutaaye falak pe zameen se sanwaara gaya aasmaañ ko
Chandan Sharma
0 likes
marne se pahle mar ga.e honge shab se pahle jo ghar ga.e honge
Chandan Sharma
0 likes
main KHud ko patthar dil kahtaa firta tha par main sheesha hooñ mujh ko ik patthar ne bataaya
Chandan Sharma
0 likes
ye mirii zindagi ye kuchh bhi nahin bojh hai mujh ko dho raha hooñ main
Chandan Sharma
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Chandan Sharma.
Similar Moods
More moods that pair well with Chandan Sharma's sher.







