yuñ saja chaand ki jhalkaa tire andaaz ka rang yuñ fazaa mahki ki badla mire hamraaz ka rang saaya-e-chashm men hairaan rukh-e-raushan ka jamaal surkhi-e-lab men pareshaan tiri awaaz ka rang be-piye hooñ ki agar lutf karo aakhir-e-shab sheesha-e-may men dhale subh ke aaghaaz ka rang chang o nay rang pe the apne lahu ke dam se dil ne lay badli to madhham hua har saaz ka rang ik sukhun aur ki phir rang-e-takallum teraa harf-e-saada ko inaayat kare ej'aaz ka rang
Related Ghazal
baat karne hai baat kaun kare dard se do do haath kaun kare ham sitaare tumhein bulaate hain chaand na ho to raat kaun kare ab tujhe rab kahein ya but samjhen ishq men zaat-paat kaun kare zindagi bhar ki the kamaai tum is se zyaada zakaat kaun kare
Kumar Vishwas
56 likes
chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf
Varun Anand
406 likes
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
khwaab ke hi ham sahaare chal rahe hain zaKHm ko bhi gudgudaate chal rahe hain kya bataayein ab tumhein ham haal apna hijr men kaise deewane chal rahe hain dariyaa ki tanhaaii ka to sochiye saath jiske do kinaare chal rahe hain tumko kya lagta hai tanhaa chal raha hooñ saath mere chaand taare chal rahe hain
Anand Raj Singh
32 likes
More from Faiz Ahmad Faiz
baat bas se nikal chali hai dil ki haalat sambhal chali hai ab junoon had se badh chala hai ab tabi'at bahl chali hai ashk khoonaab ho chale hain gham ki rangat badal chali hai ya yoonhi bujh rahi hain shamaein ya shab-e-hijr tal chali hai laakh paighaam ho ga.e hain jab saba ek pal chali hai jaao ab so raho sitaaro dard ki raat dhal chali hai
Faiz Ahmad Faiz
1 likes
garmi-e-shauq-e-nazara ka asar to dekho gul khile jaate hain vo saaya-e-tar to dekho aise naadaan bhi na the jaañ se guzarne waale naaseho pand-garo raahguzar to dekho vo to vo hai tumhein ho jaayegi ulfat mujh se ik nazar tum mira mahboob-e-nazar to dekho vo jo ab chaak garebaan bhi nahin karte hain dekhne waalo kabhi un ka jigar to dekho daaman-e-dard ko gulzaar banaa rakha hai aao ik din dil-e-pur-khoon ka hunar to dekho subh ki tarah jhamkata hai shab-e-gham ka ufuq faiz taabindagi-e-deeda-e-tar to dekho
Faiz Ahmad Faiz
1 likes
darbaar men ab satwat-e-shaahi ki alaamat darbaan ka asa hai ki musannif ka qalam hai aawaara hai phir koh-e-nida par jo basharat tamheed-e-masarrat hai ki tool-e-shab-e-gham hai jis dhajji ko galiyon men li.e firte hain tiflaan ye meraa garebaan hai ki lashkar ka alam hai jis noor se hai shahar ki deewaar darkhshan ye khun-e-shaheedaan hai ki zar-khaana-e-jam hai halka ki.e baithe raho ik shama' ko yaaro kuchh raushni baaki to hai har-chand ki kam hai
Faiz Ahmad Faiz
0 likes
ab ke baras dastoor-e-sitam men kya kya baab izaad hue jo qaateel the maqtool hue jo said the ab sayyaad hue pahle bhi khizaan men baagh ujde par yuñ nahin jaise ab ke baras saare boote patta patta ravish ravish barbaad hue pahle bhi tawaaf-e-sham-e-wafa thii rasm mohabbat waalon ki ham tum se pahle bhi yahaañ mansoor hue farhaad hue ik gul ke murjhaane par kya gulshan men kohraam macha ik chehra kumhala jaane se kitne dil naashaad hue faiz na ham yusuf na koi yaqoob jo ham ko yaad kare apni kya kanaan men rahe ya misr men ja aabaad hue
Faiz Ahmad Faiz
0 likes
vo buton ne dale hain vasvase ki dilon se khauf-e-khuda gaya vo padi hain roz qayaamaatein ki khayal-e-roz-e-jaza gaya jo nafs tha khaar-e-guloo banaa jo uthe the haath lahu hue vo nashaat-e-aah-e-sehr gaii vo waqar-e-dast-e-dua gaya na vo rang fasl-e-bahaar ka na ravish vo abr-e-bahaar ki jis ada se yaar the aashna vo mizaaj-e-baad-e-saba gaya jo talab pe ahad-e-wafaa kiya to vo aabroo-e-wafa gaii sar-e-aam jab hue muddai to sawaab-e-sidq-o-safa gaya abhii baadbaan ko tah rakho abhii muztarib hai rukh-e-hawa kisi raaste men hai muntazir vo sukoon jo aa ke chala gaya
Faiz Ahmad Faiz
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Faiz Ahmad Faiz.
Similar Moods
More moods that pair well with Faiz Ahmad Faiz's ghazal.







