vaqt har vaqt kahaan ek sa rah paata hai maazi jaata hai to phir haal badal jaata hai din maheene daro-deewar vahii rahte hain bas calendar hai jo har saal badal jaata hai
Related Sher
tumhein ham bhi sataane par utar aayen to kya hogaa tumhaara dil dukhaane par utar aayen to kya hogaa ha men badnaam karte phir rahe ho apni mehfil men agar ham sach bataane par utar aayen to kya hogaa
Santosh S Singh
339 likes
vo mujh ko chhod ke jis aadmi ke paas gaya baraabari ka bhi hota to sabr aa jaata
Parveen Shakir
107 likes
main choomta hooñ to vo haath kheench leta hai use pata hai ye seedhi kahaan pe jaani hai
Nadir Ariz
104 likes
mere aañsu nahin tham rahe ki vo mujhse juda ho gaya aur tum kah rahe ho ki chhodo ab aisa bhi kya ho gaya may-kadon men meri lainein padhte firte hain log maine jo kuchh bhi pee kar kaha falsafa ho gaya
Tehzeeb Hafi
388 likes
koi itnaa pyaara kaise ho saka hai phir saare ka saara kaise ho saka hai tujhse jab milkar bhi udaasi kam nahin hoti tere baghair guzaara kaise ho saka hai
Jawwad Sheikh
163 likes
More from Wajid Husain Sahil
sabr aane kii der hai varna tu bhi dil se utar hi jaayega
Wajid Husain Sahil
0 likes
dil meraa loot ke kahte hain vo bhole pan se haal kyuuñ apna deewano sa banaa rakkha hai
Wajid Husain Sahil
1 likes
tere mere milan ka KHvaab naazuk aaine sa hai lage awaaz ka patthar to sapna toot jaata hai
Wajid Husain Sahil
1 likes
kaisi ab saalgirah kaisi badhaai logon vo jo bichhda to meri umr ghatta dii usne
Wajid Husain Sahil
1 likes
ye ashk-o-dard ye sabr-o-qaraar kho dooñga main tere hijr ki lazzat bhi yaar kho dooñga rahe ye sabr salaamat mujhe to dar ye hai main tujhko pa ke teraa intizaar kho dooñga
Wajid Husain Sahil
2 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Wajid Husain Sahil.
Similar Moods
More moods that pair well with Wajid Husain Sahil's sher.







