ghazalKuch Alfaaz

rah-e-khizan men talaash-e-bahaar karte rahe shab-e-siyah se talab husn-e-yaar karte rahe khayaal-e-yaar kabhi zikr-e-yaar karte rahe isee mataa pe ham rozgaar karte rahe nahin shikaayat-e-hijraan ki is vaseele se ham un se rishta-e-dil ustuvaar karte rahe vo din ki koi bhi jab vajh-e-intizaar na thii ham un men teraa siva intizaar karte rahe ham apne raaz pe naazaan the sharmasaar na the har ek se sukhan-e-raaz-daar karte rahe ziya-e-bazm-e-jahaan baar baar maand hui hadees-e-shola-rukhaan baar baar karte rahe unhin ke faiz se bazaar-e-aql raushan hai jo gaah gaah junoon ikhtiyaar karte rahe

Related Ghazal

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to

Jaun Elia

355 likes

teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga

Hasan Abbasi

235 likes

tum haqeeqat nahin ho hasrat ho jo mile KHvaab men vo daulat ho tum ho KHushboo ke KHvaab ki KHushboo aur itne hi bemuravvat ho kis tarah chhod doon tumhein jaanaan tum meri zindagi ki aadat ho kislie dekhte ho aaina tum to KHud se bhi khoobsurat ho dastaan khatm hone waali hai tum meri aakhiri muhabbat ho

Jaun Elia

315 likes

More from Faiz Ahmad Faiz

darbaar men ab satwat-e-shaahi ki alaamat darbaan ka asa hai ki musannif ka qalam hai aawaara hai phir koh-e-nida par jo basharat tamheed-e-masarrat hai ki tool-e-shab-e-gham hai jis dhajji ko galiyon men li.e firte hain tiflaan ye meraa garebaan hai ki lashkar ka alam hai jis noor se hai shahar ki deewaar darkhshan ye khun-e-shaheedaan hai ki zar-khaana-e-jam hai halka ki.e baithe raho ik shama' ko yaaro kuchh raushni baaki to hai har-chand ki kam hai

Faiz Ahmad Faiz

0 likes

garmi-e-shauq-e-nazara ka asar to dekho gul khile jaate hain vo saaya-e-tar to dekho aise naadaan bhi na the jaañ se guzarne waale naaseho pand-garo raahguzar to dekho vo to vo hai tumhein ho jaayegi ulfat mujh se ik nazar tum mira mahboob-e-nazar to dekho vo jo ab chaak garebaan bhi nahin karte hain dekhne waalo kabhi un ka jigar to dekho daaman-e-dard ko gulzaar banaa rakha hai aao ik din dil-e-pur-khoon ka hunar to dekho subh ki tarah jhamkata hai shab-e-gham ka ufuq faiz taabindagi-e-deeda-e-tar to dekho

Faiz Ahmad Faiz

1 likes

tiri umeed tira intizaar jab se haina shab ko din se shikaayat na din ko shab se hai kisi ka dard ho karte hain tere naam raqam gilaa hai jo bhi kisi se tire sabab se hai hua hai jab se dil-e-na-suboor be-qaboo kalaam tujh se nazar ko bade adab se hai agar sharar hai to bhadke jo phool hai to khile tarah tarah ki talab tere rang-e-lab se hai kahaan ga.e shab-e-furqat ke jaagne waale sitaara-e-seheri ham-kalaam kab se hai

Faiz Ahmad Faiz

0 likes

shaam-e-firaq ab na pooch aayi aur aa ke tal gaii dil tha ki phir bahl gaya jaañ thii ki phir sambhal gaii bazm-e-khyaal men tire husn ki shama' jal gaii dard ka chaand bujh gaya hijr ki raat dhal gaii jab tujhe yaad kar liya subh mahak mahak u thii jab tira gham jaga liya raat machal machal gaii dil se to har mo'amla kar ke chale the saaf ham kehne men un ke saamne baat badal badal gaii aakhir-e-shab ke hum-safar faiz na jaane kya hue rah gaii kis jagah saba subh kidhar nikal gaii

Faiz Ahmad Faiz

0 likes

yuñ saja chaand ki jhalkaa tire andaaz ka rang yuñ fazaa mahki ki badla mire hamraaz ka rang saaya-e-chashm men hairaan rukh-e-raushan ka jamaal surkhi-e-lab men pareshaan tiri awaaz ka rang be-piye hooñ ki agar lutf karo aakhir-e-shab sheesha-e-may men dhale subh ke aaghaaz ka rang chang o nay rang pe the apne lahu ke dam se dil ne lay badli to madhham hua har saaz ka rang ik sukhun aur ki phir rang-e-takallum teraa harf-e-saada ko inaayat kare ej'aaz ka rang

Faiz Ahmad Faiz

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Faiz Ahmad Faiz.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Faiz Ahmad Faiz's ghazal.