aflak se aata hai nalon ka javab akhir karte hain khitab akhir uthte hain hijab akhir ahval-e-mohabbat men kuchh farq nahin aisa soz o tab-o-tab avval soz o tab-o-tab akhir main tujh ko batata huun taqdir-e-umam kya hai shamshir-o-sinan avval taus-o-rubab akhir mai-khana-e-europe ke dastur nirale hain laate hain surur avval dete hain sharab akhir kya dabdaba-e-nadir kya shaukat-e-taimuri ho jaate hain sab daftar ghharq-e-mai-e-nab akhir khalvat ki ghadi guzri jalvat ki ghadi aai chhutne ko hai bijli se aghhosh-e-sahab akhir tha zabt bahut mushkil is sail-e-maani ka kah daale qalandar ne asrar-e-kitab akhir aflak se aata hai nalon ka jawab aakhir karte hain khitab aakhir uthte hain hijab aakhir ahwal-e-mohabbat mein kuchh farq nahin aisa soz o tab-o-tab awwal soz o tab-o-tab aakhir main tujh ko batata hun taqdir-e-umam kya hai shamshir-o-sinan awwal taus-o-rubab aakhir mai-khana-e-europe ke dastur nirale hain late hain surur awwal dete hain sharab aakhir kya dabdaba-e-nadir kya shaukat-e-taimuri ho jate hain sab daftar gharq-e-mai-e-nab aakhir khalwat ki ghadi guzri jalwat ki ghadi aai chhutne ko hai bijli se aaghosh-e-sahab aakhir tha zabt bahut mushkil is sail-e-maani ka kah dale qalandar ne asrar-e-kitab aakhir
Related Ghazal
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
tamasha-e-deir-o-haram dekhte hain tujhe har bahaane se ham dekhte hain hamaari taraf ab vo kam dekhte hain vo nazrein nahin jin ko ham dekhte hain zamaane ke kya kya sitam dekhte hain humeen jaante hain jo ham dekhte hain
Dagh Dehlvi
84 likes
More from Allama Iqbal
apni jaulaan-gaah zer-e-aasmaan samjha tha main aab o gil ke khel ko apna jahaan samjha tha main be-hijaabi se tiri toota nigaahon ka tilism ik rida-e-neel-goon ko aasmaañ samjha tha main kaarwaan thak kar fazaa ke pech-o-kham men rah gaya mehr o maah o mushtari ko hum-inaan samjha tha main ishq ki ik jast ne tay kar diya qissa tamaam is zameen o aasmaañ ko be-karaan samjha tha main kah gaiin raaz-e-mohabbat parda-daari-ha-e-shauq thii fugaan vo bhi jise zabt-e-fughaan samjha tha main thii kisi darmaanda rah-rau ki sada-e-dardnaak jis ko aawaaz-e-raheel-e-kaarvaan samjha tha main
Allama Iqbal
1 likes
la phir ik baar vahii baada o jaam ai saaqi haath aa jaa.e mujhe meraa maqaam ai saaqi teen sau saal se hain hind ke may-khaane band ab munaasib hai tira faiz ho aam ai saaqi mirii meena-e-ghazal men thii zaraa si baaki sheikh kahtaa hai ki hai ye bhi haraam ai saaqi she'r mardon se hua besh-e-tahqeeq tahee rah ga.e sufi o mulla ke ghulaam ai saaqi ishq ki tegh-e-jigar-daar uda li kis ne ilm ke haath men khaali hai niyaam ai saaqi seena raushan ho to hai soz-e-sukhan ain-e-hayaat ho na raushan to sukhun marg-e-davaam ai saaqi tu mirii raat ko mahtaab se mahroom na rakh tire paimaane men hai maah-e-tamaam ai saaqi
Allama Iqbal
3 likes
sakhtiyan karta hooñ dil par gair se ghaafil hooñ main haaye kya achchhii kahii zalim hooñ main jaahil hooñ main main jabhi tak tha ki teri jalwa-pairaai na thii jo numood-e-haq se mit jaata hai vo baatil hooñ main ilm ke dariyaa se nikle ghota-zan gauhar-b-dast waaye mehroomi khazaf chain lab saahil hooñ main hai mirii zillat hi kuchh mirii sharaafat ki daleel jis ki ghaflat ko malak rote hain vo ghaafil hooñ main bazm-e-hasti apni aaraish pe tu naazaan na ho tu to ik tasveer hai mehfil ki aur mehfil hooñ main dhoondhta firta hooñ main iqbaal apne-aap ko aap hi goya musaafir aap hi manzil hooñ main
Allama Iqbal
0 likes
digar-goon hai jahaan taaron ki gardish tez hai saaqi dil-e-har-zarra men ghaaga-e-rusta-khez hai saaqi mata-e-deen-o-daanish loot gaii allah-waalon ki ye kis kaafir-ada ka ghaza-e-khoon-rez hai saaqi vahii deerina beemaarii vahii na-mohkami dil ki ilaaj is ka vahii aab-e-nashaat-angez hai saaqi haram ke dil men soz-e-aarzoo paida nahin hota ki paidaai tiri ab tak hijaab-aamez hai saaqi na utha phir koi roomi ajam ke laala-zaaro se vahii aab-o-gil-e-eran vahii tabrez hai saaqi nahin hai na-umeed iqbaal apni kisht-e-veeraan se zaraa nam ho to ye miTTi bahut zarkhez hai saaqi faqeer-e-raah ko bakshe ga.e asraar-e-sultaani baha meri nava ki daulat-e-parvez hai saaqi
Allama Iqbal
4 likes
asar kare na kare sun to le mirii fariyaad nahin hai daad ka taalib ye banda-e-aazaad ye musht-e-khaak ye sarsar ye wusa'at-e-aflaak karam hai ya ki sitam teri lazzat-e-eijaad thehar sakaa na hawa-e-chaman men khema-e-gul yahii hai fasl-e-bahaari yahii hai baad-e-muraad qusoor-waar ghareeb-ud-dayaar hooñ lekin tira kharaabaa farishte na kar sake aabaad mirii jafa-talbi ko duaaein deta hai vo dasht-e-saada vo teraa jahaan-e-be-buniyaad khatr-pasand tabeeyat ko saazgaar nahin vo gulsitaan ki jahaan ghaat men na ho sayyaad maqaam-e-shauq tire qudsiyon ke bas ka nahin unhin ka kaam hai ye jin ke hausale hain ziyaad
Allama Iqbal
5 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Allama Iqbal.
Similar Moods
More moods that pair well with Allama Iqbal's ghazal.







