aflaak se aata hai naalon ka javaab aaKHir karte hain khitaab aaKHir uthte hain hijaab aaKHir ahwaal-e-mohabbat men kuchh farq nahin aisa soz o tab-o-taab awwal soz o tab-o-taab aaKHir main tujh ko bataata hooñ taqdeer-e-umam kya hai shamsher-o-sinaan awwal taaus-o-rubaab aaKHir may-khaana-e-yurope ke dastoor niraale hain laate hain suroor awwal dete hain sharaab aaKHir kya dabdaba-e-naadir kya shaoukat-e-taimoori ho jaate hain sab daftar gharq-e-may-e-naab aaKHir khilwat ki ghadi guzri jalvat ki ghadi aayi chhutne ko hai bijli se aaghosh-e-sahaab aaKHir tha zabt bahut mushkil is sail-e-ma'ani ka kah dale qalander ne asraar-e-kitaab aaKHir
Related Ghazal
jaam cigarette kash aur bas kuchh dhuaan aakhirsh aur bas maut tak zindagi ka safar raat-din kashmakash aur bas pee gaya ped aandhi magar gir pada kha ke ghash aur bas zindagi jaltee cigarette hai sirf do-chaar kash aur bas sookhte ped ki lakdiyaan aakhiri peshkash aur bas
Sandeep Thakur
50 likes
jahaan-jahaan pe tujhe gair ne chhua hua tha wahaan-wahaan pe meraa jism bhi jala hua tha shikast honi thii ye meraa pehla ishq tha aur vo be-vafa yahii karte hue badaa hua tha phir ek roz mujhe ye pata laga uske purane aashiqon ke saath bhi bura hua tha pitaa ke kehne se ladki ne ghar basa liya par maon is kahaanii men ladke ke saath kya hua tha
Kushal Dauneria
36 likes
saare ka saara to meraa bhi nahin aur vo shaKHs be-vafa bhi nahin ghaur se dekhne pe boli hai shaa dii se pahle sochna bhi nahin achchhii sehat ka hai meraa mahboob dhoke dete hue thaka bhi nahin j itnaa barbaad kar diya tune utna aabaad to main tha bhi nahin mujh...ko bas itnaa deen aata hai jahaan main KHud nahin KHuda bhi nahin
Kushal Dauneria
43 likes
kise fursat-e-mah-o-saal hai ye sawaal hai koi waqt hai bhi ki jaal hai ye sawaal hai na hai fikr-e-gardish-e-aasmaan na khayal-e-jaan mujhe phir ye kaisa malaal hai ye sawaal hai vo sawaal jiska javaab hai meri zindagi meri zindagi ka sawaal hai ye sawaal hai main bichhad ke tujh se bulandiyon pe jo past hooñ ye urooj hai ki zawaal hai ye sawaal hai
Abbas Qamar
46 likes
uske haathon men jo khanjar hai zyaada tez hai aur phir bachpan se hi uskaa nishaana tez hai jab kabhi us paar jaane ka khyaal aata mujhe koi aahista se kahtaa tha ki dariyaa tez hai aaj milnaa tha bichhad jaane ki niyat se ha men aaj bhi vo der se pahuncha hai kitna tez hai apna sab kuchh haar ke laut aaye ho na mere paas main tumhe kahtaa bhi rehta ki duniya tez hai aaj uske gaal choo men hain to andaaza hua chaai achchhii hai magar thoda sa meetha tez hai
Tehzeeb Hafi
220 likes
More from Allama Iqbal
apni jaulaan-gaah zer-e-aasmaan samjha tha main aab o gil ke khel ko apna jahaan samjha tha main be-hijaabi se tiri toota nigaahon ka tilism ik rida-e-neel-goon ko aasmaañ samjha tha main kaarwaan thak kar fazaa ke pech-o-kham men rah gaya mehr o maah o mushtari ko hum-inaan samjha tha main ishq ki ik jast ne tay kar diya qissa tamaam is zameen o aasmaañ ko be-karaan samjha tha main kah gaiin raaz-e-mohabbat parda-daari-ha-e-shauq thii fugaan vo bhi jise zabt-e-fughaan samjha tha main thii kisi darmaanda rah-rau ki sada-e-dardnaak jis ko aawaaz-e-raheel-e-kaarvaan samjha tha main
Allama Iqbal
1 likes
khird ke paas khabar ke siva kuchh aur nahin tira ilaaj nazar ke siva kuchh aur nahin har ik maqaam se aage maqaam hai teraa hayaat zauq-e-safar ke siva kuchh aur nahin giraa-baha hai to hifz-e-khu dii se hai warna guhar men aab-e-guhar ke siva kuchh aur nahin ragon men gardish-e-khoon hai agar to kya haasil hayaat soz-e-jigar ke siva kuchh aur nahin uroos-e-laala munaasib nahin hai mujh se hijaab ki main naseem-e-sehr ke siva kuchh aur nahin jise kasaad samjhte hain taajiraan-e-farang vo shay mata-e-hunar ke siva kuchh aur nahin badaa kareem hai iqbaal'-e-be-nava lekin ata-e-shola sharar ke siva kuchh aur nahin
Allama Iqbal
0 likes
na tu zameen ke li.e hai na aasmaañ ke li.e jahaan hai tere li.e tu nahin jahaan ke li.e ye aql o dil hain sharar shola-e-mohabbat ke vo khaar-o-khas ke li.e hai ye neestaan ke li.e maqaam-e-parvarish-e-aah-o-laala hai ye chamanna sair-e-gul ke li.e hai na aashiyaan ke li.e rahega raavi o neel o furaat men kab tak tira safeena ki hai bahr-e-be-karan ke li.e nishaan-e-raah dikhaate the jo sitaaron ko taras ga.e hain kisi mard-e-raah-daan ke li.e nigah buland sukhun dil-nawaz jaañ pur-soz yahii hai rakht-e-safar meer-e-kaarwaan ke li.e zaraa si baat thii andesha-e-ajm ne use badha diya hai faqat zeb-e-daastaan ke li.e mire guloo men hai ik naghma jibraail-aashob sambhaal kar jise rakha hai la-makaan ke li.e
Allama Iqbal
1 likes
anokhi waz'a hai saare zamaane se niraale hain ye 'aashiq kaun si bastii ke ya-rab rahne waale hain ilaaj-e-dard men bhi dard ki lazzat pe marta hooñ jo the chhaalon men kaañte nok-e-sozan se nikale hain fala-foola rahe ya-rab chaman meri umeedon ka jigar ka KHoon de de kar ye boote main ne pale hain rulaati hai mujhe raaton ko khaamoshi sitaaron ki niraala ishq hai meraa niraale mire naale hain na poochho mujh se lazzat khaanmaan-barbaad rahne ki nasheeman saikron main ne banaa kar phoonk dale hain nahin begaangi achchhii rafeeq-e-raah-e-manzil se thehar ja ai sharar ham bhi to aaKHir mitne waale hain umeed-e-hoor ne sab kuchh sikha rakha hai waiz ko ye hazrat dekhne men seedhe-saadhe bhole bhaale hain mire ashaar ai iqbaal kyun pyaare na hon mujh ko mire toote hue dil ke ye dard-angez naale hain
Allama Iqbal
0 likes
asar kare na kare sun to le mirii fariyaad nahin hai daad ka taalib ye banda-e-aazaad ye musht-e-khaak ye sarsar ye wusa'at-e-aflaak karam hai ya ki sitam teri lazzat-e-eijaad thehar sakaa na hawa-e-chaman men khema-e-gul yahii hai fasl-e-bahaari yahii hai baad-e-muraad qusoor-waar ghareeb-ud-dayaar hooñ lekin tira kharaabaa farishte na kar sake aabaad mirii jafa-talbi ko duaaein deta hai vo dasht-e-saada vo teraa jahaan-e-be-buniyaad khatr-pasand tabeeyat ko saazgaar nahin vo gulsitaan ki jahaan ghaat men na ho sayyaad maqaam-e-shauq tire qudsiyon ke bas ka nahin unhin ka kaam hai ye jin ke hausale hain ziyaad
Allama Iqbal
5 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Allama Iqbal.
Similar Moods
More moods that pair well with Allama Iqbal's ghazal.







