ghazalKuch Alfaaz

la phir ik baar vahii baada o jaam ai saaqi haath aa jaa.e mujhe meraa maqaam ai saaqi teen sau saal se hain hind ke may-khaane band ab munaasib hai tira faiz ho aam ai saaqi mirii meena-e-ghazal men thii zaraa si baaki sheikh kahtaa hai ki hai ye bhi haraam ai saaqi she'r mardon se hua besh-e-tahqeeq tahee rah ga.e sufi o mulla ke ghulaam ai saaqi ishq ki tegh-e-jigar-daar uda li kis ne ilm ke haath men khaali hai niyaam ai saaqi seena raushan ho to hai soz-e-sukhan ain-e-hayaat ho na raushan to sukhun marg-e-davaam ai saaqi tu mirii raat ko mahtaab se mahroom na rakh tire paimaane men hai maah-e-tamaam ai saaqi

Related Ghazal

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai

Waseem Barelvi

107 likes

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

vo munh lagata hai jab koi kaam hota hai jo uskaa hota hai samjho ghulaam hota hai kisi ka ho ke dobaara na aanaa meri taraf mohabbaton men halaala haraam hota hai ise bhi ginte hain ham log ahl-e-kh aanaa men hamaare yaa to shajar ka bhi naam hota hai tujh aise shaKHs ke hote hain khaas dost bahut tujh aisa shaKHs bahut jald aam hota hai kabhi lagii hai tumhein koi shaam aakhiri shaam hamaare saath ye har ek shaam hota hai

Umair Najmi

81 likes

More from Allama Iqbal

dil soz se khaali hai nigah paak nahin hai phir is men ajab kya ki tu bebaak nahin hai hai zauq-e-tajalli bhi isee KHaak men pinhaan ghaafil tu nira sahib-e-idraak nahin hai vo aankh ki hai surma-e-afrang se raushan purkaar o suhkan-saaz hai namnaak nahin hai kya sufi o mulla ko khabar mere junoon ki un ka sar-e-daaman bhi abhii chaak nahin hai kab tak rahe mahkoomi-e-anjum men mirii KHaak ya main nahin ya gardish-e-aflaak nahin hai bijli hooñ nazar koh o biyaabaan pe hai mirii mere li.e shaayaan khas-o-khaashaak nahin hai aalam hai faqat momin-e-jaanbaaz ki meeraas mumin nahin jo sahib-e-laulaak nahin hai

Allama Iqbal

1 likes

apni jaulaan-gaah zer-e-aasmaan samjha tha main aab o gil ke khel ko apna jahaan samjha tha main be-hijaabi se tiri toota nigaahon ka tilism ik rida-e-neel-goon ko aasmaañ samjha tha main kaarwaan thak kar fazaa ke pech-o-kham men rah gaya mehr o maah o mushtari ko hum-inaan samjha tha main ishq ki ik jast ne tay kar diya qissa tamaam is zameen o aasmaañ ko be-karaan samjha tha main kah gaiin raaz-e-mohabbat parda-daari-ha-e-shauq thii fugaan vo bhi jise zabt-e-fughaan samjha tha main thii kisi darmaanda rah-rau ki sada-e-dardnaak jis ko aawaaz-e-raheel-e-kaarvaan samjha tha main

Allama Iqbal

1 likes

kushaada dast-e-karam jab vo be-niyaaz kare niyaaz-mand na kyun aajizi pe naaz kare bitha ke arsh pe rakha hai tu ne ai wa'iz KHuda vo kya hai jo bandon se ehtiraaz kare mirii nigaah men vo rind hi nahin saaqi jo hoshiyaari o masti men imtiyaaz kare mudaam gosh-b-dil rah ye saaz hai aisa jo ho shikasta to paida nawa-e-raaz kare koi ye pooche ki wa'iz ka kya bigadta hai jo be-amal pe bhi rahmat vo be-niyaaz kare sukhun men soz ilaahi kahaan se aata hai ye cheez vo hai ki patthar ko bhi gudaaz kare tameez-e-laala-o-gul se hai naala-e-bulbul jahaan men vaa na koi chashm-e-imtiyaaz kare ghuroor-e-zohad ne sikhla diya hai wa'iz ko ki bandagaan-e-khuda par zabaan daraaz kare hawa ho aisi ki hindostaan se ai iqbaal uda ke mujh ko ghubaar-e-rah-e-hijaaz kare

Allama Iqbal

0 likes

har shay musaafir har cheez raahi kya chaand taare kya murgh o maahi tu mard-e-maidaan tu meer-e-lashkar noori huzoori tere sipaahi kuchh qadr apni tu ne na jaani ye be-swaa dii ye kam-nigaahi duniya-e-doo ki kab tak ghulaami ya rahebi kar ya paadshaahi peer-e-haram ko dekha hai main ne kirdaar-e-be-soz guftaar waahi

Allama Iqbal

4 likes

tire ishq ki intiha chahta hooñ mirii saadgi dekh kya chahta hooñ sitam ho ki ho waada-e-be-hijaabi koi baat sabr-aazma chahta hooñ ye jannat mubarak rahe zaahidon ko ki main aap ka saamna chahta hooñ zaraa sa to dil hooñ magar shokh itnaa vahii lan-taraani suna chahta hooñ koi dam ka mehmaan hooñ ai ahl-e-mehfil charaagh-e-sehr hooñ bujha chahta hooñ bharii bazm men raaz ki baat kah dii badaa be-adab hooñ saza chahta hooñ

Allama Iqbal

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Allama Iqbal.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Allama Iqbal's ghazal.