chakki peesne waali aurat jo din bhar kaam karti hai aur raat ko itmeenaan se so jaati hai, mere afsaanon ki heroin nahi ho sakti. meri heroin chakle ki eik takhyaai randi ho sakti hai jo raat ko jaagti hai aur din ko sote mein kabhi-kabhi daraawna khwaab dekh kar uth baithti hai ki budhaapa uske darwaaze par dastak dene aa raha hai... uske bhaari-bhaari papote jin par barson ki uchti hui nindein munjamid ho gayi hain, mere afsaanon ka mauzoo ban sakte hain. uski ghalaazat, uski bimaariyaan, uska chidchidaapan, uski gaaliyaan yeh sab mujhe bhaati hain... main unke mutalliq likhta hun aur ghareloo aurton ki shusta kalaamiyon, unki sehat aur unki sehat aur unki nafaasat-pasandi ko nazar-andaaz kar jaata hoon.
Related Sher
KHud ko itnaa bhi mat bachaaya kar baarishen hon to bheeg jaaya kar kaam le kuchh haseen hothon se baaton baaton men muskuraya kar
Shakeel Azmi
101 likes
bichadkar uskaa dil lag bhi gaya to kya lagega vo thak jaayega aur mere gale se aa lagega main mushkil men tumhaare kaam aaun ya na aaun mujhe awaaz de lena tumhe achha lagega
Tehzeeb Hafi
751 likes
sach batao ki sach yahii hai kya saans lena hi zindagi hai kya kuchh naya kaam kar nayi ladki ishq karna hai baavli hai kya
Vikram Gaur Vairagi
87 likes
dil na-umeed to nahin naakaam hi to hai lambi hai gham ki shaam magar shaam hi to hai
Faiz Ahmad Faiz
267 likes
ghar men bhi dil nahin lag raha kaam par bhi nahin ja raha jaane kya KHauf hai jo tujhe choom kar bhi nahin ja raha raat ke teen bajne ko hai yaar ye kaisa mahboob hai jo gale bhi nahin lag raha aur ghar bhi nahin ja raha
Tehzeeb Hafi
294 likes
More from Saadat Hasan Manto
zindagi bhar yuñ mere dil ko dukhaaya tha bahut qabr par aaya hai vo mujh se muaafi ke li.e
0 likes
zindagi bhar main boloonunga tujhko ishq ka yuñ dagaabaaz hai tu
0 likes
tum utar jaao in nigaahon men ik nazar dekhne se kya hogaa
0 likes
tum kya jaano yaar adeebon ki hasti ham marne ke baad bhi zinda rahte hain
0 likes
unka qabza hai dil pe mere zinda rahna ab mushkil hai
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Saadat Hasan Manto.
Similar Moods
More moods that pair well with Saadat Hasan Manto's sher.







