ghazalKuch Alfaaz

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar371 Likes

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

ik pal men ik sadi ka mazaa ham se poochiye do din ki zindagi ka mazaa ham se poochiye bhule hain rafta rafta unhen muddaton men ham qiston men khudkushi ka mazaa ham se poochiye aagaz-e-aashiqi ka mazaa aap jaaniye anjaam-e-aashiqi ka mazaa ham se poochiye jalte diyon men jalte gharo jaisi zau kahaan sarkaar raushni ka mazaa ham se poochiye vo jaan hi ga.e ki ha men unse pyaar hai aankhoñ ki mukhbirii ka mazaa hamse poochiye hansne ka shauq hamko bhi tha aap ki tarah hansiye magar hañsi ka mazaa ham se poochiye ham tauba kar ke mar ga.e be-maut ai khumaar tauheen-e-may-kashi ka mazaa ham se poochiye

Khumar Barabankvi

95 likes

More from Javed Akhtar

hamaare dil men ab talkhi nahin hai magar vo baat pahle si nahin hai mujhe mayus bhi karti nahin hai yahii aadat tiri achchhii nahin hai bahut se faaede hain maslahat men magar dil ki to ye marzi nahin hai har ik ki dastaan sunte hain jaise kabhi ham ne mohabbat ki nahin hai hai ik darwaaze bin deewar-e-duniya mafar gham se yahaañ koi nahin hai

Javed Akhtar

3 likes

khula hai dar pa tira intizaar jaata raha khuloos to hai magar etibaar jaata raha kisi ki aankh men masti to aaj bhi hai vahii magar kabhi jo ha men tha khumaar jaata raha kabhi jo seene men ik aag thii vo sard hui kabhi nigaah men jo tha sharaar jaata raha ajab sa chain tha ham ko ki jab the ham bechain qaraar aaya to jaise qaraar jaata raha kabhi to meri bhi sunwaai hogii mehfil men main ye umeed li.e baar baar jaata raha

Javed Akhtar

2 likes

vo dhal raha hai to ye bhi rangat badal rahi hai zameen suraj ki ungliyon se fisal rahi hai jo mujh ko zinda jala rahe hain vo be-KHabar hain ki meri zanjeer dheere dheere pighal rahi hai main qatl to ho gaya tumhaari gali men lekin mire lahu se tumhaari deewaar gal rahi hai na jalne paate the jis ke choolhe bhi har savere suna hai kal raat se vo bastii bhi jal rahi hai main jaanta hooñ ki KHaamushi men hi maslahat hai magar yahii maslahat mire dil ko khal rahi hai kabhi to insaan zindagi ki karega izzat ye ek ummeed aaj bhi dil men pal rahi hai

Javed Akhtar

2 likes

sach ye hai be-kaar ha men gham hota hai jo chaaha tha duniya men kam hota hai dhaltaa suraj faila jungle rastaa gum ham se poochho kaisa aalam hota hai ghairoon ko kab furqat hai dukh dene ki jab hota hai koi hamdam hota hai zakham to ham ne in aankhoñ se dekhe hain logon se sunte hain marham hota hai zehan ki shaakhon par ashaar aa jaate hain jab teri yaadon ka mausam hota hai

Javed Akhtar

2 likes

yaqeen ka agar koi bhi silsila nahin raha to shukr keejie ki ab koi gilaa nahin raha na hijr hai na vasl hai ab is ko koi kya kahe ki phool shaakh par to hai magar khila nahin raha khazana tum na paa.e to gareeb jaise ho ga.e palak pe ab koi bhi moti jhilmila nahin raha badal gaii hai zindagi badal ga.e hain log bhi khuloos ka jo tha kabhi vo ab sila nahin raha jo dushmani bakheel se hui to itni KHair hai ki zahar us ke paas hai magar pila nahin raha

Javed Akhtar

3 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Javed Akhtar.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Javed Akhtar's ghazal.