mili hai dukhtar-e-raz lad-jhagad ke qaazi se jihad kar ke jo aurat mile haram nahin
Related Sher
tu kisi aur hi duniya men mili thii mujhse tu kisi aur hi mausam ki mahak laai thii dar raha tha ki kahii zakham na bhar jaayen mere aur tu mutthiyaan bhar-bhar ke namak laai thii
Tehzeeb Hafi
331 likes
log aurat ko faqat jism samajh lete hain ruh bhi hoti hai us men ye kahaan sochte hain
Sahir Ludhianvi
55 likes
ishq agar badhta hai to phir jhagde bhi to badhte hain aamdani jab badhti hai to kharche bhi to badhte hain maana manzil nahin mili hai hamko lekin khandhar ek qadam uski jaanib ham aage bhi to badhte hain
Tanoj Dadhich
73 likes
vo jo KHvaab the mere zehan men na main kah sakaa na main likh sakaa ki zabaan mili to kati hui jo qalam mila to bika hua
Iqbal Ashhar
42 likes
gale mili kabhi urdu jahaan pe hin dii se mire mizaaj men us anjuman ki KHushboo hai
Satish Shukla Raqeeb
27 likes
More from Ameer Minai
ai zabt dekh ishq kii un ko khabar na ho dil men hazaar dard uthe aankh tar na ho
Ameer Minai
0 likes
kaun si ja hai jahaan jalwa-e-maashooq nahin shauq-e-deedaar. agar hai to nazar paida kar
Ameer Minai
20 likes
vasl ho jaa.e yahiin hashr men kya rakha hai aaj ki baat ko kyun kal pe utha rakha hai
Ameer Minai
25 likes
aañkhen dikhlaate ho joban to dikhaao sahab vo alag baandh ke rakha hai jo maal achha hai
Ameer Minai
23 likes
baaki na dil men koi bhi ya rab havas rahe chaudah baras ke sin men vo laakhon baras rahe
Ameer Minai
28 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ameer Minai.
Similar Moods
More moods that pair well with Ameer Minai's sher.







