aaj yuñ mauj-dar-mauj gham tham gaya is tarah gham-zadon ko qaraar aa gaya jaise khush-boo-e-zulf-e-bahaar aa gaii jaise paighaam-e-deedaar-e-yaar aa gaya jis ki deed-o-talab vaham samjhe the ham roo-b-roo phir sar-e-rahguzaar aa gaya subh-e-farda ko phir dil tarsne laga umr-e-rafta tira e'tibaar aa gaya rut badlne lagii rang-e-dil dekhna rang-e-gulshan se ab haal khulta nahin zakham chhalaka koi ya koi gul khila ashk umde ki abr-e-bahaar aa gaya khoon-e-ushshaq se jaam bharne lage dil sulagne lage daagh jalne lage mehfil-e-dard phir rang par aa gaii phir shab-e-aarzoo par nikhaar aa gaya sarfaroshi ke andaaz badle ga.e daawat-e-qatl par maqtal-e-shehr men daal kar koi gardan men tauq aa gaya laad kar koi kaandhe pe daar aa gaya faiz kya jaaniye yaar kis aas par muntazir hain ki laayega koi khabar may-kashon par hua mohtasib meherbaan dil-figaaron pe qaateel ko pyaar aa gaya
Related Ghazal
aankh ko aaina samjhte ho tum bhi sabki tarah samjhte ho dost ab kyuuñ nahin samjhte tum tum to kahte the na samjhte ho apna gham tumko kaise samjhaaoon sabse haara hua samjhte ho meri duniya ujad gayi is men tum ise haadsa samjhte ho aakhiri raasta to baaki hai aakhiri raasta samjhte ho
Himanshi babra KATIB
76 likes
mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta
Tehzeeb Hafi
456 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
jis tarah waqt guzarne ke li.e hota hai aadmi shakl pe marne ke li.e hota hai teri aankhoñ se mulaqaat hui tab ye khula doobne vaala ubharne ke li.e hota hai ishq kyun peeche hata baat nibhaane se miyaan husn to khair mukarne ke li.e hota hai aankh hoti hai kisi raah ko takne ke li.e dil kisi paanv pe dharne ke li.e hota hai dil ki dilli ka chunaav hi alag hai sahab jab bhi hota hai ye harne ke li.e hota hai koi bastii ho ujhadne ke li.e bastii hai koi mazma ho bikharna ke li.e hota hai
Ali Zaryoun
61 likes
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
More from Faiz Ahmad Faiz
garmi-e-shauq-e-nazara ka asar to dekho gul khile jaate hain vo saaya-e-tar to dekho aise naadaan bhi na the jaañ se guzarne waale naaseho pand-garo raahguzar to dekho vo to vo hai tumhein ho jaayegi ulfat mujh se ik nazar tum mira mahboob-e-nazar to dekho vo jo ab chaak garebaan bhi nahin karte hain dekhne waalo kabhi un ka jigar to dekho daaman-e-dard ko gulzaar banaa rakha hai aao ik din dil-e-pur-khoon ka hunar to dekho subh ki tarah jhamkata hai shab-e-gham ka ufuq faiz taabindagi-e-deeda-e-tar to dekho
Faiz Ahmad Faiz
1 likes
tiri umeed tira intizaar jab se haina shab ko din se shikaayat na din ko shab se hai kisi ka dard ho karte hain tere naam raqam gilaa hai jo bhi kisi se tire sabab se hai hua hai jab se dil-e-na-suboor be-qaboo kalaam tujh se nazar ko bade adab se hai agar sharar hai to bhadke jo phool hai to khile tarah tarah ki talab tere rang-e-lab se hai kahaan ga.e shab-e-furqat ke jaagne waale sitaara-e-seheri ham-kalaam kab se hai
Faiz Ahmad Faiz
0 likes
sabhi kuchh hai teraa diya hua sabhi raahatein sabhi kulphatein kabhi sohbaten kabhi furqatein kabhi dooriyaan kabhi qurbaten ye sukhun jo ham ne raqam ki.e ye hain sab varq tiri yaad ke koi lamha subh-e-visaal ka koi shaam-e-hijr ki muddatein jo tumhaari maan len naaseha to rahega daaman-e-dil men kyana kisi adoo ki adaavaten na kisi sanam ki muravvatein chalo aao tum ko dikhaayein ham jo bacha hai maqtal-e-shehr men ye mazaar ahl-e-safa ke hain ye hain ahl-e-sidq ki turbatein mirii jaan aaj ka gham na kar ki na jaane kaatib-e-waqt ne kisi apne kal men bhi bhool kar kahii likh rakhi hon masarratein
Faiz Ahmad Faiz
4 likes
aap kii yaad aati rahi raat bhar chaandni dil dukhaati rahi raat bhar gaah jaltee hui gaah bujhti hui sham-e-gham jhilmilaati rahi raat bhar koii KHushboo badalti rahi pairhan koii tasveer gaati rahi raat bhar phir saba saaya-e-shaakh-e-gul ke tale koii qissa sunaati rahi raat bhar jo na aaya use koii zanjeer-e-dar har sadaa par bulaati rahi raat bhar ek ummeed se dil bahalta raha ik tamannaa sataati rahi raat bhar
Faiz Ahmad Faiz
4 likes
rang pairaahan ka KHushboo zulf lehraane ka naam mausam-e-gul hai tumhaare baam par aane ka naam dosto us chashm o lab ki kuchh kaho jis ke baghair gulsitaan ki baat rangeen hai na may-khaane ka naam phir nazar men phool mahke dil men phir shamaein jali phir tasavvur ne liya us bazm men jaane ka naam dilbari thehra zabaan-e-khalq khulwane ka naam ab nahin lete pari-roo zulf bikhraane ka naam ab kisi leila ko bhi iqraar-e-mahboobi nahin in dinon badnaam hai har ek deewane ka naam mohtasib ki KHair ooncha hai usii ke faiz se rind ka saaqi ka may ka khum ka paimaane ka naam ham se kahte hain chaman waale ghareebaan-e-chaman tum koi achha sa rakh lo apne veeraane ka naam faiz un ko hai taqazaa-e-wafa ham se jinhen aashna ke naam se pyaara hai begaane ka naam
Faiz Ahmad Faiz
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Faiz Ahmad Faiz.
Similar Moods
More moods that pair well with Faiz Ahmad Faiz's ghazal.







