ghazalKuch Alfaaz

''aap ki yaad aati rahi raat bhar'' chandni dil dukhati rahi raat bhar gaah jalti hui gaah bujhti hui sham-e-ghham jhilmilati rahi raat bhar koi khushbu badalti rahi pairahan koi tasvir gaati rahi raat bhar phir saba saya-e-shakh-e-gul ke tale koi qissa sunati rahi raat bhar jo na aaya use koi zanjir-e-dar har sada par bulati rahi raat bhar ek ummid se dil bahalta raha ik tamanna satati rahi raat bhar aap ki yaad aati rahi raat bhar chandni dil dukhati rahi raat bhar gah jalti hui gah bujhti hui sham-e-gham jhilmilati rahi raat bhar koi khushbu badalti rahi pairahan koi taswir gati rahi raat bhar phir saba saya-e-shakh-e-gul ke tale koi qissa sunati rahi raat bhar jo na aaya use koi zanjir-e-dar har sada par bulati rahi raat bhar ek ummid se dil bahalta raha ek tamanna satati rahi raat bhar

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

mere li.e to ishq ka vaa'da hai shayari aadha suroor tum ho to aadha hai shayari rudraaksh haath men hai to seene men om hai krishna hai meraa dil meri radha hai shayari apna to mel jol hi bas aashikon se hai darvesh ka bas ek labaada hai shayari ho aashna koi to dikhaati hai apna rang be ramziyon ke vaaste saada hai shayari tum saamne ho aur meri dastaras men ho is waqt mere dil ka iraada hai shayari bhagwaan ho KHuda ho muhabbat ho ya badan jis samt bhi chalo yahii jaada hai shayari is li.e bhi ishq hi likhta hooñ main ali meraa kisi se aakhri vaa'da hai shayari

Ali Zaryoun

70 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

More from Faiz Ahmad Faiz

baat bas se nikal chali hai dil ki haalat sambhal chali hai ab junoon had se badh chala hai ab tabi'at bahl chali hai ashk khoonaab ho chale hain gham ki rangat badal chali hai ya yoonhi bujh rahi hain shamaein ya shab-e-hijr tal chali hai laakh paighaam ho ga.e hain jab saba ek pal chali hai jaao ab so raho sitaaro dard ki raat dhal chali hai

Faiz Ahmad Faiz

1 likes

ab ke baras dastoor-e-sitam men kya kya baab izaad hue jo qaateel the maqtool hue jo said the ab sayyaad hue pahle bhi khizaan men baagh ujde par yuñ nahin jaise ab ke baras saare boote patta patta ravish ravish barbaad hue pahle bhi tawaaf-e-sham-e-wafa thii rasm mohabbat waalon ki ham tum se pahle bhi yahaañ mansoor hue farhaad hue ik gul ke murjhaane par kya gulshan men kohraam macha ik chehra kumhala jaane se kitne dil naashaad hue faiz na ham yusuf na koi yaqoob jo ham ko yaad kare apni kya kanaan men rahe ya misr men ja aabaad hue

Faiz Ahmad Faiz

0 likes

darbaar men ab satwat-e-shaahi ki alaamat darbaan ka asa hai ki musannif ka qalam hai aawaara hai phir koh-e-nida par jo basharat tamheed-e-masarrat hai ki tool-e-shab-e-gham hai jis dhajji ko galiyon men li.e firte hain tiflaan ye meraa garebaan hai ki lashkar ka alam hai jis noor se hai shahar ki deewaar darkhshan ye khun-e-shaheedaan hai ki zar-khaana-e-jam hai halka ki.e baithe raho ik shama' ko yaaro kuchh raushni baaki to hai har-chand ki kam hai

Faiz Ahmad Faiz

0 likes

rah-e-khizan men talaash-e-bahaar karte rahe shab-e-siyah se talab husn-e-yaar karte rahe khayaal-e-yaar kabhi zikr-e-yaar karte rahe isee mataa pe ham rozgaar karte rahe nahin shikaayat-e-hijraan ki is vaseele se ham un se rishta-e-dil ustuvaar karte rahe vo din ki koi bhi jab vajh-e-intizaar na thii ham un men teraa siva intizaar karte rahe ham apne raaz pe naazaan the sharmasaar na the har ek se sukhan-e-raaz-daar karte rahe ziya-e-bazm-e-jahaan baar baar maand hui hadees-e-shola-rukhaan baar baar karte rahe unhin ke faiz se bazaar-e-aql raushan hai jo gaah gaah junoon ikhtiyaar karte rahe

Faiz Ahmad Faiz

0 likes

qarz-e-nigaah-e-yaar ada kar chuke hain ham sab kuchh nisaar-e-raah-e-wafa kar chuke hain ham kuchh imtihaan-e-dast-e-jafa kar chuke hain ham kuchh un ki dastaras ka pata kar chuke hain ham ab ehtiyaat ki koi soorat nahin rahi qaateel se rasm-o-raah siva kar chuke hain ham dekhen hai kaun kaun zaroorat nahin rahi koo-e-sitam men sab ko KHafaa kar chuke hain ham ab apna ikhtiyaar hai chahe jahaan chalen rahbar se apni raah juda kar chuke hain ham un ki nazar men kya karen feeka hai ab bhi rang jitna lahu tha sarf-e-qaba kar chuke hain ham kuchh apne dil ki khoo ka bhi shukraana chahiye sau baar un ki khoo ka gilaa kar chuke hain ham

Faiz Ahmad Faiz

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Faiz Ahmad Faiz.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Faiz Ahmad Faiz's ghazal.