ghazalKuch Alfaaz

aaraam ke the saa thii kya kya jab vaqt pada to koi nahin sab dost hain apne matlab ke duniya men kisi ka koi nahin gul-gasht men daaman munh pe na lo nargis se haya kya hai tum kous aankh se parda karte ho jis aankh men parda koi nahin jo baagh tha kal phoolon se bhara atkheliyon se chalti thii saba ab sumbul o gul ka zikr to kya KHaak udti hai us ja koi nahin kal jin ko andhere se tha hazar rehta tha charaaghaan peshe-e-nazar ik shama' jala de turbat par juz daagh ab itnaa koi nahin jab band hui aañkhen to khula do roz ka tha saara jhagda takht us ka na ab hai taaj us ka askandar o daara koi nahin qattaal-e-jahaan maashooq jo the soone pade hain marqad un ke ya marne waale laakhon the ya rone vaala koi nahin ai aarzoo ab tak itnaa pata chaltaa hai tiri barbaa dii ka jis se na bagule hon paida is tarah ka sehra koi nahin

Related Ghazal

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii

Ali Zaryoun

102 likes

haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate

Rahat Indori

102 likes

khaali baithe ho to ik kaam meraa kar do naa mujh ko achha sa koii zaKHm ada kar do naa dhyaan se panchiyo ko dete ho daana paani itne achchhe ho to pinjare se rihaa kar do naa jab qareeb aa hi ga.e ho to udaasi kaisi jab diya de hi rahe ho to jala kar do naa

Zubair Ali Tabish

102 likes

tamasha-e-deir-o-haram dekhte hain tujhe har bahaane se ham dekhte hain hamaari taraf ab vo kam dekhte hain vo nazrein nahin jin ko ham dekhte hain zamaane ke kya kya sitam dekhte hain humeen jaante hain jo ham dekhte hain

Dagh Dehlvi

84 likes

More from Arzoo Lakhnavi

bhole ban kar haal na poochho bahte hain ashk to bahne do jis se badhe bechaini dil ki aisi tasalli rahne do rasmen is andher-nagar ki nayi nahin ye puraani hain mehr pe daalo raat ka parda maah ko raushan rahne do rooh nikal kar baag-e-jahaan se baag-e-jinaan men ja pahunchen chehre pe apne meri nigaahen itni der to rahne do khanda-e-gul bulbul men hogaa gul men naghma bulbul ka qissa ek zabaanen do hain aap kaho ya kehne do itnaa junoon-e-shauq diya kyun khauf jo tha ruswaai ka baat karo KHud qaabil-e-shikwa ulte mujh ko rahne do

Arzoo Lakhnavi

0 likes

maasoom nazar ka bholaa-pan lalchaa ke lubh aanaa kya jaane dil aap nish aanaa banta hai vo teer chal aanaa kya jaane kah jaati hai kya vo cheen-e-jabeen ye aaj samajh sakte hain kahii kuchh seekha hua to kaam nahin dil naaz uth aanaa kya jaane chatki jo kali koel kooki ulfat ki kahaanii khatm hui kya kis ne kahii kya kis ne sooni ye bataa zam aanaa kya jaane tha dair-o-haram men kya rakha jis samt gaya takra ke fira kis parde ke peeche hai sho'ala andha parw aanaa kya jaane ye zora-zori ishq ki thii fitrat hi jis ne badal daali jalta hua dil ho kar paani aañsu ban j aanaa kya jaane sajdon se pada patthar men gadha lekin na mita maathe ka likha karne ko gareeb ne kya na kiya taqdeer ban aanaa kya jaane aankhoñ ki andhi khud-gharzi kahe ko samajhne degi kabhi jo neend uda de raaton ki vo KHvaab men aanaa kya jaane patthar ki lakeer hai naqsh-e-wafa aaina na jaano talvon ka lehraaya kare rangeen-shola dil palte kh aanaa kya jaane jis naale se duniya bekal hai vo jalte dil ki mashal hai jo pehla looka KHud na sahe vo aag lagana kya jaane ham aarzoo aa.e baithe hain aur vo sharmaae baithe hain mushtaaq-nazar gustaakh nahin parda sark aanaa kya jaane

Arzoo Lakhnavi

0 likes

dil de raha tha jo use be-dil banaa diya aasaan kaam aap ne mushkil banaa diya har saans ek shola hai har shola ek barq kya tu ne mujh ko ai tapish-e-dil banaa diya is husn-e-zan pe hamsafaron ke hooñ pa-b-gil mujh be-KHabar ko rahbar-e-manzil banaa diya andha hai shauq phir nazar imkaan par ho kyun kaam apna dil ne aap hi mushkil banaa diya dauda lahu ragon men bandhi zindagi ki aas ye bhi bura nahin hai jo bismil banaa diya ghark o uboor dono ka haasil hai khatm-e-kaar majbooriyon ne mauj ko saahil banaa diya us shaan-e-aajizi ke fida jis ne aarzoo har naaz har ghuroor ke qaabil banaa diya

Arzoo Lakhnavi

2 likes

aaj be-aap ho ga.e ham bhi aap ko pa ke kho ga.e ham bhi daane kam the dukhon ki simran men thode moti piro ga.e ham bhi der se the vo jis ke ghere men usii jhurmut men kho ga.e ham bhi ja kai dhoonda kahaan kahaan na tumhein jab na paaya to kho ga.e ham bhi naam jeene ka jaagna rakh kar aaj be neend so ga.e ham bhi roenge gar to jag-hañsaaiii ho karte kya chup se ho ga.e ham bhi haaye re aarzoo ki be-aasi aap be-bas the ro ga.e ham bhi

Arzoo Lakhnavi

1 likes

jin raaton men neend ud jaati hai kya qahr ki raatein hoti hain darwaazon se takra jaate hain deewaron se baatein hoti hain aashob-e-judaai kya kahiye an-honi baatein hoti hain aankhoñ men andhera chaata hai jab ujaali raatein hoti hain jab vo nahin hote pahluu men aur lambi raatein hoti hain yaad aa ke sataati rahtii hai aur dil se baatein hoti hain ghir ghir ke baadal aate hain aur be-barse khul jaate hain ummeedon ki jhooti duniya men sookhi barsaatein hoti hain ummeed ka suraj dooba hai aankhoñ men andhera chaaya hai duniya-e-firaq men din kaisa raatein hi raatein hoti hain tay karna hain jhagde jeene ke jis tarah bane kahte sunte behron se bhi paala padta hai goongon se bhi baatein hoti hain aankhoñ men kahaan ras ki boonden kuchh hai to lahu ki laali hai is badli hui rut men ab to khooni barsaatein hoti hain qismat jaage to ham soyen qismat soye to ham jaagen dono hi ko neend aa.e jis men kab aisi raatein hoti hain jo kaan laga kar sunte hain kya jaanen rumooz mohabbat ke ab hont nahin hilne paate aur paharon baatein hoti hain jo naaz hai vo apnaata hai jo ghamza hai vo lubhaata hai in rang-birangi pardo men ghaaton par ghaaten hoti hain hansne men jo aañsu aate hain nairang-e-jahaan batlaate hain har roz janaaze jaate hain har roz baraaten hoti hain jo kuchh bhi khushi se hota hai ye dil ka bojh na ban jaa.e paimaan-e-wafa bhi rahne do sab jhooti baatein hoti hain jab tak hai dilon men sachchaai sab naaz-o-niyaaz wahin tak hain jab khud-gharzi aa jaati hai jul hote hain ghaaten hoti hain himmat kis ki hai jo pooche ye aarzoo'-e-saudaai se kyun sahab aaKHir akelaa men ye kis se baatein hoti hain

Arzoo Lakhnavi

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Arzoo Lakhnavi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Arzoo Lakhnavi's ghazal.