aftab aae chamak kar jo sar-e-jam-e-sharab rind samjhen ki hai sadiq sahar-e-jam-e-sharab sab ke hathon pe tha shab-bhar safar-e-jam-e-sharab har khat-e-dast bana rah-guzar-e-jam-e-sharab dukhtar-e-raz pe giren mast patangon ki tarah sham-e-mahfil ho ye lakht-e-jigar-e-jam-e-sharab thaam le dast-e-subu aae jo chalne men lachak khat-e-baghhdad ho mu-e-kamar-e-jam-e-sharab tur-e-sina ka guman ho khum-e-mai par sab ko is tarah hosh udaao asar-e-jam-e-sharab saghhar-e-mai men nahin partav-e-khal-e-saqi hai kaf-e-dukhtar-e-raz men sipar-e-jam-e-sharab khaak mai-khane ki ban jaati qayamat pis kar har qadam par jo lachakti kamar-e-jam-e-sharab aaj mai-noshon ka majmaa hai kahan ai saaqi kaun si bazm men hai shor-o-shar-e-jam-e-sharab jitne mai-khvar hain saaqi se gale milte hain sahar-e-id bani hai khabar-e-jam-e-sharab shisha-e-mai se uda kaag kabutar ki tarah naama pahunchane chala nama-bar-e-jam-e-sharab mauj-e-sahba pe gira sapna-e-mina ud kar hai mire samne teghh-o-sipar-e-jam-e-sharab mai pilata hai agar dhanp le siina saaqi tere joban ko lagegi nazar-e-jam-e-sharab aftab aa ke sikhata hai chalan shab-bhar ka raat ko hota hai aksar guzar-e-jam-e-sharab dast-e-saqi men rahe dast-e-qadah-kash men rahe gardan-e-shisha-e-sahba kamar-e-jam-e-sharab mast karte hain do-alam ko yahi do khud-mast lazzat-e-naghhma-e-mutrib asar-e-jam-e-sharab kya ghhazab hai ki tira honth na chuse 'mail' aur ho tere labon tak guzar-e-jam-e-sharab aaftab aae chamak kar jo sar-e-jam-e-sharab rind samjhen ki hai sadiq sahar-e-jam-e-sharab sab ke hathon pe tha shab-bhar safar-e-jam-e-sharab har khat-e-dast bana rah-guzar-e-jam-e-sharab dukhtar-e-raz pe giren mast patangon ki tarah sham-e-mahfil ho ye lakht-e-jigar-e-jam-e-sharab tham le dast-e-subu aae jo chalne mein lachak khat-e-baghdad ho mu-e-kamar-e-jam-e-sharab tur-e-sina ka guman ho khum-e-mai par sab ko is tarah hosh udao asar-e-jam-e-sharab saghar-e-mai mein nahin partaw-e-khal-e-saqi hai kaf-e-dukhtar-e-raz mein sipar-e-jam-e-sharab khak mai-khane ki ban jati qayamat pis kar har qadam par jo lachakti kamar-e-jam-e-sharab aaj mai-noshon ka majma hai kahan ai saqi kaun si bazm mein hai shor-o-shar-e-jam-e-sharab jitne mai-khwar hain saqi se gale milte hain sahar-e-id bani hai khabar-e-jam-e-sharab shisha-e-mai se uda kag kabutar ki tarah nama pahunchane chala nama-bar-e-jam-e-sharab mauj-e-sahba pe gira sapna-e-mina ud kar hai mere samne tegh-o-sipar-e-jam-e-sharab mai pilata hai agar dhanp le sina saqi tere joban ko lagegi nazar-e-jam-e-sharab aaftab aa ke sikhata hai chalan shab-bhar ka raat ko hota hai aksar guzar-e-jam-e-sharab dast-e-saqi mein rahe dast-e-qadah-kash mein rahe gardan-e-shisha-e-sahba kamar-e-jam-e-sharab mast karte hain do-alam ko yahi do khud-mast lazzat-e-naghma-e-mutrib asar-e-jam-e-sharab kya ghazab hai ki tera honth na chuse 'mail' aur ho tere labon tak guzar-e-jam-e-sharab
Related Ghazal
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta
Tehzeeb Hafi
456 likes
chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon
Ali Zaryoun
105 likes
chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf
Varun Anand
406 likes
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ahmad Husain Mail.
Similar Moods
More moods that pair well with Ahmad Husain Mail's ghazal.







