labon se ud gaya jugnu ki tarah naam us ka sahara ab mire ghar men na raushni ka raha
Related Sher
tariqe aur bhi hain is tarah parkha nahin jaata charaaghon ko hawa ke saamne rakha nahin jaata mohabbat faisla karti hai pahle chand lamhon men jahaan par ishq hota hai vahaañ socha nahin jaata
Abrar Kashif
130 likes
din dhal gaya aur raat guzarne ki aas men suraj nadi men doob gaya ham gilaas men
Rahat Indori
124 likes
vo zamaana guzar gaya kab ka tha jo deewaana mar gaya kab ka
Javed Akhtar
117 likes
bheegin palken dekh kar tu kyun ruka hai KHush hooñ main vo to meri aankh men kuchh aa gaya hai KHush hooñ main vo kisi ke saath KHush tha kitne dukkh ki baat thii ab mere pahluu men aa kar ro raha hai KHush hooñ main
Zubair Ali Tabish
105 likes
main bhi ik shakhs pe ik shart laga baitha tha tum bhi ik roz isee khel men haaroge mujhe eed ke din ki tarah tumne mujhe zaayaa' kiya main samajhta tha muhabbat se guzaaroge mujhe
Ali Zaryoun
129 likes
More from Kaifi Azmi
jo ik KHuda nahin milta to itnaa maatam kyun yahaañ to koi mira ham-zabaan nahin milta
Kaifi Azmi
21 likes
apna pata mile na khabar yaar kii mile dushman ko bhi na aisi saza pyaar kii mile un ko KHuda mile hai KHuda kii jinhen talash mujh ko bas ik jhalak mere dildaar kii mile
Kaifi Azmi
6 likes
itnaa to zindagi men kisi ke khalal pade hansne se ho sukoon na rone se kal pade
Kaifi Azmi
23 likes
ek zakham aisa na khaaya ki bahaar aa jaati daar tak le ke gaya shauq-e-shahaadat mujh ko
Kaifi Azmi
23 likes
gar doobna hi apna muqaddar hai to suno doobenge ham zaroor magar nakhuda ke saath
Kaifi Azmi
25 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Kaifi Azmi.
Similar Moods
More moods that pair well with Kaifi Azmi's sher.







