ghazalKuch Alfaaz

abas hai naz-e-istighhna pe kal ki kya khabar kya ho khuda maalum ye saman kya ho jaae sar kya ho ye ah-e-be-asar kya ho ye nakhl-e-be-samar kya ho na ho jab dard hi ya-rab to dil kya ho jigar kya ho jahan insan kho jaata ho khud phir us ki mahfil men rasai kis tarah ho dakhl kyunkar ho guzar kya ho na puchhunga main ye bhi jaam men hai zahr ya amrit tumhare haath se andesha-e-naf-o-zarar kya ho muravvat se ho begana vafa se duur ho koson ye sach hai naznin ho khubsurat ho magar kya ho shagufe dekh kar mutthi men zar ko muskurate hain ki jab umr is qadar kotah rakhte hain to zar kya ho raha karti hai ye hairat mujhe zuhd-e-riyai par khuda se jo nahin darta use bande ka dar kya ho kaha main ne ki 'nazm'-e-mubtala marta hai hasrat men kaha us ne agar mar jaae to mera zarar kya ho kaha main ne ki hai soz-e-jigar aur uff nahin karta kaha is ki ijazat hi nahin phir nauhagar kya ho kaha main ne ki de us ko ijazat aah karne ki kaha us ne bhadak utthe agar soz-e-jigar kya ho kaha main ne ki aansu aankh ka lekin nahin thamta kaha ankhen koi talvon se mal daale agar kya ho kaha main ne qadam bhar par hai vo surat dikha aao kaha munh pher kar itna kisi ko dard-e-sar kya ho kaha main ne asar mutlaq nahin kya sang-dil hai tu kaha jab dil ho patthar ka to patthar par asar kya ho kaha main ne jo mar jaae to kya ho soch tu dil men kaha na-aqibat-andesh ne kuchh soch kar kya ho kaha main ne khabar bhi hai ki di jaan us ne ghut ghat kar kaha mar jaae chupke se to phir mujh ko khabar kya ho abas hai naz-e-istighna pe kal ki kya khabar kya ho khuda malum ye saman kya ho jae sar kya ho ye aah-e-be-asar kya ho ye nakhl-e-be-samar kya ho na ho jab dard hi ya-rab to dil kya ho jigar kya ho jahan insan kho jata ho khud phir us ki mahfil mein rasai kis tarah ho dakhl kyunkar ho guzar kya ho na puchhunga main ye bhi jam mein hai zahr ya amrit tumhaare hath se andesha-e-naf-o-zarar kya ho murawwat se ho begana wafa se dur ho koson ye sach hai naznin ho khubsurat ho magar kya ho shagufe dekh kar mutthi mein zar ko muskuraate hain ki jab umr is qadar kotah rakhte hain to zar kya ho raha karti hai ye hairat mujhe zuhd-e-riyai par khuda se jo nahin darta use bande ka dar kya ho kaha main ne ki 'nazm'-e-mubtala marta hai hasrat mein kaha us ne agar mar jae to mera zarar kya ho kaha main ne ki hai soz-e-jigar aur uff nahin karta kaha is ki ijazat hi nahin phir nauhagar kya ho kaha main ne ki de us ko ijazat aah karne ki kaha us ne bhadak utthe agar soz-e-jigar kya ho kaha main ne ki aansu aankh ka lekin nahin thamta kaha aankhen koi talwon se mal dale agar kya ho kaha main ne qadam bhar par hai wo surat dikha aao kaha munh pher kar itna kisi ko dard-e-sar kya ho kaha main ne asar mutlaq nahin kya sang-dil hai tu kaha jab dil ho patthar ka to patthar par asar kya ho kaha main ne jo mar jae to kya ho soch tu dil mein kaha na-aqibat-andesh ne kuchh soch kar kya ho kaha main ne khabar bhi hai ki di jaan us ne ghut ghat kar kaha mar jae chupke se to phir mujh ko khabar kya ho

Related Ghazal

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga

Hasan Abbasi

235 likes

itnaa majboor na kar baat banaane lag jaayen ham tere sar kii qasam jhooth hi khaane lag jaayen itne sannaate pi.e meri sama'at ne ki ab sirf aavaaz pe chaahoon to nishaane lag jaayen chaliye kuchh aur nahin aah-shumaarii hi sahi ham kisi kaam to is dil ke bahaane lag jaayen ham vo gum-gasht-e-mohabbat hain ki tum to kya ho khud ko ham dhoondhne niklen to zamaane lag jaayen khvaab kuchh aise dikhaaye hain faqiri ne mujhe jin kii ta'beer men shahon ke khazaane lag jaayen main agar apni jawaani ke suna doon qisse ye jo launde hain mire paanv dabane lag jaayen

Mehshar Afridi

173 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain

Ali Zaryoun

158 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Nazm Tabatabai.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Nazm Tabatabai's ghazal.