ghazalKuch Alfaaz

aap hamaare saath nahin chaliye koi baat nahin aap kisi ke ho jaayen aap ke bas ki baat nahin ab ham ko awaaz na do ab aise haalaat nahin is duniya ke naqshe men shahar to hain dehaat nahin sab hai gawara ham ko magar tauheen-e-jazbaat nahin ham ko mitaana mushkil hai sadiyaan hain lamhaat nahin zalim se darne waale kya tere do haath nahin

Related Ghazal

tamasha-e-deir-o-haram dekhte hain tujhe har bahaane se ham dekhte hain hamaari taraf ab vo kam dekhte hain vo nazrein nahin jin ko ham dekhte hain zamaane ke kya kya sitam dekhte hain humeen jaante hain jo ham dekhte hain

Dagh Dehlvi

84 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon

Ali Zaryoun

105 likes

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare

Tehzeeb Hafi

292 likes

More from Tahir Faraz

ab ke baras honton se mere tishna-labi bhi khatm hui tujh se milne ki ai dariyaa majboori bhi khatm hui kaisa pyaar kahaan ki ulfat ishq ki baat to jaane do mere li.e ab us ke dil se hamdar dii bhi khatm hui saamne waali building men ab kaam hai bas aaraish ka kal tak jo milti thii ha men vo mazdoori bhi khatm hui jail se waapas aa kar us ne paanchon vaqt namaaz padhi munh bhi band hue sab ke aur badnaami bhi khatm hui jis ki jal-dhaara se bastii waale jeevan paate the rastaa badalte hi nad dii ke vo bastii bhi khatm hui

Tahir Faraz

1 likes

jab mire honton pe meri tishnagi rah jaayegi teri aankhoñ men bhi thodii si nami rah jaayegi sar-fira jhonka hawa ka tod dega shaakh ko phool banne ki tamannaa men kali rah jaayegi khatm ho jaayega jis din bhi tumhaara intizaar ghar ke darwaaze pe dastak cheeKHtii rah jaayegi kya khabar thii aayega ik roz aisa vaqt bhi meri goyaai tira munh dekhti rah jaayegi waqt-e-rukhsat aayega aur khatm hogaa ye safar mire dil ki baat mire dil men hi rah jaayegi

Tahir Faraz

1 likes

koi haseen manzar aankhoñ se jab ojhal ho jaayega mujh ko paagal kehne vaala KHud hi paagal ho jaayega palkon pe us ki jale bujhenge jugnoo jab mirii yaadon ke kamre men hongi barsaatein ghar jungle ho jaayega jis din us ki zulfen us ke shaanon par khul jaayengius din sharm se paani paani KHud baadal ho jaayega jab bhi vo paakizaa daaman aa jaayega haath mire aankhoñ ka ye mela paani ganga-jal ho jaayega us ki yaaden us ki baatein us ki wafaayein us ka pyaar kis ko khabar thii jeena mushkil ek ik pal ho jaayega mat ghabra ai pyaase dariyaa suraj aane vaala hai barf pahaadon se pighli to jal hi jal ho jaayega

Tahir Faraz

0 likes

men na kahtaa tha ki shehron men na ja yaar mire sondhi miTTi hi men hoti hai vafaa yaar mire koi toote hue KHvaabon se kahaan milta hai har jagah dard ka bistar na laga yaar mire silsila phir se juda hai to juda rahne de dil ke rishton ko tamasha na banaa yaar mire apni chaahat ke shab-o-roz mukammal kar le ja ye suraj bhi tire naam kiya yaar mire tujh se milta hooñ to rishta koi yaad aata hai silsila mujh se ziyaada na badha yaar mire aisa lagta hai ki kuchh toot raha hai mujh men chhod ke tu mujhe is vaqt na ja yaar mire khush-naseebi se ye sa'at tire haath aayi hai aasmaañ jhukne laga haath badha yaar mire

Tahir Faraz

0 likes

gham is ka kuchh nahin hai ki main kaam aa gaya gham ye hai qaatilon men tira naam aa gaya jugnoo jale bujhe mirii palkon pe subh tak jab bhi tira khayal sar-e-shaam aa gaya mehsoos kar raha hooñ main KHushboo ki baazgasht shaayad tire labon pe mira naam aa gaya kuchh doston ne poocha batao ghazal hai kya be-saakhta labon pe tira naam aa gaya main ne to ek laash ki dii thii khabar faraaz ulta mujhi pe qatl ka ilzaam aa gaya

Tahir Faraz

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Tahir Faraz.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Tahir Faraz's ghazal.