raushni si kabhi kabhi dil men manzil-e-be-nishaan se aati hai laut kar noor ki kiran jaise safar-e-la-makaan se aati hai nau-e-insaan hai gosh-bar-awaaz kya khabar kis jahaan se aati hai apni fariyaad baazgasht na ho ik sadaa aasmaañ se aati hai takhta-e-daar hai ki takhta-e-gul boo-e-khoon gulistaan se aati hai dil se aati hai baat lab pe hafiz baat dil men kahaan se aati hai
Related Ghazal
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
More from Hafeez Hoshiarpuri
kuchh is tarah se nazar se guzar gaya koi ki dil ko gham ka saza-waar kar gaya koi dil-e-sitm-zada ko jaise kuchh hua hi nahin KHud apne husn se yuñ be-KHabar gaya koi vo ek jalwa-e-sad-rang ik hujoom-e-bahaarna jaane kaun tha jaane kidhar gaya koi nazar ki tishna-e-deedaar thii rahi mahroom nazar uthaai to dil men utar gaya koi nigaah-e-shauq ki mahroomiyon se na-waaqif nigaah-e-shauq pe ilzaam dhar gaya koi ab un ke husn men husn-e-nazar bhi shaamil hai kuchh aur meri nazar se sanwar gaya koi kisi ke paanv ki aahat ki dil ki dhadkan thii hazaar baar utha soo-e-dar gaya koi naseeb-e-ahl-e-wafa ye sukoon-e-dil to na tha zaroor naala-e-dil be-asar gaya koi utha phir aaj mire dil men rashk ka toofaan phir un ki raah se baa-chashm-e-tar gaya koi ye kah ke yaad karenge hafiz dost mujhe vafaa ki rasm ko paainda kar gaya koi
Hafeez Hoshiarpuri
0 likes
aaj unhen kuchh is tarah jee khol kar dekha ki.e ek hi lamhe men jaise umr-bhar dekha ki.e dil agar betaab hai dil ka muqaddar hai yahii jis qadar thii ham ko taufeeq-e-nazar dekha ki.e khud-faroshaana ada thii meri soorat dekhna apne hi jalwe b-andaaz-e-digar dekha ki.e naa-shanaas-e-gham faqat daad-e-hunar dete rahe ham mata-e-gham ko ruswa-e-hunar dekha ki.e dekhne ka ab ye aalam hai koi ho ya na ho ham jidhar dekha ki.e paharon udhar dekha ki.e husn ko dekha hai main ne husn ki khaatir hafiz warna sab apna hi meyaar-e-nazar dekha ki.e
Hafeez Hoshiarpuri
0 likes
nargis pe to ilzaam laga be-basri ka arbab-e-gulistaan pe nahin kam-nazri ka taufiq-e-rifaqat nahin un ko sar-e-manzil raaste men jinhen paas raha ham-safari ka ab khaanka o madrasa o may-kada hain ek ik silsila hai qaafila-e-be-khabari ka har naqsh hai aaina-e-nairang-e-tamaasha duniya hai ki haasil mirii hairaan-nazri ka ab farsh se ta-arsh zaboon-haal hai fitrat ik m'arka dar-pesh hai azm-e-bashri ka kab milti hai ye daulat-e-bedaar kisi ko aur main hooñ ki rona hai isee deeda-wari ka be-vaasta-e-ishq bhi rang-e-rukh-e-parwez unwaan hai farhaad ki khooni-jigari ka aaKHir tire dar pe mujhe le aayi mohabbat dekha na gaya haal mirii dar-badri ka dil men ho faqat tum hi tum aankhoñ pe na jaao aankhoñ ko to hai rog pareshaan-nazri ka be-pairavi-e-'meer hafiz apni ravish hai ham par koi ilzaam nahin kam-hunri ka
Hafeez Hoshiarpuri
0 likes
tamaam umr tira intizaar ham ne kiya is intizaar men kis kis se pyaar ham ne kiya talash-e-dost ko ik umr chahiye ai dost ki ek umr tira intizaar ham ne kiya tere khayal men dil shaadmaan raha barson tire huzoor use sogwaar ham ne kiya ye tishnagi hai ke un se qareeb rah kar bhi hafiz yaad unhen baar baar ham ne kiya
Hafeez Hoshiarpuri
3 likes
lafz abhii ijaad honge har zaroorat ke li.e sharh-e-raahat ke li.e gham ki saraahat ke li.e ab mira chup-chaap rahna amr-e-majboori sahi main ne khuli hi zabaan kab thii shikaayat ke li.e mire chashm-o-gosh-o-lab se pooch lo sab kuchh yahiin mujh ko mire saamne laao shahaadat ke li.e sakht-koshi sakht-jaani ki taraf laai mujhe mujh ko ye furqat ghaneemat hai alaalat ke li.e oxygen se shabistaan-e-anaasir tabaanaak muztarib har zee-nafs us ki rifaqat ke li.e mar ga.e kuchh log jeene ka mudaava soch kar aur kuchh jeete rahe jeene ki aadat ke li.e aah marg-e-aadmi par aadmi roye bahut koi bhi roya na marg-e-aadmiyat ke li.e koi mauqa zindagi ka aakhiri mauqa nahin is qadar taajeel kyuuñ raf-e-qudrat ke li.e istiqaamat ai mire dair-aashnaa-e-gham-gusaar ek aañsu hai bahut husn-e-nadaamat ke li.e koi naasir ki ghazal koi zafar ki may-tarang chahiye kuchh to mirii shaam-e-ayaadat ke li.e gulshan-aabaad-e-jahaan men soorat-e-shabnam hafiz ham agar roye bhi to rone ki furqat ke li.e
Hafeez Hoshiarpuri
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Hafeez Hoshiarpuri.
Similar Moods
More moods that pair well with Hafeez Hoshiarpuri's ghazal.







