ghazalKuch Alfaaz

barson puraana dost mila jaise gair ho dekha ruka jhijhak ke kaha tum umair ho milte hain mushkilon se yahaañ ham-khayaal log tere tamaam chaahne waalon ki KHair ho kamre men cigaretteon ka dhuaan aur teri mahak jaise shadeed dhundh men baagon ki sair ho ham mutmain bahut hain agar KHush nahin bhi hain tum KHush ho kya hua jo hamaare baghair ho pairo'n men uske sar ko dharen iltijaa karen ik iltijaa ki jiska na sar ho na pair ho

Umair Najmi59 Likes

Related Ghazal

tumhaara kya hai tumhein sirf gyaan dena hai hamaari socho ha men imtihaan dena hai gulaab bhi hain gulaabon men khaar bhi hain bataa nishaani deni hai ya phir nishaan dena hai teraa sawaal meri jaan ka sawaal hai aur javaab dene se aasaan jaan dena hai unhonne apne mutaabiq saza suna dii hai ha men saza ke mutaabiq bayaan dena hai ye bezubaanon ki mehfil hai dost yaad rahe yahaañ KHamoshii ka matlab zubaan dena hai

Charagh Sharma

39 likes

aankh ko aaina samjhte ho tum bhi sabki tarah samjhte ho dost ab kyuuñ nahin samjhte tum tum to kahte the na samjhte ho apna gham tumko kaise samjhaaoon sabse haara hua samjhte ho meri duniya ujad gayi is men tum ise haadsa samjhte ho aakhiri raasta to baaki hai aakhiri raasta samjhte ho

Himanshi babra KATIB

76 likes

chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka

Waseem Barelvi

103 likes

ye saath aath padosi kahaan se aa.e mere tumhaare dil men to koi na tha sivaae mere kisi ne paas bithaaya bas aage yaad nahin mujhe to dost vahaañ se utha ke l aa.e mere ye soch kar na ki.e apne dard uske supurd vo laalchi hai asaase na bech kh aa.e mere idhar kidhar tu naya hai yahaañ ki paagal hai kisi ne kya tujhe qisse nahin sun aa.e mere vo aazm aa.e mere dost ko zaroor magar use kaho ki tarike na aazm aa.e mere

Umair Najmi

59 likes

bade tahammul se rafta rafta nikaalna hai bacha hai jo tujh men meraa hissa nikaalna hai ye rooh barson se dafn hai tum madad karoge badan ke malbe se is ko zinda nikaalna hai nazar men rakhna kahii koi gham-shanaas gaahak mujhe sukhun bechna hai kharcha nikaalna hai nikaal laaya hooñ ek pinjare se ik parinda ab is parinde ke dil se pinjra nikaalna hai ye tees barson se kuchh baras peeche chal rahi hai mujhe ghadi ka KHaraab purza nikaalna hai khayal hai khaandaan ko ittilaa' de doon jo kat gaya us shajar ka shajra nikaalna hai main ek kirdaar se badaa tang hooñ qalamkaar mujhe kahaanii men daal ghussa nikaalna hai

Umair Najmi

42 likes

More from Umair Najmi

ik din zabaan sukoot ki poori banaoonga main guftugoo ko ghair-zaroori banaoonga tasveer men banaoonga dono ke haath aur dono men ek haath ki doori banaoonga muddat samet jumla zawaabit hon tay-shuda yaanii taalluqaat uboori banaoonga tujh ko khabar na hogii ki main aas-paas hooñ is baar haaziri ko huzoori banaoonga rangon pe ikhtiyaar agar mil sakaa kabhi teri siyaah putliyaan bhuri banaoonga jaarii hai apni zaat pe tahqeeq aaj-kal main bhi khala pe ek theory banaoonga main chaah kar vo shakl mukammal na kar sakaus ko bhi lag raha tha adhuri banaoonga

Umair Najmi

10 likes

tum is kharaabe men chaar chhe din tahal gaii ho so ain-mumkin hai dil ki haalat badal gaii ho tamaam din is dua men katata hai kuchh dinon se main jaaun kamre men to udaasi nikal gaii ho kisi ke aane pe aise halchal hui hai mujh men KHamosh jungle men jaise bandooq chal gaii ho ye na ho gar main hiloon to girne lage burada dukhon ki deemak badan ki lakdi nigal gaii ho ye chhote chhote kaii hawadis jo ho rahe hain kisi ke sar se badi museebat na tal gaii ho hamaara malba hamaare qadmon men aa giraa hai plate men jaise mom-batti pighal gaii ho

Umair Najmi

18 likes

ik din zabaan sukoot ki poori banaoonga main guftugoo ko ghair-zaroori banaoonga tasveer men banaoonga dono ke haath aur dono men ek haath ki doori banaoonga muddat samet jumla zawaabit hon tay-shuda ya'ni ta'alluqaat uboori banaoonga tujh ko khabar na hogii ki main aas-paas hooñ is baar haaziri ko huzoori banaoonga rangon pe ikhtiyaar agar mil sakaa kabhi teri siyaah putliyaan bhuri banaoonga jaarii hai apni zaat pe tahqeeq aaj-kal main bhi khala pe ek theory banaoonga main chaah kar vo shakl mukammal na kar sakaus ko bhi lag raha tha adhuri banaoonga

Umair Najmi

20 likes

tum is kharaabe men chaar chhe din tahal gaii ho so ain-mumkin hai dil ki haalat badal gaii ho tamaam din is dua men katata hai kuchh dinon se main jaaun kamre men to udaasi nikal gaii ho kisi ke aane pe aise halchal hui hai mujh men KHamosh jungle men jaise bandooq chal gaii ho ye na ho gar main hiloon to girne lage burada dukhon ki deemak badan ki lakdi nigal gaii ho ye chhote chhote kaii hawadis jo ho rahe hain kisi ke sar se badi museebat na tal gaii ho hamaara malba hamaare qadmon men aa giraa hai plate men jaise mom-batti pighal gaii ho

Umair Najmi

10 likes

jahaan bhar ki tamaam aañkhen nichod kar jitna nam banega ye kul mila kar bhi hijr ki raat mire girye se kam banega main dasht hooñ ye mughalata hai na sha'iraana mubaalgha hai mire badan par kahii qadam rakh ke dekh naqsh-e-qadam banega hamaara laashaa bahao warna lahd muqaddas mazaar hogii ye surkh kurta jalao warna baghawaton ka alam banega to kyun na ham paanch saath din tak mazid sochen banaane se qabl mirii chhatti his bataa rahi hai ye rishta tootega gham banega mujh aise logon ka tedh-pan qudrati hai so e'itraaz kaisa shadeed nam KHaak se jo paikar banega ye tay hai KHam banega suna hua hai jahaan men be-kaar kuchh nahin hai so jee rahe hain banaa hua hai yaqeen ki is raegaani se kuchh ahem banega ki shahzaade ki aadaten dekh kar sabhi is par muttafiq hain ye jun hi haakim banaa mahal ka wasi'a raqba haram banega main ek tarteeb se lagata raha hooñ ab tak sukoot apna sadaa ke waqfe nikaal is ko shuruat se sun ridham banega safed roomaal jab kabootar nahin banaa to vo sho'bda-baaz palatne waalon se kah raha tha ruko KHuda ki qasam banega

Umair Najmi

6 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Umair Najmi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Umair Najmi's ghazal.