tere vaade ko kabhi jhuut nahin samjhunga aaj ki raat bhi darvaza khula rakkhunga
Related Sher
mat pooch ki kya haal hai meraa tere peeche tu dekh ki kya rang hai teraa mere aage
Mirza Ghalib
180 likes
koi itnaa pyaara kaise ho saka hai phir saare ka saara kaise ho saka hai tujhse jab milkar bhi udaasi kam nahin hoti tere baghair guzaara kaise ho saka hai
Jawwad Sheikh
163 likes
nahin lagega use dekh kar magar KHush hai main KHush nahin hooñ magar dekh kar lagega nahin
Umair Najmi
201 likes
isi li.e to main roya nahin bichhadte samay tujhe ravana kiya hai juda nahin kiya hai
Ali Zaryoun
183 likes
na karo bahs haar jaayogi husn itni badi daleel nahin
Jaun Elia
265 likes
More from Shahryar
tamaam umr ka hisaab maangti hai zindagi ye meraa dil kahe to kya ki khud se sharmasaar hai
Shahryar
0 likes
hai aaj ye gilaa ki akela hai shehryaar tarsoge kal hujoom men tanhaaii ke li.e
Shahryar
23 likes
jahaan men hone ko ai dost yuuñ to sab hogaa tere labon pe mere lab hon aisa kab hogaa
Shahryar
0 likes
dil hai to dhadkane ka bahaana koi dhundhe patthar ki tarah behis o bejaan sa kyun hai
Shahryar
26 likes
na khush-gumaan ho is par tu ai dil-e-saada sabhi ko dekh ke vo shaKHs muskurata hai
Shahryar
15 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Shahryar.
Similar Moods
More moods that pair well with Shahryar's sher.







