maan mausam ka kaha chhaai ghatta jaam utha aag se aag bujha phool khila jaam utha pee mire yaar tujhe apni qasam deta hooñ bhool ja shikwa gilaa haath mila jaam utha haath men chaand jahaan aaya muqaddar chamka sab badal jaayega qismat ka likha jaam utha ek pal bhi kabhi ho jaata hai sadiyon jaisa der kya karna yahaañ haath badha jaam utha pyaar hi pyaar hai sab log barabar hain yahaañ may-kade men koi chhota na badaa jaam utha
Related Ghazal
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
tamasha-e-deir-o-haram dekhte hain tujhe har bahaane se ham dekhte hain hamaari taraf ab vo kam dekhte hain vo nazrein nahin jin ko ham dekhte hain zamaane ke kya kya sitam dekhte hain humeen jaante hain jo ham dekhte hain
Dagh Dehlvi
84 likes
ik pal men ik sadi ka mazaa ham se poochiye do din ki zindagi ka mazaa ham se poochiye bhule hain rafta rafta unhen muddaton men ham qiston men khudkushi ka mazaa ham se poochiye aagaz-e-aashiqi ka mazaa aap jaaniye anjaam-e-aashiqi ka mazaa ham se poochiye jalte diyon men jalte gharo jaisi zau kahaan sarkaar raushni ka mazaa ham se poochiye vo jaan hi ga.e ki ha men unse pyaar hai aankhoñ ki mukhbirii ka mazaa hamse poochiye hansne ka shauq hamko bhi tha aap ki tarah hansiye magar hañsi ka mazaa ham se poochiye ham tauba kar ke mar ga.e be-maut ai khumaar tauheen-e-may-kashi ka mazaa ham se poochiye
Khumar Barabankvi
95 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
More from Bashir Badr
falak se chaand sitaaron se jaam lena hai mujhe sehar se nayi ek shaam lena hai kise khabar ki farishte ghazal samjhte hain KHuda ke saamne kaafir ka naam lena hai mua'amla hai tira badtareen dushman se mire aziz mohabbat se kaam lena hai mehkati zulfon se KHushboo chamakti aankh se dhoop shabon se jaam-e-sehr ka salaam lena hai tumhaari chaal ki aahistagi ke lehje men sukhun se dil ko masalne ka kaam lena hai nahin main meer ke dar par kabhi nahin jaata mujhe KHuda se ghazal ka kalaam lena hai bade saleeqe se noton men us ko tulwa kar ameer-e-shahr se ab intiqaam lena hai
Bashir Badr
1 likes
patthar ke jigar waalo gham men vo ravaani hai KHud raah banaa lega bahta hua paani hai ik zehen-e-pareshaan men khwaab-e-ghazlistaan hai patthar ki hifazat men sheeshe ki jawaani hai dil se jo chatte baadal to aankh men saawan hai thehra hua dariyaa hai bahta hua paani hai ham-rang-e-dil-e-pur-khoon har laala-e-sehraai gesu ki tarah muztar ab raat ki raani hai jis sang pe nazrein keen khurshid-e-haqeeqat hai jis chaand se munh moda patthar ki kahaanii hai ai peer-e-khirad-mandaan dil ki bhi zaroorat hai ye sheher-e-ghazaalaan hai ye mulk-e-jawaani hai gham wajh-e-figaar-e-dil gham wajh-e-qaraar-e-dil aañsu kabhi sheesha hai aañsu kabhi paani hai is hausla-e-dil par ham ne bhi kafan pahna hañs kar koi poochhega kya jaan ganvaani hai din talkh haqaaiq ke seharaaon ka suraj hai shab gesu-e-afsana yaadon ki kahaanii hai vo husn jise ham ne rusva kiya duniya men na-deeda haqeeqat hai na-gufta kahaanii hai vo misra-e-aawaara deewaanon pe bhari hai jis men tire gesu ki be-rabt kahaanii hai ham khushboo-e-aawaara ham noor-e-pareshaan hain ai badr muqaddar men aashufta-bayaani hai
Bashir Badr
1 likes
dil men ik tasveer chhupi thii aan basi hai aankhoñ men shaayad ham ne aaj ghazal si baat likhi hai aankhoñ men jaise ik hareejan ladki mandir ke darwaaze par shaam diyon ki thaal sajaaye jhaank rahi hai aankhoñ men is roomaal ko kaam men laao apni palken saaf karo maila maila chaand nahin hai dhool jamee hai aankhoñ men padhta ja ye manzar-naama zard azeem pahaadon ka dhoop khili palkon ke u uupar barf jamee hai aankhoñ men main ne ik novel likkha hai aane waali subh ke naam kitnii raaton ka jaaga hooñ neend bharii hai aankhoñ men
Bashir Badr
6 likes
mire dil ki raakh kured mat ise muskuraa ke hawa na de ye charaaghh phir bhi charaaghh hai kahii teraa haath jala na de naye daur ke naye KHvaab hain naye mausamon ke gulaab hain ye mohabbaton ke charaaghh hain inhen nafratoin ki hawa na de zaraa dekh chaand ki pattiyon ne bikhar bikhar ke tamaam shab tira naam likkha hai ret par koi lehar aa ke mita na de main udaasiyaan na saja sakoon kabhi jism-o-jaan ke mazaar parna diye jalen mirii aankh men mujhe itni sakht saza na de mire saath chalne ke shauq men badi dhoop sar pe uthaaega tira naak naqsha hai mom ka kahii gham ki aag ghula na de main ghazal ki shabnami aankh se ye dukhon ke phool chuna karoon mirii saltanat mira fan rahe mujhe taaj-o-takht KHuda na de
Bashir Badr
7 likes
chaai ki pyaali men neeli tablet gholi sah men sah men haathon ne ik kitaab phir khuli daayere andheron ke raushni ke poron ne coat ke button khole taai ki girah khuli sheeshe ki silaai men kaale bhoot ka chadhna baam kaath ka ghoda neem kaanch ki goli barf men daba makhan maut rail aur riksha zindagi khushi riksha rail motoren doli ik kitaab chaand aur ped sab ke kaale collar par zehan tape ki gardish munh men toton ki boli vo nahin mili ham ko huk button sarkati jeen zip ke daant khulte hi aankh se giri choli
Bashir Badr
2 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Bashir Badr.
Similar Moods
More moods that pair well with Bashir Badr's ghazal.







