kisne dastak dii ye dil par kaun hai aap to andar hain baahar kaun hai
Related Sher
ham bhi dariyaa hain ha men apna hunar maaloom hai jis taraf bhi chal padenge raasta ho jaayega
Bashir Badr
373 likes
tumhein ham bhi sataane par utar aayen to kya hogaa tumhaara dil dukhaane par utar aayen to kya hogaa ha men badnaam karte phir rahe ho apni mehfil men agar ham sach bataane par utar aayen to kya hogaa
Santosh S Singh
339 likes
jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
368 likes
muddatein guzar gayi hisaab nahin kiyana jaane ab kiske kitne rah ga.e ham
Kumar Vishwas
271 likes
dil na-umeed to nahin naakaam hi to hai lambi hai gham ki shaam magar shaam hi to hai
Faiz Ahmad Faiz
267 likes
More from Rahat Indori
guzishta saal ke zakhamo hare-bhare rahna juloos ab ke baras bhi yahiin se niklega
Rahat Indori
10 likes
vo chahta tha ki kaasa khareed le meraa main us ke taaj ki qeemat laga ke laut aaya
Rahat Indori
29 likes
ghar ke baahar dhoondhta rehta hooñ duniya ghar ke andar duniyadari rahtii hai
Rahat Indori
38 likes
main vo dariyaa hooñ ki har boond bhanwar hai jis kii tumne achha hi kiya mujh se kinaara kar ke
Rahat Indori
29 likes
roz taaron ko numaish men khalal padta hai chaand paagal hai andhere men nikal padta hai
Rahat Indori
41 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Rahat Indori.
Similar Moods
More moods that pair well with Rahat Indori's sher.







