kahaan savaab kahaan kya azaab hota hai mohabbaton men kab itnaa hisaab hota hai bichhad ke mujh se tum apni kashish na kho dena udaas rahne se chehra KHaraab hota hai use pata hi nahin hai ki pyaar ki baazi jo haar jaa.e vahii kaamyaab hota hai jab us ke paas ganwaane ko kuchh nahin hota to koi aaj ka izzat-maab hota hai jise main likhta hooñ aise ki KHud hi padh paanv kitaab-e-zeest men aisa bhi baab hota hai bahut bharosa na kar lena apni aankhoñ par dikhaai deta hai jo kuchh vo KHvaab hota hai
Related Ghazal
kabhi milenge to ye karz bhi utaarenge tumhaare chehre ko paharon talak nihaarenge ye kya sitam ki khilaadi badal diya usne ham is umeed pe baithe the ham hi haarenge hamaare baad tere ishq men naye ladke badan to choomenge zulfen nahin sanvaarenge
Vikram Gaur Vairagi
70 likes
bagair us..ko bataaye nibh aanaa padta hai ye ishq raaz hai isko chhup aanaa padta hai main apne zehan ki zid se bahut pareshaan hooñ tere khyaal ki chaukhat pe aanaa padta hai tere bagair hi achchhe the kya museebat hai ye kaisa pyaar hai har din jat aanaa padta hai
Mehshar Afridi
73 likes
seena dahak raha ho to kya chup rahe koi kyun cheekh cheekh kar na gala chheel le koi saabit hua sukoon-e-dil-o-jaan kahii nahin rishton men dhoondhta hai to dhoonda kare koi tark-e-taalluqaat koi mas'ala nahin ye to vo raasta hai ki bas chal pade koi deewaar jaanta tha jise main vo dhool thii ab mujh ko e'timaad ki daawat na de koi main KHud ye chahta hooñ ki haalaat hooñ KHaraab mere KHilaaf zahar ugalta phire koi ai shaKHs ab to mujh ko s abhii kuchh qubool hai ye bhi qubool hai ki tujhe cheen le koi haan theek hai main apni ana ka mareez hooñ aaKHir mere mizaaj men kyun dakhl de koi ik shaKHs kar raha hai abhii tak vafaa ka zikr kaash us zabaan-daraaz ka munh noch le koi
Jaun Elia
77 likes
maheenon baad daftar aa rahe hain ham ek sad men se baahar aa rahe hain teri baahon se dil ukta gaya hain ab is jhoole men chakkar aa rahe hain kahaan soya hai chaukidaar meraa ye kaise log andar aa rahe hain samandar kar chuka tasleem hamko khajaane KHud hi u uupar aa rahe hain yahii ek din bacha tha dekhne ko use bas men bitha kar aa rahe hain
Tehzeeb Hafi
116 likes
ashq zaayaa' ho rahe the dekh kar rota na tha jis jagah banta tha rona main waha rota na tha sirf teri chup ne mere gaal geelay kar diye main to vo hooñ jo kisi ki maut par rota na tha mujh par kitne ehsaan hai guzre par un aankhoñ ko kya meraa dukh ye hai ke meraa humsafar rota na tha maine uske vasl men bhi hijr kata hai kahii vo mere kandhe pe rakh leta tha sar rota na tha pyaar to pahle bhi usse tha magar itnaa nahin tab men us..ko choo to leta tha magar rota na tha giriyo zaari ko bhi ek khaas mausam chahiye meri aañkhen dekh lo main waqt par rota na tha
Tehzeeb Hafi
85 likes
More from Waseem Barelvi
ham apne aap ko ik mas'ala banaa na sake isee li.e to kisi ki nazar men aa na sake ham aañsuon ki tarah vaaste nibha na sake rahe jin aankhoñ men un men hi ghar banaa na sake phir aandhiyon ne sikhaaya vahaañ safar ka hunar jahaan charaaghh ha men raasta dikha na sake jo pesh pesh the bastii bachaane waalon men lagii jab aag to apna bhi ghar bacha na sake mire KHuda kisi aisi jagah use rakhna jahaan koi mire baare men kuchh bataa na sake tamaam umr ki koshish ka bas yahii haasil kisi ko apne mutaabiq koi banaa na sake tasalliyon pe bahut din jiya nahin jaata kuchh aisa ho ke tira e'tibaar aa na sake
Waseem Barelvi
3 likes
vo mujh ko kya bataana chahta hai jo duniya se chhupaana chahta hai mujhe dekho ki main us ko hi chaahoon jise saara zamaana chahta hai qalam karna kahaan hai us ka mansha vo meraa sar jhukaana chahta hai shikaayat ka dhuaan aankhoñ se dil tak ta'alluq toot jaana chahta hai taqaza vaqt ka kuchh bhi ho ye dil vahii qissa puraana chahta hai
Waseem Barelvi
6 likes
apne saa.e ko itnaa samjhaane de mujh tak mere hisse ki dhoop aane de ek nazar men kaii zamaane dekhe to boodhi aankhoñ ki tasveer banaane de baba duniya jeet ke main dikhla dooñga apni nazar se door to mujh ko jaane de main bhi to is baagh ka ek parinda hooñ meri hi awaaz men mujh ko gaane de phir to ye ooncha hi hota jaayega bachpan ke haathon men chaand aa jaane de faslen pak jaayen to khet se bichhdenge roti aankh ko pyaar kahaan samjhaane de
Waseem Barelvi
7 likes
andhera zehan ka samt-e-safar jab khone lagta hai kisi ka dhyaan aata hai ujaala hone lagta hai vo jitni door ho utna hi meraa hone lagta hai magar jab paas aata hai to mujh se khone lagta hai kisi ne rakh diye mamta-bhare do haath kya sar par mire andar koi bachcha bilak kar rone lagta hai mohabbat chaar din ki aur udaasi zindagi bhar ki yahii sab dekhta hai aur kabeera rone lagta hai samjhte hi nahin naadaan kai din ki hai milkiiyyat paraaye kheton pe apnon men jhagda hone lagta hai ye dil bach kar zamaane bhar se chalna chahe hai lekin jab apni raah chaltaa hai akela hone lagta hai
Waseem Barelvi
10 likes
dua karo ki koi pyaas nazr-e-jaam na ho vo zindagi hi nahin hai jo na-tamaam na ho jo mujh men tujh men chala aa raha hai sadiyon se kahii hayaat usii faasle ka naam na ho koi charaaghh na aañsu na aarzoo-e-seher KHuda kare ki kisi ghar men aisi shaam na ho ajeeb shart lagaaee hai ehtiyaaton ne ki teraa zikr karoon aur teraa naam na ho saba-mizaaj ki tezi bhi ek ne'mat hai agar charaaghh bujhaana hi ek kaam na ho waseem kitnii hi subhen lahu lahu guzriin ik aisi subh bhi aa.e ki jis ki shaam na ho
Waseem Barelvi
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Waseem Barelvi.
Similar Moods
More moods that pair well with Waseem Barelvi's ghazal.







