ghazalKuch Alfaaz

maasoom nazar ka bholaa-pan lalchaa ke lubh aanaa kya jaane dil aap nish aanaa banta hai vo teer chal aanaa kya jaane kah jaati hai kya vo cheen-e-jabeen ye aaj samajh sakte hain kahii kuchh seekha hua to kaam nahin dil naaz uth aanaa kya jaane chatki jo kali koel kooki ulfat ki kahaanii khatm hui kya kis ne kahii kya kis ne sooni ye bataa zam aanaa kya jaane tha dair-o-haram men kya rakha jis samt gaya takra ke fira kis parde ke peeche hai sho'ala andha parw aanaa kya jaane ye zora-zori ishq ki thii fitrat hi jis ne badal daali jalta hua dil ho kar paani aañsu ban j aanaa kya jaane sajdon se pada patthar men gadha lekin na mita maathe ka likha karne ko gareeb ne kya na kiya taqdeer ban aanaa kya jaane aankhoñ ki andhi khud-gharzi kahe ko samajhne degi kabhi jo neend uda de raaton ki vo KHvaab men aanaa kya jaane patthar ki lakeer hai naqsh-e-wafa aaina na jaano talvon ka lehraaya kare rangeen-shola dil palte kh aanaa kya jaane jis naale se duniya bekal hai vo jalte dil ki mashal hai jo pehla looka KHud na sahe vo aag lagana kya jaane ham aarzoo aa.e baithe hain aur vo sharmaae baithe hain mushtaaq-nazar gustaakh nahin parda sark aanaa kya jaane

Related Ghazal

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

More from Arzoo Lakhnavi

dil de raha tha jo use be-dil banaa diya aasaan kaam aap ne mushkil banaa diya har saans ek shola hai har shola ek barq kya tu ne mujh ko ai tapish-e-dil banaa diya is husn-e-zan pe hamsafaron ke hooñ pa-b-gil mujh be-KHabar ko rahbar-e-manzil banaa diya andha hai shauq phir nazar imkaan par ho kyun kaam apna dil ne aap hi mushkil banaa diya dauda lahu ragon men bandhi zindagi ki aas ye bhi bura nahin hai jo bismil banaa diya ghark o uboor dono ka haasil hai khatm-e-kaar majbooriyon ne mauj ko saahil banaa diya us shaan-e-aajizi ke fida jis ne aarzoo har naaz har ghuroor ke qaabil banaa diya

Arzoo Lakhnavi

2 likes

bhole ban kar haal na poochho bahte hain ashk to bahne do jis se badhe bechaini dil ki aisi tasalli rahne do rasmen is andher-nagar ki nayi nahin ye puraani hain mehr pe daalo raat ka parda maah ko raushan rahne do rooh nikal kar baag-e-jahaan se baag-e-jinaan men ja pahunchen chehre pe apne meri nigaahen itni der to rahne do khanda-e-gul bulbul men hogaa gul men naghma bulbul ka qissa ek zabaanen do hain aap kaho ya kehne do itnaa junoon-e-shauq diya kyun khauf jo tha ruswaai ka baat karo KHud qaabil-e-shikwa ulte mujh ko rahne do

Arzoo Lakhnavi

0 likes

aaraam ke the saa thii kya kya jab vaqt pada to koi nahin sab dost hain apne matlab ke duniya men kisi ka koi nahin gul-gasht men daaman munh pe na lo nargis se haya kya hai tum kous aankh se parda karte ho jis aankh men parda koi nahin jo baagh tha kal phoolon se bhara atkheliyon se chalti thii saba ab sumbul o gul ka zikr to kya KHaak udti hai us ja koi nahin kal jin ko andhere se tha hazar rehta tha charaaghaan peshe-e-nazar ik shama' jala de turbat par juz daagh ab itnaa koi nahin jab band hui aañkhen to khula do roz ka tha saara jhagda takht us ka na ab hai taaj us ka askandar o daara koi nahin qattaal-e-jahaan maashooq jo the soone pade hain marqad un ke ya marne waale laakhon the ya rone vaala koi nahin ai aarzoo ab tak itnaa pata chaltaa hai tiri barbaa dii ka jis se na bagule hon paida is tarah ka sehra koi nahin

Arzoo Lakhnavi

2 likes

aaj be-aap ho ga.e ham bhi aap ko pa ke kho ga.e ham bhi daane kam the dukhon ki simran men thode moti piro ga.e ham bhi der se the vo jis ke ghere men usii jhurmut men kho ga.e ham bhi ja kai dhoonda kahaan kahaan na tumhein jab na paaya to kho ga.e ham bhi naam jeene ka jaagna rakh kar aaj be neend so ga.e ham bhi roenge gar to jag-hañsaaiii ho karte kya chup se ho ga.e ham bhi haaye re aarzoo ki be-aasi aap be-bas the ro ga.e ham bhi

Arzoo Lakhnavi

1 likes

aane men jhijhak milne men haya tum aur kahii ham aur kahii ab ahad-e-wafaa toota ki raha tum aur kahii ham aur kahii be-aap khushi se ek idhar kuchh khoya hua sa ek udhar zaahir men bahm baatin men juda tum aur kahii ham aur kahii aa.e to khushamad se aa.e baithe to muravvat se baithe milnaa hi ye kya jab dil na mila tum aur kahii ham aur kahii wa'ada bhi kiya to ki na vafaa aata hai tumhein charkon men mazaa chhodo bhi ye zid lutf is men hai kya tum aur kahii ham aur kahii bargashta-naseeb ka yuñ hona sona bhi to ik karvat sona kab tak ye judaai ka rona tum aur kahii ham aur kahii dil milne pe bhi pahluu na mila dushman to baghal hi men hai chhupa qaateel hai mohabbat ki ye haya tum aur kahii ham aur kahii yaksooi-e-dil marghoob ha men barbaadi-e-dil matlab tumhein is zid ka hai aur anjaam hi kya tum aur kahii ham aur kahii dil se hai agar qaaim rishta to door-o-qareeb ki bahs hi kya hai ye bhi nigaahon ka dhoka tum aur kahii ham aur kahii sun rakho qabl-e-ahd-e-wafa qaul aarzoo-e-shaidai ka jannat bhi hai dozakh gar ye hua tum aur kahii ham aur kahii

Arzoo Lakhnavi

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Arzoo Lakhnavi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Arzoo Lakhnavi's ghazal.