suna hai badr sahab mehfilon ki jaan hote the bahut din se vo patthar hain na hanste hain na rote hain
Related Sher
ye ishq nahin aasaan itnaa hi samajh lijye ik aag ka dariyaa hai aur doob ke jaana hai
Jigar Moradabadi
114 likes
ujaale apni yaadon ke hamaare saath rahne dona jaane kis gali men zindagi ki shaam ho jaa.e
Bashir Badr
111 likes
jaanta hooñ ki tujhe saath to rakhte hain kaii poochna tha ki teraa dhyaan bhi rakhta hai koi
Umair Najmi
109 likes
haath khaali hai tere shahar se jaate jaate jaan hoti to meri jaan lutate jaate
Rahat Indori
118 likes
vo jispar uski rahmat ho vo daulat maangtaa hai kya mohabbat karne vaala dil mohabbat maangte hai kya tumhaara dil kahe jab bhi ujaala ban ke aa jaana kabhi ugta hua suraj izazat maangtaa hai kya
Ankita Singh
98 likes
More from Bashir Badr
charaaghon ko aankhoñ men mahfooz rakhna badi door tak raat hi raat hogii
Bashir Badr
29 likes
unhin raaston ne jin par kabhi tum the saath mere mujhe rok rok poocha tira hum-safar kahaan hai
Bashir Badr
39 likes
patthar ke jigar waalo gham men vo ravaani hai KHud raah banaa lega bahta hua paani hai
Bashir Badr
20 likes
KHuda kii us ke gale men ajeeb qudrat hai vo bolta hai to ik raushni sii hoti hai
Bashir Badr
0 likes
isee li.e to yahaañ ab bhi ajnabi hooñ main tamaam log farishte hain aadmi hooñ main
Bashir Badr
31 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Bashir Badr.
Similar Moods
More moods that pair well with Bashir Badr's sher.







