achha tumhaare shahar ka dastoor ho gaya jis ko gale laga liya vo door ho gaya kaaghaz men dab ke mar ga.e keede kitaab ke deewaana be-padhe-likhe mashhoor ho gaya mahlon men ham ne kitne sitaare saja diye lekin zameen se chaand bahut door ho gaya tanhaaiyon ne tod dii ham dono ki ana aaina baat karne pe majboor ho gaya daa dii se kehna us ki kahaanii sunaaiye jo baadshaah ishq men mazdoor ho gaya subh-e-visaal pooch rahi hai ajab sawaal vo paas aa gaya ki bahut door ho gaya kuchh phal zaroor aayenge roti ke ped men jis din mira mutaalba manzoor ho gaya
Related Ghazal
ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare
Tehzeeb Hafi
292 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
maine jo kuchh bhi socha hua hai main vo vaqt aane pe kar jaaunga tum mujhe zahar lagte ho aur main kisi din tumhein pee ke mar jaaunga tu to beenaai hai meri tere alaava mujhe kuchh bhi dikhta nahin maine tujhko agar tere ghar pe utaara to main kaise ghar jaaunga chahta hooñ tumhein aur bahut chahta hooñ tumhein KHud bhi maaloom hai haan agar mujhse poocha kisi ne to main seedha munh par mukar jaaunga tere dil se tere shahar se tere ghar se teri aankh se tere dar se teri galiyon se tere watan se nikala hua hooñ kidhar jaaunga
Tehzeeb Hafi
241 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
ek aur shaKHs chhodkar chala gaya to kya hua hamaare saath kaun sa ye pahli martaba hua azl se in hateliyon men hijr ki lakeer thii tumhaara dukh to jaise mere haath men badaa hua mere KHilaaf dushmanon ki saf men hai vo aur main bahut bura lagunga us par teer kheenchta hua
Tehzeeb Hafi
183 likes
More from Bashir Badr
maan mausam ka kaha chhaai ghatta jaam utha aag se aag bujha phool khila jaam utha pee mire yaar tujhe apni qasam deta hooñ bhool ja shikwa gilaa haath mila jaam utha haath men chaand jahaan aaya muqaddar chamka sab badal jaayega qismat ka likha jaam utha ek pal bhi kabhi ho jaata hai sadiyon jaisa der kya karna yahaañ haath badha jaam utha pyaar hi pyaar hai sab log barabar hain yahaañ may-kade men koi chhota na badaa jaam utha
Bashir Badr
1 likes
falak se chaand sitaaron se jaam lena hai mujhe sehar se nayi ek shaam lena hai kise khabar ki farishte ghazal samjhte hain KHuda ke saamne kaafir ka naam lena hai mua'amla hai tira badtareen dushman se mire aziz mohabbat se kaam lena hai mehkati zulfon se KHushboo chamakti aankh se dhoop shabon se jaam-e-sehr ka salaam lena hai tumhaari chaal ki aahistagi ke lehje men sukhun se dil ko masalne ka kaam lena hai nahin main meer ke dar par kabhi nahin jaata mujhe KHuda se ghazal ka kalaam lena hai bade saleeqe se noton men us ko tulwa kar ameer-e-shahr se ab intiqaam lena hai
Bashir Badr
1 likes
she'r mere kahaan the kisi ke li.e maine sab kuchh likha hai tumhaare li.e apne dukh sukh bahut khoobsurat rahe ham ji.e bhi to ik doosre ke li.e hum-safar ne mira saath chhodaa nahin apne aañsu diye raaste ke li.e is haveli men ab koii rehta nahin chaand niklaa kise dekhne ke li.e zindagi aur main do alag to nahin main ne sab phool kaate isi se li.e shahar men ab mira koii dushman nahin sab ko apna liya maine tere li.e zehan men titliyan ud rahi hain bahut koii dhaaga nahin baandhne ke li.e ek tasveer ghazalon men aisi banii agle pichhle zamaanon ke chehre li.e
Bashir Badr
6 likes
KHushboo ki tarah aaya vo tez hawaon men maanga tha jise ham ne din raat duaon men tum chat pe nahin aa.e main ghar se nahin niklaa ye chaand bahut bhatka saawan ki ghataon men is shahar men ik ladki bilkul hai ghazal jaisi bijli si ghataon men KHushboo si adaaon men mausam ka ishaara hai KHush rahne do bacchon ko maasoom mohabbat hai phoolon ki khataaon men ham chaand sitaaron ki raahon ke musaafir hain ham raat chamakte hain tareek khalaon men bhagwaan hi bhejenge chaawal se bharii thaali mazloom parindon ki maasoom sabhaaon men daada bade bhole the sab se yahii kahte the kuchh zahar bhi hota hai angrezee davaaon men
Bashir Badr
19 likes
dil men ik tasveer chhupi thii aan basi hai aankhoñ men shaayad ham ne aaj ghazal si baat likhi hai aankhoñ men jaise ik hareejan ladki mandir ke darwaaze par shaam diyon ki thaal sajaaye jhaank rahi hai aankhoñ men is roomaal ko kaam men laao apni palken saaf karo maila maila chaand nahin hai dhool jamee hai aankhoñ men padhta ja ye manzar-naama zard azeem pahaadon ka dhoop khili palkon ke u uupar barf jamee hai aankhoñ men main ne ik novel likkha hai aane waali subh ke naam kitnii raaton ka jaaga hooñ neend bharii hai aankhoñ men
Bashir Badr
6 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Bashir Badr.
Similar Moods
More moods that pair well with Bashir Badr's ghazal.







