ghazalKuch Alfaaz

kushaada dast-e-karam jab vo be-niyaaz kare niyaaz-mand na kyun aajizi pe naaz kare bitha ke arsh pe rakha hai tu ne ai wa'iz KHuda vo kya hai jo bandon se ehtiraaz kare mirii nigaah men vo rind hi nahin saaqi jo hoshiyaari o masti men imtiyaaz kare mudaam gosh-b-dil rah ye saaz hai aisa jo ho shikasta to paida nawa-e-raaz kare koi ye pooche ki wa'iz ka kya bigadta hai jo be-amal pe bhi rahmat vo be-niyaaz kare sukhun men soz ilaahi kahaan se aata hai ye cheez vo hai ki patthar ko bhi gudaaz kare tameez-e-laala-o-gul se hai naala-e-bulbul jahaan men vaa na koi chashm-e-imtiyaaz kare ghuroor-e-zohad ne sikhla diya hai wa'iz ko ki bandagaan-e-khuda par zabaan daraaz kare hawa ho aisi ki hindostaan se ai iqbaal uda ke mujh ko ghubaar-e-rah-e-hijaaz kare

Related Ghazal

seena dahak raha ho to kya chup rahe koi kyun cheekh cheekh kar na gala chheel le koi saabit hua sukoon-e-dil-o-jaan kahii nahin rishton men dhoondhta hai to dhoonda kare koi tark-e-taalluqaat koi mas'ala nahin ye to vo raasta hai ki bas chal pade koi deewaar jaanta tha jise main vo dhool thii ab mujh ko e'timaad ki daawat na de koi main KHud ye chahta hooñ ki haalaat hooñ KHaraab mere KHilaaf zahar ugalta phire koi ai shaKHs ab to mujh ko s abhii kuchh qubool hai ye bhi qubool hai ki tujhe cheen le koi haan theek hai main apni ana ka mareez hooñ aaKHir mere mizaaj men kyun dakhl de koi ik shaKHs kar raha hai abhii tak vafaa ka zikr kaash us zabaan-daraaz ka munh noch le koi

Jaun Elia

77 likes

baat karne hai baat kaun kare dard se do do haath kaun kare ham sitaare tumhein bulaate hain chaand na ho to raat kaun kare ab tujhe rab kahein ya but samjhen ishq men zaat-paat kaun kare zindagi bhar ki the kamaai tum is se zyaada zakaat kaun kare

Kumar Vishwas

56 likes

barson puraana dost mila jaise gair ho dekha ruka jhijhak ke kaha tum umair ho milte hain mushkilon se yahaañ ham-khayaal log tere tamaam chaahne waalon ki KHair ho kamre men cigaretteon ka dhuaan aur teri mahak jaise shadeed dhundh men baagon ki sair ho ham mutmain bahut hain agar KHush nahin bhi hain tum KHush ho kya hua jo hamaare baghair ho pairo'n men uske sar ko dharen iltijaa karen ik iltijaa ki jiska na sar ho na pair ho

Umair Najmi

59 likes

yaad tab karte ho karne ko na ho jab kuchh bhi aur kahte ho tumhein ishq hai matlab kuchh bhi ab jo aa aa ke bataate ho vo shaKHs aisa tha jab mere saath tha vo kyun na kaha tab kuchh bhi waqfe-waqfe se mujhe dekhne aate rahna hijr ki shab hai so ho saka hai is shab kuchh bhi

Umair Najmi

68 likes

tum itnaa jo muskuraa rahe ho kya gham hai jis ko chhupa rahe ho aankhoñ men nami hañsi labon par kya haal hai kya dikha rahe ho ban jaayenge zahar peete peete ye ashk jo peete ja rahe ho jin zaKHmon ko vaqt bhar chala hai tum kyun unhen chhede ja rahe ho rekhaon ka khel hai muqaddar rekhaon se maat kha rahe ho

Kaifi Azmi

31 likes

More from Allama Iqbal

apni jaulaan-gaah zer-e-aasmaan samjha tha main aab o gil ke khel ko apna jahaan samjha tha main be-hijaabi se tiri toota nigaahon ka tilism ik rida-e-neel-goon ko aasmaañ samjha tha main kaarwaan thak kar fazaa ke pech-o-kham men rah gaya mehr o maah o mushtari ko hum-inaan samjha tha main ishq ki ik jast ne tay kar diya qissa tamaam is zameen o aasmaañ ko be-karaan samjha tha main kah gaiin raaz-e-mohabbat parda-daari-ha-e-shauq thii fugaan vo bhi jise zabt-e-fughaan samjha tha main thii kisi darmaanda rah-rau ki sada-e-dardnaak jis ko aawaaz-e-raheel-e-kaarvaan samjha tha main

Allama Iqbal

1 likes

har shay musaafir har cheez raahi kya chaand taare kya murgh o maahi tu mard-e-maidaan tu meer-e-lashkar noori huzoori tere sipaahi kuchh qadr apni tu ne na jaani ye be-swaa dii ye kam-nigaahi duniya-e-doo ki kab tak ghulaami ya rahebi kar ya paadshaahi peer-e-haram ko dekha hai main ne kirdaar-e-be-soz guftaar waahi

Allama Iqbal

4 likes

digar-goon hai jahaan taaron ki gardish tez hai saaqi dil-e-har-zarra men ghaaga-e-rusta-khez hai saaqi mata-e-deen-o-daanish loot gaii allah-waalon ki ye kis kaafir-ada ka ghaza-e-khoon-rez hai saaqi vahii deerina beemaarii vahii na-mohkami dil ki ilaaj is ka vahii aab-e-nashaat-angez hai saaqi haram ke dil men soz-e-aarzoo paida nahin hota ki paidaai tiri ab tak hijaab-aamez hai saaqi na utha phir koi roomi ajam ke laala-zaaro se vahii aab-o-gil-e-eran vahii tabrez hai saaqi nahin hai na-umeed iqbaal apni kisht-e-veeraan se zaraa nam ho to ye miTTi bahut zarkhez hai saaqi faqeer-e-raah ko bakshe ga.e asraar-e-sultaani baha meri nava ki daulat-e-parvez hai saaqi

Allama Iqbal

4 likes

vo harf-e-raaz ki mujh ko sikha gaya hai junoon KHuda mujhe nafs-e-jibraail de to kahooñ sitaara kya mirii taqdeer ki khabar dega vo KHud farakhi-e-aflaak men hai khwaar o zuboon hayaat kya hai khayal o nazar ki majzoobi khu dii ki maut hai andesha-ha-e-goonagoon ajab mazaa hai mujhe lazzat-e-khu dii de kar vo chahte hain ki main apne aap men na rahoon zameer-e-paak o nigaah-e-buland o masti-e-shauqna maal-o-daulat-e-qaaroon na fikr-e-aflatoon sabq mila hai ye meraaj-e-mustafa se mujhe ki aalam-e-bashriyat ki zad men hai gardoon ye kaayenaat abhii na-tamaam hai shaayad ki aa rahi hai damaadam sada-e-kun-fayakoon ilaaj aatish-e-'roomi ke soz men hai tira tiri khird pe hai ghalib faringiyon ka fusoon usii ke faiz se mirii nigaah hai raushan usii ke faiz se mere suboo men hai jehoon

Allama Iqbal

0 likes

khird ke paas khabar ke siva kuchh aur nahin tira ilaaj nazar ke siva kuchh aur nahin har ik maqaam se aage maqaam hai teraa hayaat zauq-e-safar ke siva kuchh aur nahin giraa-baha hai to hifz-e-khu dii se hai warna guhar men aab-e-guhar ke siva kuchh aur nahin ragon men gardish-e-khoon hai agar to kya haasil hayaat soz-e-jigar ke siva kuchh aur nahin uroos-e-laala munaasib nahin hai mujh se hijaab ki main naseem-e-sehr ke siva kuchh aur nahin jise kasaad samjhte hain taajiraan-e-farang vo shay mata-e-hunar ke siva kuchh aur nahin badaa kareem hai iqbaal'-e-be-nava lekin ata-e-shola sharar ke siva kuchh aur nahin

Allama Iqbal

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Allama Iqbal.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Allama Iqbal's ghazal.