ghazalKuch Alfaaz

ab aa bhi jaao ki phir ehtimam-e-id karen nashat-e-did se tashviq-e-dil mazid karen shikast-e-tauba se vaaiz ke dil ko khuun karen faroghh-e-bada se zahid ko na-umid karen baya ki qaida-e-asman badal dalen ba-naqd-e-bada dil-o-jan-e-nau kharid karen ba-nam-e-saqi-e-gulgun laban-e-simin-saq vafur-e-bada se zauq-e-talab shadid karen bina-e-kuhna ke asar munhadim kar ke jahan-e-taza ba-dast-e-khud afrid karen darun-e-somea har muqtadi ko jul de kar khud apne pir-e-kharabat ka murid karen hata ke phir rukh-e-zeba se ghhairiyat ka hijab har ek daghhdaghha-e-dil saqar-rasid karen junun-e-tishna-labi ko do-atisha kar ke aqiq-e-lab se mai-e-arghhavan kashid karen ab aa bhi jao ki phir ehtimam-e-id karen nashat-e-did se tashwiq-e-dil mazid karen shikast-e-tauba se waiz ke dil ko khun karen farogh-e-baada se zahid ko na-umid karen baya ki qaida-e-asman badal dalen ba-naqd-e-baada dil-o-jaan-e-nau kharid karen ba-nam-e-saqi-e-gulgun laban-e-simin-saq wafur-e-baada se zauq-e-talab shadid karen bina-e-kuhna ke aasar munhadim kar ke jahan-e-taza ba-dast-e-khud aafrid karen darun-e-somea har muqtadi ko jul de kar khud apne pir-e-kharabaat ka murid karen hata ke phir rukh-e-zeba se ghairiyat ka hijab har ek daghdagha-e-dil saqar-rasid karen junun-e-tishna-labi ko do-atisha kar ke aqiq-e-lab se mai-e-arghawan kashid karen

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate

Rahat Indori

102 likes

ik pal men ik sadi ka mazaa ham se poochiye do din ki zindagi ka mazaa ham se poochiye bhule hain rafta rafta unhen muddaton men ham qiston men khudkushi ka mazaa ham se poochiye aagaz-e-aashiqi ka mazaa aap jaaniye anjaam-e-aashiqi ka mazaa ham se poochiye jalte diyon men jalte gharo jaisi zau kahaan sarkaar raushni ka mazaa ham se poochiye vo jaan hi ga.e ki ha men unse pyaar hai aankhoñ ki mukhbirii ka mazaa hamse poochiye hansne ka shauq hamko bhi tha aap ki tarah hansiye magar hañsi ka mazaa ham se poochiye ham tauba kar ke mar ga.e be-maut ai khumaar tauheen-e-may-kashi ka mazaa ham se poochiye

Khumar Barabankvi

95 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Muzaffar Shikoh.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Muzaffar Shikoh's ghazal.