chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Related Ghazal
sirf khanjar hi nahin aankhoñ men paani chahiye ai KHuda dushman bhi mujh ko khaandaani chahiye shahar ki saari alif-lailaaein boodhi ho chuki shahzaade ko koi taaza kahaanii chahiye main ne ai suraj tujhe pooja nahin samjha to hai mere hisse men bhi thodii dhoop aani chahiye meri qeemat kaun de saka hai is bazaar men tum zulekha ho tumhein qeemat lagaani chahiye zindagi hai ik safar aur zindagi ki raah men zindagi bhi aa.e to thokar lagaani chahiye main ne apni khushk aankhoñ se lahu chhalaka diya ik samundar kah raha tha mujh ko paani chahiye
Rahat Indori
38 likes
aankhoñ men raha dil men utar kar nahin dekha kashtii ke musaafir ne samundar nahin dekha be-waqt agar jaaunga sab chaunk padenge ik umr hui din men kabhi ghar nahin dekha jis din se chala hooñ mirii manzil pe nazar hai aankhoñ ne kabhi meel ka patthar nahin dekha ye phool mujhe koi viraasat men mile hain tum ne mira kaanton bhara bistar nahin dekha yaaron ki mohabbat ka yaqeen kar liya maine phoolon men chhupaaya hua khanjar nahin dekha mahboob ka ghar ho ki buzurgon ki zameenen jo chhod diya phir use mud kar nahin dekha khat aisa likha hai ki nageene se jade hain vo haath ki jis ne koi zevar nahin dekha patthar mujhe kahtaa hai mira chaahne vaala main mom hooñ us ne mujhe choo kar nahin dekha
Bashir Badr
38 likes
sharmindagi hai ham ko bahut ham mile tumhein tum sar-b-sar khushi the magar gham mile tumhein main apne aap men na mila is ka gham nahin gham to ye hai ki tum bhi bahut kam mile tumhein tum ko jahaan-e-shauq-o-tamanna men kya mila ham bhi mile to darham o barham mile tumhein yuñ ho ki aur hi koi hawwa mile mujhe ho yuñ ki aur hi koi aadam mile tumhein
Jaun Elia
50 likes
ranjish hi sahi dil hi dukhaane ke li.e aa aa phir se mujhe chhod ke jaane ke li.e aa kuchh to mire pindaar-e-mohabbat ka bharam rakh tu bhi to kabhi mujh ko manaane ke li.e aa pahle se maraasim na sahi phir bhi kabhi to rasm-o-rah-e-duniya hi nibhaane ke li.e aa kis kis ko bataaenge judaai ka sabab ham tu mujh se KHafaa hai to zamaane ke li.e aa ik umr se hooñ lazzat-e-giryaa se bhi mahroom ai raahat-e-jaan mujh ko rulaane ke li.e aa ab tak dil-e-khush-fahm ko tujh se hain ummeedein ye aakhiri shamaein bhi bujhaane ke li.e aa
Ahmad Faraz
29 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
More from Waseem Barelvi
vo mujh ko kya bataana chahta hai jo duniya se chhupaana chahta hai mujhe dekho ki main us ko hi chaahoon jise saara zamaana chahta hai qalam karna kahaan hai us ka mansha vo meraa sar jhukaana chahta hai shikaayat ka dhuaan aankhoñ se dil tak ta'alluq toot jaana chahta hai taqaza vaqt ka kuchh bhi ho ye dil vahii qissa puraana chahta hai
Waseem Barelvi
6 likes
andhera zehan ka samt-e-safar jab khone lagta hai kisi ka dhyaan aata hai ujaala hone lagta hai vo jitni door ho utna hi meraa hone lagta hai magar jab paas aata hai to mujh se khone lagta hai kisi ne rakh diye mamta-bhare do haath kya sar par mire andar koi bachcha bilak kar rone lagta hai mohabbat chaar din ki aur udaasi zindagi bhar ki yahii sab dekhta hai aur kabeera rone lagta hai samjhte hi nahin naadaan kai din ki hai milkiiyyat paraaye kheton pe apnon men jhagda hone lagta hai ye dil bach kar zamaane bhar se chalna chahe hai lekin jab apni raah chaltaa hai akela hone lagta hai
Waseem Barelvi
10 likes
rang be-rang hon KHushboo ka bharosa jaa.e mirii aankhoñ se jo duniya tujhe dekha jaa.e ham ne jis raah ko chhodaa phir use chhod diya ab na jaayenge udhar chahe zamaana jaa.e main ne muddat se koi KHvaab nahin dekha hai haath rakh de mirii aankhoñ pe ki neend aa jaa.e main gunaahon ka taraf-daar nahin hooñ phir bhi raat ko din ki nigaahon se na dekha jaa.e kuchh badi sochon men ye sochen bhi shaamil hain waseem kis bahaane se koi shahar jalaya jaa.e
Waseem Barelvi
1 likes
kahaan savaab kahaan kya azaab hota hai mohabbaton men kab itnaa hisaab hota hai bichhad ke mujh se tum apni kashish na kho dena udaas rahne se chehra KHaraab hota hai use pata hi nahin hai ki pyaar ki baazi jo haar jaa.e vahii kaamyaab hota hai jab us ke paas ganwaane ko kuchh nahin hota to koi aaj ka izzat-maab hota hai jise main likhta hooñ aise ki KHud hi padh paanv kitaab-e-zeest men aisa bhi baab hota hai bahut bharosa na kar lena apni aankhoñ par dikhaai deta hai jo kuchh vo KHvaab hota hai
Waseem Barelvi
2 likes
apne saa.e ko itnaa samjhaane de mujh tak mere hisse ki dhoop aane de ek nazar men kaii zamaane dekhe to boodhi aankhoñ ki tasveer banaane de baba duniya jeet ke main dikhla dooñga apni nazar se door to mujh ko jaane de main bhi to is baagh ka ek parinda hooñ meri hi awaaz men mujh ko gaane de phir to ye ooncha hi hota jaayega bachpan ke haathon men chaand aa jaane de faslen pak jaayen to khet se bichhdenge roti aankh ko pyaar kahaan samjhaane de
Waseem Barelvi
7 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Waseem Barelvi.
Similar Moods
More moods that pair well with Waseem Barelvi's ghazal.







