aankh se duur na ho dil se utar jaega vaqt ka kya hai guzarta hai guzar jaega itna manus na ho khalvat-e-ghham se apni tu kabhi khud ko bhi dekhega to dar jaega dubte dubte kashti ko uchhala de duun main nahin koi to sahil pe utar jaega zindagi teri ata hai to ye jaane vaala teri bakhshish tiri dahliz pe dhar jaega zabt lazim hai magar dukh hai qayamat ka 'faraz' zalim ab ke bhi na roega to mar jaega aankh se dur na ho dil se utar jaega waqt ka kya hai guzarta hai guzar jaega itna manus na ho khalwat-e-gham se apni tu kabhi khud ko bhi dekhega to dar jaega dubte dubte kashti ko uchhaala de dun main nahin koi to sahil pe utar jaega zindagi teri ata hai to ye jaane wala teri bakhshish teri dahliz pe dhar jaega zabt lazim hai magar dukh hai qayamat ka 'faraaz' zalim ab ke bhi na roega to mar jaega
Related Ghazal
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai
Waseem Barelvi
107 likes
More from Ahmad Faraz
kya aise kam-sukhan se koi guftugoo kare jo mustaqil sukoot se dil ko lahu kare ab to ha men bhi tark-e-maraasim ka dukh nahin par dil ye chahta hai ki aaghaaz tu kare tere baghair bhi to ghaneemat hai zindagi KHud ko ganwa ke kaun tiri justuju kare ab to ye aarzoo hai ki vo zakham khaaiye ta-zindagi ye dil na koi aarzoo kare tujh ko bhula ke dil hai vo sharminda-e-nazar ab koi haadsa hi tire roo-b-roo kare chup-chaap apni aag men jalte raho faraaz duniya to arz-e-haal se be-aabroo kare
Ahmad Faraz
8 likes
kyun tabeeyat kahii thaharti nahin dosti to udaas karti nahin ham hamesha ke sair-chashm sahi tujh ko dekhen to aankh bharti nahin shab-e-hijraan bhi roz-e-bad ki tarah kat to jaati hai par guzarti nahin ye mohabbat hai sun zamaane sun itni aasaaniyon se marti nahin jis tarah tum guzaarte ho faraaz zindagi us tarah guzarti nahin
Ahmad Faraz
6 likes
vahshatein badhti gaiin hijr ke aazaar ke saath ab to ham baat bhi karte nahin gham-khwaar ke saath ham ne ik umr basar ki hai gham-e-yaar ke saath meer do din na ji.e hijr ke aazaar ke saath ab to ham ghar se nikalte hain to rakh dete hain taq par izzat-e-saadaat bhi dastaar ke saath is qadar khauf hai ab shahar ki galiyon men ki log chaap sunte hain to lag jaate hain deewaar ke saath ek to KHvaab li.e firte ho galiyon galiyonus pe takraar bhi karte ho khareedaar ke saath shahar ka shahar hi naaseh ho to kya keejiega warna ham rind to bhir jaate hain do-chaar ke saath ham ko us shahar men ta'aamir ka sauda hai jahaan log men'maar ko chun dete hain deewaar ke saath jo sharf ham ko mila koocha-e-jaanaan se faraaz soo-e-maqtal bhi ga.e hain usii pindaar ke saath
Ahmad Faraz
3 likes
karoon na yaad magar kis tarah bhulaaun use ghazal bahaana karoon aur gungunaun use vo khaar khaar hai shaakh-e-gulaab ki maanind main zakham zakham hooñ phir bhi gale lagaaun use ye log tazkire karte hain apne logon ke main kaise baat karoon ab kahaan se laaun use magar vo zood-faramosh zood-ranj bhi hai ki rooth jaa.e agar yaad kuchh dilaaun use vahii jo daulat-e-dil hai vahii jo raahat-e-jaan tumhaari baat pe ai naaseho ganwaun use jo hum-safar sar-e-manzil bichhad raha hai faraaz ajab nahin hai agar yaad bhi na aaun use
Ahmad Faraz
3 likes
aise chup hain ki ye manzil bhi kaddi ho jaise teraa milnaa bhi judaai ki ghadi ho jaise apne hi saa.e se har gaam larz jaata hooñ raaste men koi deewaar khadi ho jaise kitne naadaan hain tire bhoolne waale ki tujhe yaad karne ke li.e umr padi ho jaise tere maathe ki shikan pahle bhi dekhi thii magar ye girah ab ke mire dil men padi ho jaise manzilen door bhi hain manzilen nazdeek bhi hain apne hi paanv men zanjeer padi ho jaise aaj dil khol ke roye hain to yuñ KHush hain faraaz chand lamhon ki ye raahat bhi badi ho jaise
Ahmad Faraz
2 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ahmad Faraz.
Similar Moods
More moods that pair well with Ahmad Faraz's ghazal.







