ghazalKuch Alfaaz

aaj inkar na farmaiye aap shab ki shab ghar mire rah jaiye aap jaiye ghar ko na ghabraiye aap ham na mar jaenge bas jaiye aap khol do shauq se band angiya ke let kar saath na sharmaiye aap aate hi kahte ho main jaunga main bhi aane ka nahin jaiye aap dhundhte phiriye agar le ke charaghh mujh sa ashiq jo kahin paiye aap umr bhar to na qadam-ranja kiya aaiye ab to na tarsaiye aap jan-e-mushtaq labon par aai kuchh vasiyyat hai vo sun jaiye aap dil samajhta nahin mujh se naseh aap se samjhe to samjhaiye aap saya-san shauq men uftan-khezan saath rahta huun jidhar jaiye aap main dikhaun jo junun ki hai sifat shaan be-rahmi ki dikhlaiye aap tukde tukde main gareban ke karun purze purze mire adaiye aap shaad ho ruuh agar baad-e-fana sham-o-gul gor pe bhijvaiye aap jaan sadqe karun kya maal hai jaan kaat duun sar ko jo farmaiye aap munh pe munh rakkha to bole kya khuub pahle munh apna to banvaiye aap ghhair katne lagen bandh jaae hava mujh se tukkal agar udvaiye aap naam tak luun na kabhi huun vo bashar ab agar huur bhi ban jaiye aap haath se 'rind' ko khote ho abas kahin aisa na ho pachhtaiye aap aaj inkar na farmaiye aap shab ki shab ghar mere rah jaiye aap jaiye ghar ko na ghabraiye aap hum na mar jaenge bas jaiye aap khol do shauq se band angiya ke let kar sath na sharmaiye aap aate hi kahte ho main jaunga main bhi aane ka nahin jaiye aap dhundhte phiriye agar le ke charagh mujh sa aashiq jo kahin paiye aap umr bhar to na qadam-ranja kiya aaiye ab to na tarsaiye aap jaan-e-mushtaq labon par aai kuchh wasiyyat hai wo sun jaiye aap dil samajhta nahin mujh se naseh aap se samjhe to samjhaiye aap saya-san shauq mein uftan-khezan sath rahta hun jidhar jaiye aap main dikhaun jo junun ki hai sifat shan be-rahmi ki dikhlaiye aap tukde tukde main gareban ke karun purze purze mere aadaiye aap shad ho ruh agar baad-e-fana sham-o-gul gor pe bhijwaiye aap jaan sadqe karun kya mal hai jaan kat dun sar ko jo farmaiye aap munh pe munh rakkha to bole kya khub pahle munh apna to banwaiye aap ghair katne lagen bandh jae hawa mujh se tukkal agar udwaiye aap nam tak lun na kabhi hun wo bashar ab agar hur bhi ban jaiye aap hath se 'rind' ko khote ho abas kahin aisa na ho pachhtaiye aap

Related Ghazal

pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira

Fahmi Badayuni

96 likes

tere peeche hogii duniya paagal ban kya bola maine kuchh samjha paagal ban sehra men bhi Dhoondh le dariyaa paagal ban varna mar jaayega pyaasa paagal ban aadha daana aadha paagal nain nain nain us..ko paana hai to poora paagal ban danaai dikhlane se kuchh haasil nahin paagal khaana hai ye duniya paagal ban dekhen tujhko log to paagal ho jaayen itnaa umdaa itnaa aalaa paagal ban logon se dar lagta hai to ghar men baith jigra hai to mere jaisa paagal ban

Varun Anand

81 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

jhoothon ne jhoothon se kaha hai sach bolo sarkaari elaan hua hai sach bolo ghar ke andar to jhoothon ki ek mandi hai darwaaze par likha hua hai sach bolo guldaste par yakjahti likh rakha hai guldaste ke andar kya hai sach bolo ganga maiya doobne waale apne the naav men kisne chhed kiya hai sach bolo

Rahat Indori

71 likes

ik pal men ik sadi ka mazaa ham se poochiye do din ki zindagi ka mazaa ham se poochiye bhule hain rafta rafta unhen muddaton men ham qiston men khudkushi ka mazaa ham se poochiye aagaz-e-aashiqi ka mazaa aap jaaniye anjaam-e-aashiqi ka mazaa ham se poochiye jalte diyon men jalte gharo jaisi zau kahaan sarkaar raushni ka mazaa ham se poochiye vo jaan hi ga.e ki ha men unse pyaar hai aankhoñ ki mukhbirii ka mazaa hamse poochiye hansne ka shauq hamko bhi tha aap ki tarah hansiye magar hañsi ka mazaa ham se poochiye ham tauba kar ke mar ga.e be-maut ai khumaar tauheen-e-may-kashi ka mazaa ham se poochiye

Khumar Barabankvi

95 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Rind Lakhnavi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Rind Lakhnavi's ghazal.