aaj unhen kuchh is tarah jee khol kar dekha ki.e ek hi lamhe men jaise umr-bhar dekha ki.e dil agar betaab hai dil ka muqaddar hai yahii jis qadar thii ham ko taufeeq-e-nazar dekha ki.e khud-faroshaana ada thii meri soorat dekhna apne hi jalwe b-andaaz-e-digar dekha ki.e naa-shanaas-e-gham faqat daad-e-hunar dete rahe ham mata-e-gham ko ruswa-e-hunar dekha ki.e dekhne ka ab ye aalam hai koi ho ya na ho ham jidhar dekha ki.e paharon udhar dekha ki.e husn ko dekha hai main ne husn ki khaatir hafiz warna sab apna hi meyaar-e-nazar dekha ki.e
Related Ghazal
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai
Waseem Barelvi
107 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare
Tehzeeb Hafi
292 likes
More from Hafeez Hoshiarpuri
kuchh is tarah se nazar se guzar gaya koi ki dil ko gham ka saza-waar kar gaya koi dil-e-sitm-zada ko jaise kuchh hua hi nahin KHud apne husn se yuñ be-KHabar gaya koi vo ek jalwa-e-sad-rang ik hujoom-e-bahaarna jaane kaun tha jaane kidhar gaya koi nazar ki tishna-e-deedaar thii rahi mahroom nazar uthaai to dil men utar gaya koi nigaah-e-shauq ki mahroomiyon se na-waaqif nigaah-e-shauq pe ilzaam dhar gaya koi ab un ke husn men husn-e-nazar bhi shaamil hai kuchh aur meri nazar se sanwar gaya koi kisi ke paanv ki aahat ki dil ki dhadkan thii hazaar baar utha soo-e-dar gaya koi naseeb-e-ahl-e-wafa ye sukoon-e-dil to na tha zaroor naala-e-dil be-asar gaya koi utha phir aaj mire dil men rashk ka toofaan phir un ki raah se baa-chashm-e-tar gaya koi ye kah ke yaad karenge hafiz dost mujhe vafaa ki rasm ko paainda kar gaya koi
Hafeez Hoshiarpuri
0 likes
raushni si kabhi kabhi dil men manzil-e-be-nishaan se aati hai laut kar noor ki kiran jaise safar-e-la-makaan se aati hai nau-e-insaan hai gosh-bar-awaaz kya khabar kis jahaan se aati hai apni fariyaad baazgasht na ho ik sadaa aasmaañ se aati hai takhta-e-daar hai ki takhta-e-gul boo-e-khoon gulistaan se aati hai dil se aati hai baat lab pe hafiz baat dil men kahaan se aati hai
Hafeez Hoshiarpuri
0 likes
aisi bhi kya jal dii pyaare jaane milen phir ya na milen ham kaun kahega phir ye fasana baith bhi jaao sun lo koi dam vasl ki sheereeni men pinhaan hijr ki talkhi bhi hai kam kam tum se milne ki bhi khushi hai tum se juda hone ka bhi gham husn-o-ishq juda hote hain jaane kya toofaan uthega husn ki aañkhen bhi hain pur-nam ishq ki aañkhen bhi hain pur-nam meri vafaa to nadaani thii tum ne magar ye kya thaanii thii kaash na karte mujh se mohabbat kaash na hota dil ka ye aalam parwaane ki KHaak pareshaan shama' ki lau bhi larzaan larzaan mehfil ki mehfil hai veeraan kaun kare ab kis ka maatam kuchh bhi ho par in aankhoñ ne akshar ye aalam bhi dekha ishq ki duniya naaz-e-saraapa husn ki duniya izz-e-mujassam shahd-shikan honton ki larzish ishrat baaki ka gahvaara daaira-e-imkaan-e-tamanna narm lachakti baanhon ke KHam apne apne dil ke haathon dono hi barbaad hue hain main hooñ aur vafaa ka rona vo hain aur jafaa ka maatam naakaami si naakaami hai mehroomi si mehroomi hai dil ka manana saii-e-musalsal un ko bhulaana koshish-e-paiham ahad-e-wafaa hai aur bhi mohkam teri judaai ke main qurbaan teri judaai ke main qurbaan ahad-e-wafaa hai aur bhi mohkam
Hafeez Hoshiarpuri
0 likes
nargis pe to ilzaam laga be-basri ka arbab-e-gulistaan pe nahin kam-nazri ka taufiq-e-rifaqat nahin un ko sar-e-manzil raaste men jinhen paas raha ham-safari ka ab khaanka o madrasa o may-kada hain ek ik silsila hai qaafila-e-be-khabari ka har naqsh hai aaina-e-nairang-e-tamaasha duniya hai ki haasil mirii hairaan-nazri ka ab farsh se ta-arsh zaboon-haal hai fitrat ik m'arka dar-pesh hai azm-e-bashri ka kab milti hai ye daulat-e-bedaar kisi ko aur main hooñ ki rona hai isee deeda-wari ka be-vaasta-e-ishq bhi rang-e-rukh-e-parwez unwaan hai farhaad ki khooni-jigari ka aaKHir tire dar pe mujhe le aayi mohabbat dekha na gaya haal mirii dar-badri ka dil men ho faqat tum hi tum aankhoñ pe na jaao aankhoñ ko to hai rog pareshaan-nazri ka be-pairavi-e-'meer hafiz apni ravish hai ham par koi ilzaam nahin kam-hunri ka
Hafeez Hoshiarpuri
0 likes
tamaam umr tira intizaar ham ne kiya is intizaar men kis kis se pyaar ham ne kiya talash-e-dost ko ik umr chahiye ai dost ki ek umr tira intizaar ham ne kiya tere khayal men dil shaadmaan raha barson tire huzoor use sogwaar ham ne kiya ye tishnagi hai ke un se qareeb rah kar bhi hafiz yaad unhen baar baar ham ne kiya
Hafeez Hoshiarpuri
3 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Hafeez Hoshiarpuri.
Similar Moods
More moods that pair well with Hafeez Hoshiarpuri's ghazal.







